Powered By Blogger

Sunday, 21 May 2017

Assalamualaikum 📖📖📖 ✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм✦ *❀ R A M Z A A N ❀* ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ *✿●•· PART-11 ·•●✿* *✿●•· SEHRI. AUR. AFTAAR* ★ Sehri khana Mustahab he aur Baa'ise barkat he, agar na khayi tab bhi Roza ho jayega, ★ Sehri me der, magar ye zaroori he k subeh saadiq se pehle khaya jaye , Aur aftaar me jaldi karna chahiye magar ye zaroori he k din guroob ho Jane ka yaqeen ho jaye tab hi roza khole, ★ Azaan amuman Subeh saadiq ke baad hi hoti he, agar Azaan ke waqt tak khaya piya to roza nahi hoga, ⇨Roza kholte waqt niyat shart nahi, Aftaar ke waqt dua mustahab he, bager dua ke roza khol liya to bhi roza sahi he, ★ Aftaar ke waqt Duae'n Qubool hoti he, isliye dua ka zaroor ahatmam karna chahiye, ★ Roza rakhne aur kholne me usool ye he k usi jagah ka etbaar hoga jaha Aadmi us waqt mojood he, ⇨ Maslan ek shakhsh India se Sehri karke( roza rakh kar) Saudi Arab gaya to ab Saudi Arab ke guroob ke etbaar se aftaar karna hoga, ★ Airoplane me safar karte waqt jis jagah ki bulandi per plane ud raha he chahe wo 10 hazaar fit ki bulandi per ho aur us bulandi se guroob Aftaab dikh raha ho to roza Aftaar kar lena chahiye, *⚀•RєԲ:➻┐* *Aapke Masail aur unka Hal, 3/266* *✿●•· Kin Vujuhaat se Roza Tod dena Jaa'iz he,* ★ Agar Rozedar achanak bimaar ho jaye aur Andesha ho k agar Roza na toda to jaan ka khatra he, ya bimaari bad Jane ka khatra he to esi halat me roza Tod dena jaa'iz he, ★ Haamla Aurat ki jaan ko ya bachche ki jaan ko khatra lahak ho jaye to roza Tod dena jaa'iz he, ⇨ Sharai uzr ki vajah se tode gaye roze ka kaffara laazim nahi magar Qaza laazim he, ⇨ Agar bimari ki vajah se chhote Dino me bhi Qaza karne ki taaqat nahi ho to iske siva koi chara nahi k in rozo ka Fidya Ada kare, Ek din ke roze ka fidya Sadqa e Fitr ke barabar he, *⚀•RєԲ:➻┐* *Aapke Masqil aur Unka Hal,3/271* *╟❥ next 12©ontinue in sha Allah* ~~~~~~~~▣▣▣~~~~~~~~ *Plz forward to all Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* http://hafizasiffarooqi.blogspot.com 📖📖📖

Fikr-E-Aakhirat Group

No comments:

Post a Comment