Fikr-E-Aakhirat Group
Sunday, 21 May 2017
Assalamualaikum 📖📖📖 ✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм✦ *❀ R A M Z A A N ❀* ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ *✿●•· PART-12 ·•●✿* *✿●•· AHAM - BAAT* ★ Ramzan Sharif ke roze har Aaqil Balig musalman per Farz he aur bager kisi shara'i uzr ke roza na rakhna Haraam he, ★ Agar na-balig ladka, ladki roza rakhne ki taaqat rakhte ho to Maa-Baap per Zaroori he k unko bhi Roza rakhwaye, ★ Jo bimaar roza rakhne ki taaqat rakhta ho aur roza rakhne se uski bimaari badne ka andesha na ho us per bhi Roza rakhna laazim he, ⇨ Baaz log bager uzr ke roza nahi rakhte aur bimaari ya safar ki vajah se Roza chhod dete hai aur baad me qaza bhi nahi rakhte, khastor per Aurto'n ke Jo roze ayyam ( Mahwari ) ki vajah se rah jate hai, unki qaza rakhne me susti ki jati he, ye bahut bada gunaah he, ★ Kaam ki vajah se,imtehan ki vajah se Roza chhod dene ki ijazat nahi, ★ Kisi doosre se apna roza rakhwana jaa'iz nahi, ⇨ Jis tarah khana khane se doosre ka pet nahi bharta, isi tarah ek shakhsh ke namaz padane aur roza rakhne se doosre ke zimme ka Farz Ada nahi hota, *⚀•RєԲ:➻* *Aapke Masqil aur Unka Hal,3/273* *✿●•· Wo Cheeze Jinse Roza Faasid Ho gaya* ★ 1- Kaan aur Naak me is tarah Dava daalna k halaq tak pahunch jaye, ★ 2-Qasdan ( Jaan bujhkar) moonh bharkar Kai karna ya moonh bharkar aane ke baad kuchh hissa qasdan lota Lena, ★ 3-Kulli karte hue halaq me paani ka chala Jana, ( us waqt Roza bhi yaad ho ) ★ 4- Aurat ko chhoone vagera se inzaal ho Jana, ★ 5- Lobaan ya Oad ka dhunwa qasdan naak ya halaq me pahunchana, Bidi, hukka pina isi hukm me he, ★ 6-Bhoolkar kha pi liya aur khayal kiya k isse Roza toot gaya hoga, fir qasdan kha liya, ★ 7- Raat samajhkar subeh sadiq ke baad Sahri kha Lena, ★ 8- Din Baqi tha magar galti se ye samjha k Aaftaab guroob ho gaya he, Aftaar kar liya, ★ 9- Koi esi cheez nigal Jana Jo Aadtan khayi nahi jati, Jese lakdi, loha, kachcha gehu ka daana vagera, *⚀•RєԲ:➻┐* *Fiqhul ibadaat, 326* *╟❥ next 13©ontinue in sha Allah* ~~~~~~~~▣▣▣~~~~~~~~ *Plz forward to all Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* http://Hafizasiffarooqi.blospot.com 📖📖📖
Labels:
Fikr-E-Aakhirat
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment