Fikr-E-Aakhirat Group
Sunday, 21 May 2017
Assalamualaikum 📖📖📖 ✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм✦ *❀ R A M Z A A N ❀* ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ *✿●•· PART-16 ·•●✿* *✿●•· Mutafarrik 2* ★ Roze ki haalat me thook nigalne se Roza nahi jata, lekin thook ko jamaa karke nigalna makrooh he, ★ injection se Roza nahi toot ta,sirf taaqat ka injection lagana makrooh he, Glucose ke injection ka bhi yahi hukm he, ★ Zabaan se kisi cheez ko zayka chakh kar thook diya to roza nahi toota, magar bina sakht zarurat esa karna makrooh he, ★ Moonh se nikla hua khoon agar thook ke saath nigal gaya to roza Toot gaya, lekin khoon ki miqdaar thook se kam ho aur halaq me khoon ka zaayka mehsoos na ho to roza nahi toota, ★Naak or kaan me dava daalne se Roza Toot jata he lekin Aankh me dava daalne se Roza nahi toot ta, ★ Glucose chadane se Roza nahi toot ta basharte k Glucose kisi uzr ki vajah se lagaya jaye, bina uzr Glucose chadana roza ki halat me makrooh he, ★ Khoon dene se Roza nahi toot ta, ★ Roze ki haalat me Toothpaste ka istemal makrooh he, halaki halaq me na jaye to roza nahi toot ta, ★ Roze ki haalat me vaju karte waqt kulli kar ke paani gira dena kaafi he, baar baar thookna fizool harkat he, isi tarah naak ki naram haddi tak paani pahunchane se paani dimaag tak nahi pahunchta is silsile me vaham karna bhi fizool he, ★Zehrile Cheez ke das lene se Roza na to toot ta he aur na hi makrooh hota he, ★ Mirgi ke dore se, behosh ho Jane se Roza nahi toot ta . *⚀•RєԲ:➻┐* *Aapke Masail aur unka Hal, 3/285*. ★ Raat ko nahane ki zarurat ho gayi magar gusl nahi kiya, din ko nahaye to bhi Roza ho gaya, agar din bhar nahi nahaye tab bhi Roza nahi jata, albatta iska( napaaki ka) gunah alag hoga, ★Naak ko itna jor se sudak gaya k halaq me chali gayi, isi tarah moonh ki raal sudak kar nigal Jane se Roza nahi toot ta, ★ Moonh me paan dabakar so gaye aur subeh ho Jane per aankh khuli to roza nahi hua, qaza kare kaffara laazim nahi, ★ kulli karte waqt halaq me paani chala gaya aur roza yaad tha, to roza jata raha, qaza wajib he, kaffara laazim nahi, ★ Agar aap hi aap kai ( ulti) ho gayi to roza nahi gaya chahe thodi ho ya zyada, albatta agar apne akhtyar se kai ki aur moonh bhar ke kai hui to roza jata raha aur moonh bhar kar nahi hui to roza nahi gaya, ★Thodi si kai aayi or aate hi aap hi halaq me lot gayi tab bhi Roza nahi toot ta, albatta agar jaan boojhkar lota le to roza Toot jata, *⚀•RєԲ:➻┐* *Bahishti Zever,* *╟❥ next 17©ontinue in sha Allah* ~~~~~~~~▣▣▣~~~~~~~~ *Plz forward to all Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* http://Hafizasiffarooqi.blogspot.com 📖📖📖
Labels:
Fikr-E-Aakhirat
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment