FIKR-E-AAKHIRAT GROUP
Sunday, 21 May 2017
Assalamualaikum 📖📖📖 ✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм✦ *❀ R A M Z A A N ❀* ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ *✿●•· PART-15 ·•●✿* *✿●•· Mutafarrik 1* ★Agar Bhool kar kha liya, ya Kai ho gayi aur ye samajh liya k mera roza Toot gaya aur Kha pee le, to roza Toot gaya aur Qaza wajib he, ⇨ lekin ye masla maloom tha k kai se Roza nahi toot ta, ya bhool se kha pee lene se Roza nahi toot ta, iske bavjood kuchh kha pee le to is soorat me uske Zimme kaffara aur Qaza do no laazim honge, ★ Agar khoon halaq me chala gaya to roza Toot jata he, ★ Roze ki haalat me makhsoos jagah me dawa ( medicine) rakhne se Roza Toot jata he, ★ Roza ki haalat me gargara karna aur naak me jor se paani chadana mamnu'a he, ★ Roza ki haalat me( Bidi ) cigarette ya hukka peene se Roza Toot jata he, ★ Sehri khatam hone se pehle koi cheez moonh me rakh kar so gaya,to roza nahi hua, (Chahe jab jaaga to sehri ka time nikal chuka tha, fir moonh ki cheez nikaal kar fek di aur kulli kar li ho ) ★ Danto me gosht ka resha ya koi cheez reh gayi thi, aur khud ba khud andar chali gayi, to agar chane ke Dane ke barabar ya usse zyada thi to roza jata raha, aur agar chane ke Dane se kam thi to roza nahi toota, ★ agar bahar se koi cheez daalkar nigal li to chahe thodi ho ya zyada usse roza Toot jata he, ★ kisi aurat ko sirf dekhne se inzaal ho jaye ( mani nikal jaye) to roza nahi toot ta, lekin Gale lagane se, Bosa lene se inzaal ho to roza Toot jata he, sirf Qaza wajib hogi, ★ Agar roze ki haalat me agar koi shakhs haath ke zariye se Mani nikaal de to roza Toot jata he, sirf Qaza laazim he, *⚀•RєԲ:➻┐* *Aapke Masqil aur Unka Hal,3/241* ★Agar rozadar bhool kar kuchh kha le ya pee le, ( chahe pet bhar ) tab bhi Roza nahi toot ta, ★Ek shakhs ko kuchh khate peete dekha to agar wo is qadar taaqatwar he k Roza se zyada takleef nahi hoti ho to usko roza yaad dilana wajib he, Aur agar koi na taaqat ( kamzor ) ho k Roza se takleef hoti ho to usko yaad na dilaye, khane peene de, ★Din me roza ki haalat me so gaye aur neend me esa khwab dekha k nahane ki zarurat ho gayi to roza nahi toota, ★Din me surma lagana, khushbu sunghna, Tail lagana durust he, isse roza me koi nuksaan nahi aata chahe jis waqt ho, ★Mard, Aurat ka saath letna, haath lagana, Bosa lena ye sab durust he, lekin agar Jawani ka itna josh ho k in baato se sohbat ka dar ho to esa nahi karna chahiye, Roza ki haalat me makrooh he, ★Halaq ke andar Makkhi chali gayi ya Dhua, Gardo gubar chala gaya to roza nahi gaya, albatta agar qasdan ( jaan boojhkar) esa kiya to roza jata raha, ★Loban vagera ki dhooni sulgayi aur fir apne paas rakh kar sungha kiye to roza jata raha, isi tarah hukka peene se bhi Roza jata raha, albatta kewda, gulab ke fool ki khusbu ka sungna jisme dhua na ho, durust he, ★Daanto me gosht ka resha ya koi aur cheez atki hui thi, usko khilal kar nikaal kar kha liya, lekin moonh se bahar nahi nikali, aap hi halaq me chali gayi to dekho agar chane se kam he to roza nahi toota, aur chane ke barabar ya usse zyada ho to roza jata raha, ⇨ Agar moonh se bahar nikaal liya tha aur uske baad nigal liya to har haal me roza Toot gaya chahe chane ke barabar ho ya kam, zyada ho, ★Agar paan khakar khoob kulli gargara karke moonh saaf kar liya lekin thook ( peek) ki surkhi nahi gayi to usse koi harj nahi roza ho jayega, *⚀•RєԲ:➻┐* *Bahishti Zever,* *╟❥ next 16©ontinue in sha Allah* ~~~~~~~~▣▣▣~~~~~~~~ *Plz forward to all Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* http//Hafizasiffarooqi.blogspot.com 📖📖📖
Labels:
Fikr-E-Aakhirat
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment