Fikr-E-Aakhirat Group
Monday, 22 May 2017
Assalamualaikum 📖📖📖 ✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм✦ *❀ R A M Z A A N ❀* ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ *✿●•· PART-20 ·•●✿* *✿●•· A F T A A R I* ★ Aaftab ke guroob ho Jane ka yaqeen ho Jane ke baad aftaari me der karna makrooh he, ⇨ Haa'n jab Abr ( baadal ) vagera ki Vajah se shubha ho jaye to 2-4 minutes intezar kar lena behtar he, ★ Aur Naqsha me diye gaye waqt se 3 minutes ki ahatyaat baharhal karna chahiye, ★ Aftaari ke liye kya cheez behtar he??? ⇨ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya, k "Jab tumme se kisi ka Roza ho to wo Khajoor se aftaar kare, " *®Ravah Ahmad, Abu Daoud, Tirmizi,* ★ Agar Khajoor na paye to fir paani hi se aftaar kare, isliye k Allah ta'ala ne paani ko tahoor banaya he, *⚀•RєԲ:➻┐* *Fiqhul Ibadaat, 334* *✿●•·SHAB-A-QADR* ★ Chunki is ummat ki umre banisbat pehli ummato ke chhoti he, isliye Allah ta'ala ne apne fazal o karam se ek Raat muqarrar farmadi he jisme ibaadat karne ka sawab ek hazaar ( 1000 ) mahine ki ibaadat se bhi zyada he, ★ Lekin is Raat ko poshida rakha taki log iski talaash me koshish kare aur sawab be hisaab paye, ★ Ramzan ke Aakhri ashre ki taaq raato me Shabe qadr hone ka zyada ahatmal he, ⇨ Yani 21, 23, 25, 27, 29 vi shab me,,, 27 aur 29 vi shab ka Shabe qadr hona sabse zyada muhatmil he, ★ Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Ramzan ke Aakhri Ashre me ibaadat vagera me mujahida karte the aur wo mashaqqat uthate the Jo doosre Dino me nahi karte the, *Sahih Muslim,* ★in Raato me bahut mehnat, tavajjoh aur ikhlaas se ibaadat, tauba v astagfaar aur Duao'n me mashgool rehna chahiye, ⇨ Agar tamaam Raat jaagne ki taaqat na ho to jis qadar ho sake jaagne aur nifl Namazo, Tilawat Quran ya Zikr v Tasbeeh me mashgool rahe aur kuchh na ho sake to ishaa aur Fajar ki Namaz jama'at se Ada karne ka ahatmam kare, ★ Hadees Shareef me aaya he k ishaa aur Fajar ki Namaz ko jama'at se padhna Raat bhar jaagne ke hukm me he, ⇨ In Raato ko sirf Jalso aur Taqreero me sarf karke so Jana badi mehroomi he, Taqreere har Raat ho sakti he lekin ibaadat ka ye waqt fir haath nahi aayega, *⚀•RєԲ:➻┐* *Fiqhul Ibadaat, 342* *╟❥ next 21©ontinue in sha Allah* ~~~~~~~~▣▣▣~~~~~~~~ *Plz forward to all Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* http://Hafizasiffarooqi.blogspot.com 📖📖📖
Labels:
Fikr-E-Aakhirat
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment