Saturday, 20 May 2017
Assalamualaikum📖📖📖 ✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм✦ *❀ R A M Z A A N ❀* ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ *✿●•· PART-01 ·•●✿* ✿ Maah e Ramzan ke is qadar fazail hain aur itne khair o barakat hain ke Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne is maah k liye 2 maheene pe hle se duaayen ki hain chunanche hadees me hai ke jab rajjab ka chand nazar aata ,Huzoor Sallallahu Alahi Wasallam yeh dua padhte ”Allahumma Barik lana fi Rajab o Sha'ban wa ballighna Ramzan”. ✿ Maahe ramzan maghfirat aur aag se khalasi aur jannat ke husool ka behtareen mauqa hai aur maah e ramzan itna ba barkat neez itni sawab ki cheez hai ke Huzoor Sallallahu Alahi Wasallam ne mahe ramazan tak pahunchne ki dua farmayi, ✿ Hazart ibadah RaziAllahu Anhu farmate hain ek martaba Huzoor Sallallahu Alahi Wasallam ne ramazan ke qareeb irshaad farmaya ke, ⇒Ramzan ka maheena aagaya hai jo badi barkat wala hai ,Haq ta'ala Shaanhu us me tumhari taraf mutawajjah hote hain aur apni rahmat-e-Khassa nazil farmate hain, khataaon ko ma'af karte hain ,dua ko qubool karte hain tumhare tanafis ko dekhte hain aur malaika se fakhr karte hain. pas Allah ko apni neki dikhlao Badnaseeb hai woh shakhs jo is maheene me bhi Allah ki rahmat se mahroom rah jaye. *↳® Tabrani* *╟❥ next 02©ontinue in sha Allah* ~~~~~~~~▣▣▣~~~~~~~~ *Plz forward to all Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* http://Hafizasiffarooqi.blogspot.com 📖📖📖
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment