Powered By Blogger

Sunday, 21 May 2017

Assalamualaikum 📖📖📖 ✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм✦ *❀ R A M Z A A N ❀* ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ *✿●•· PART-14 ·•●✿* *✿●•· Wo Uzr Jinse Roza na Rakhne ki Ijazat hoti he* ★ 1- Bimari ki Vajah se Roza rakhne ki taaqat na ho ya marj badne ka khatra ho to Roza na rakhna jaa'iz he, Ramzan ke baad Sahat ho Jane per iski qaza kare, ★ 2- Aurat ko hamal ki Vajah se Roze me bachcha ya apni jaan ko nuksaan pahunchne ka andesha ho to Roza na rakhe, baad me qaza kare, ★ 3- Jo Aurat apne ya Gair ke bachche ko doodh pilati ho agar Roze ki Vajah se Bachche ko doodh nahi milta ho aur isse bachche ko takleef pahunchti ho to Roza na rakhe, baad me qaza kare, ★ 4- Sharai musafir ko ijazat he k wo Roza na rakhe lekin agar takleef na ho to afzal yahi he k haalate safar me bhi Roza rakh le, ★ 5- Ba-haalate Roza safar shuru kiya ab uske liye Roza ko pura karna zaruri he, ⇨ Agar musafir haalate safar me tha aur subeh sadiq ke baad kuchh khaya piya nahi aur Roze ki niyat bhi nahi ki, Fir zawal se pehle watan ( home ) pahunch gaya, us per laazim he k wo Roza rakh le, ★ 6- Kisi ko qatl ki dhamki dekar Roza todne per majboor kiya jaye to uske liye Roza todna jaa'iz he, Baad me qaza kar le, *⚀•RєԲ:➻┐* *Fiqhul ibadaat, 328* *✿●•· Roza Rakhne ke Baad Bimaar Ho Gaya* ★ Agar koi shakhs Roza rakhne ke baad is qadar shadeed Bimaar ho jaye k Roza na todne ki soorat me marj ki shiddat ya bad Jane ka khatra ho to Aftaar kar lena jaa'iz he, Baad me qaza waajib he, Kaffara nahi, ★ Agar injection se ilaaj ho sake Dava pilakar Roza todne ki zarurat na ho to Roza todna jaa'iz nahi balki injection hi se ilaaj kare, *⚀•RєԲ:➻┐* *Fatawa Aalamgeer,1/307* *Fiqhul ibadaat, 329* *╟❥ next 15©ontinue in sha Allah* ~~~~~~~~▣▣▣~~~~~~~~ *Plz forward to all Muslim* *Fik-E-Aakhirat Group* http://Hafizasiffarooqi.blogspot.com 📖📖📖

Fikr-E-Aakhirat Group

No comments:

Post a Comment