Powered By Blogger

Saturday, 20 May 2017

📖📖📖 ✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм✦ *❀ R A M Z A A N ❀* ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ *✿●•· PART-03 ·•●✿* ✿ Hazrat Abu Hurairah RaziAllahu Anhu se marwi hai ke Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshaad farmaya : " jab ramazan ka maheena dakhil hota hai to aasmaan ke darwaze (ek aur riwayat me jannat k darwaze , aur ek riwayat me rahmat ke darwaze) khol diye jaate hain aur jahannam ke darwaze band kar diye jaate hain aur shaitano ko zanjeeren pahna diye jate hain. *Bukhari,Muslim, Mishkat.* Hazrat Hasan Basri rahmatullahi alaihi se riwayat hai ke Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshaad farmaya ke, ⇒ Allah Ta'ala Ramzan-ul-Mubarak ki har raat me 6 lakh logon ko jahannam se aazaad karte hain aur jab aakhri raat hoti hai to guzishta azaad shuda logon ke baqadr ( ek hi raat me ) azaad kiye jate hain. ✿ Mazeed Fazail Hazrat sahal bin sa'ad RaziAllahu Anhu farmate hain ke Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam farmaya, " roza daar jannat me ek makhsoos darwaze se dakhil honge us darwaze ka naam RAYYAN hai jab roze dar dakhil ho chuken ge to yeh darwazah band kar diya jaye ga phir koi shakhs is darwaze se dakhil na ho sake ga. *⚀•RєԲ:➻* *Bukhari,Muslim.* ✿ Hazrat Abu Hurairah RaziAllahu Anhu ne farmaya ke Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ka irshaad hai ke "Jab Ramzan hoti hai to shaitaan aur sarkash jinnat qaid kar diye jaate hain aur Jahannam ke sab darwaaze band kar diye jaate hain, un me se koi bhi darwaza nahi khola jaata, aur jannat ke saare darwaze khol diye jaate hain, un me se koi bhi darwaza band nahi kiya jaata, aur ek aawaaz lagane wala aawaaz deta hai ke aye khair ke talabgaar !! aage badh aur aye burayi ka iraada karne wale peechhe hatt aur Allah ke liye, (ramzan )me bahut se log jahannam se aazaad hote hain aur ye mamlaa har raat hota hai. *⚀•RєԲ:➻┐* *Tirmizi ,Ibn-e-Maaja,* *Mishkaat.* *╟❥ next 04©ontinue in sha Allah* ~~~~~~~~▣▣▣~~~~~~~~ *Plz forward to all Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* http://Hafizasiffarooqi.blogspot.com 📖📖📖

Assalamualaikum

No comments:

Post a Comment