Powered By Blogger

Saturday, 20 May 2017

Assalamualaikum 📖📖📖 ✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм✦ *❀ R A M Z A A N ❀* ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ *✿●•· PART-05 ·•●✿* *✿●•· ROZE KA AJAR WA SAWAB BE HISAB HAI* Hazrat Abu Hurairah RaziAllahu Tala Anhu kahete hai ke Huzoor Sallallahu Alaihi Vasallam ne Farmaya , "Allah azzawajal Farmate hai ke ibne Adam ka har amal uske liye hai siwae Roze ke. Roza mere liye hai aur mai hee iski jaza dunga Roza (Aag se) dhal hai lihaza jis roz Tumme se kisi ka Roza ho us roz wo Fahesh goe na kare aur behuda kalaami na kare aur agar koi dusra isse gali galoch kare ya ladaai kare to Rozedar ko (sirf itna kahena chahiye) mai Rozedar hu us zaat ki qasam jiske hath me Huzoor Sallallahu Alaihi vasallam ki jaan hai Rozedar ke muh ki kushbu Qayamat ke din Allah Tala ko Mushk ki kushbu se bhi zyada pasandida hogi Rozedar ke liye 2 khushiya hai jinse wo farhat hasil karega. 1.Jab wo Roza iftar karta to khush hota hai. 2.Jab wo apne Rabb se milega aur Roze ke badle me apne Rabb se inaam paega to khush hoga. *⚀•RєԲ:➻* *muktasar Sahih Muslim: 571* *RAMAZAN K ROZE FARZ HAI QURAAN* ★ " Aye Imaan Walo! Tum Par Roze Farz kiye Gaye jis tarah Tum se Phale Logo Par Farz kiye gae the, taake tum MUTTAQI ban jao. *®Surah→Al-Baqarah,Ayat-183* ⇨Is Ayat―e―kareema se pata chala ke Roze ka Maqsad ye hai k hum me Taqwe ki Sifat paida ho, HUM Allah se Darne wale bane. To Rozo ko ahatmam ke sath rakhen. Zyada se zyada waqt Quran paak ki Tilawat me sarf karen, Chalte phirte ALLAH KA ZIKR Dil me or zaban par ho Nigaho ki hifazat karen Zaban ki hifazat karen Taraweeh pura Ramazan padhe Jhoot Gheebat se bachen *●Hadees-e-paak ka Mafhoom●* ★ Huzoor Sallallahu Alaihi Vasallam ne Farmaya " Roza Gunaho se Bachne ke liye Dhal Hai Rozedar Fahesh →yani be fizul← Bato aur koi Behuda kaam na kare agar koi Shaks Gali Galoch aur Ladae Jhagde par utar aye to sirf itna kahede k mai roze se hu. *⚀•RєԲ:➻* *Sahih Bukhari,* *╟❥ next 06©ontinue in sha Allah* ~~~~~~~~▣▣▣~~~~~~~~ *Plz forward to all Muslim* *Ahle deoband Group* http//Hafizasiffarooqi.blogspot.com 📖📖📖

No comments:

Post a Comment