Powered By Blogger

Monday, 22 May 2017

Assalamualaikum 📖📖📖 ✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм✦ *❀ R A M Z A A N ❀* ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ *✿●•· PART-19 ·•●✿* *✿●•·Kaffare Ki Miqdaar* ★ Ramzanul Mubarak ka Roza todna ka kaffara ye he k lagataar 2 mahine ke Roze rakhe, ⇨ Thode thode karke Roze rakhna kaafi nahi, Agar kisi vajah se Kaffara ke Rozo ke darmiyan ek do Roze nahi rakhe to ab fir se 2 mahine ke Roze rakhe, ⇨ Albatta Jo Roze haiz ki Vajah se rah gaye unke rah Jane ki Vajah se Kaffare ke tasalsul me koi fark nahi padta, Lekin paak hone ke baad foran Roze ( baqi ) shuru kar de aur 60 Roze pure kare, ★ Agar kisi me kaffare ke Rozo ki taaqat nahi ho to 60 miskeeno ko Subeh shaam bhar pet khana khila de, Albatta khayal rahe k un khane walo me bilkul chhote bachche na ho *® Ba- Hawala---- Durre Mukhtar, 2/119* *⚀•RєԲ:➻┐* *Fiqhul Ibadaat,332* *✿●•·Roze Ka Fidya* ★ Jisko itna Budapa ho gaya ho k Roze rakhne ki taaqat nahi rahi ya itni Bimaari he k ab achchha hone ki ummeed bhi nahi rahi na hi Roza rakhne ki taaqat he to Roze na rakhe aur har Roze ke badle ek miskeen ko sadqa e fitr ke barabar galla de de ya Subeh shaam pet bhar khana khila de, Shara'a me isko Fidya kehte he'n, ★ Aur galle ke badle me is qadar galle ki qeemat de de tab bhi durust he, ★ Fidya Ramzan se pehle Dena jaa'iz nahi, Ramzan ke Rozo ke Fidye ki raqam Ramzan aane se pehle advance me Dena sahi nahi albatta Ramzan shuru hone ke baad pure Ramzan ke Rozo ka fidya bhi de Sakte he'n, *⚀•RєԲ:➻┐* *Fiqhul Ibadaat,33* *╟❥ next 20©ontinue in sha Allah* ~~~~~~~~▣▣▣~~~~~~~~ *Plz forward to all Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* http://Hafizasiffarooqi.blogslot.com 📖📖📖

Fikr-E-Aakhirat Group

No comments:

Post a Comment