Fikr-E-Aakhirat Group
Sunday, 21 May 2017
Assalamualaikum 📖📖📖 ✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм✦ *❀ R A M Z A A N ❀* ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ *✿●•· PART-18 ·•●✿* *✿●•· Roze Ki Qaza* ★ Kisi uzr se Roza qaza ho gaya to jab uzr khatm ho jaye to jald Ada karna chahiye, Zindgi aur taaqat ka bharosa nahi, ★ Qaza Rozo me akhtyar he k lagataar rakhe ya naaga karke rakhe, ★ Musafir safar se lotne ke baad ya mareez tandurast hone ke baad itna waqt na paye jisse qaza shuda Roze Ada kare to Qaza uske zimme laazim nahi, ⇨ Safar se lotne ya Bimaari se tandurast ho Jane ke baad jitne din mile un Dino ki qaza laazim he, ★ Baqi Bimaar ko Sahat ke baad itna waqt mila jisse wo Roze qaza Ada kar sakta tha ya Musafir ko safar se waapsi ke baad itna waqt mila jisse wo qaza shuda Roze Ada kar sakta tha lekin Ada nahi kiya aur Bimari bad Jane ki Vajah se ab zindgi ki ummeed nahi rahi to un Dino ke Rozo ki Vasiyat waajib he, *®Ba- Hawala--- Durre Mukhtar, 2/127* *⚀•RєԲ:➻┐* *Fiqhul ibadaat, 330* *✿●•· Ayyame Haiz ki Qaza* ★ Ma'aza Adviya bayan farmati he'n k Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha se daryaft kiya k Ye kya baat he k ayyame Haiz me Jo Roze qaza hote he'n unki qaza ki jati he aur Jo Namaze qaza hoti he'n unki qaza nahi padhi jati? Ummul momineen Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha ne farmaya k, Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke zamane me jab hum isme ( haiz me ) mubtila hote the to humko un Dino me qaza shuda Roze rakhne ka Hukm diya jata tha aur qaza namaz padhne ka Hukm nahi diya jata, *® Sahih Muslim,* *⚀•RєԲ:➻┐* *Fiqhul ibadaat, 331* *✿●•· Kaffara Laazim Hone ki Soorte'n* ★ 1- Wo shakhs jis per Roza farz hone ki tamaam sharayat payi jati ho, Ramzan ke us Roze jiski niyat subeh sadiq se pehle kar chuka ho, Jaan bujhkar moonh ke zariye pet me koi esi cheez pahunchayi Jo insaan ki davaa ya Giza me istemal hoti hoti ho yani uske istemal se kisi qism ka jismani nafa ya lazzat maqsood ho, ★ 2- Ya koi shakhs Jima'a kare ya karaye ( Jima'a me Aala Tanasul ka dakhil ho Jana kaafi he, Mani ka kharij hona shart nahi ) ⇨ in soorto me qaza aur Kaffara dono waajib honge, magar shart ye he k Jima'a esi Aurat se kiya jaye Jo Jima'a ke qabil ho, ★ Kaffara ka laazim hona Ramzanul Mubarak ke Roze todne ke saath khaas he, Gair Ramzan ke Rozo me sirf qaza laazim he Kaffara nahi, *® Ba-Hawala ---Durre Mukhtar, 2/409* *⚀•RєԲ:➻┐* *Fiqhul ibadaat, 331* *╟❥ next 19©ontinue in sha Allah* ~~~~~~~~▣▣▣~~~~~~~~ *Plz forward to all Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* http://Hafizasiffarooqi.blogspot.com 📖📖📖
Labels:
Fikr-E-Aakhirat
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment