Fikr-E-Aakhirat Group
Wednesday, 31 May 2017
🌼🍀🌼 ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁ вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ✰━═━═━═━═━═━═━═━✰ 💎 Zakaat Ke Masail 💎 ☆ Part- 8 ☆ ✰━═━═━═━═━═━═━═━✰ ✺ Zakaat Ada na Karne Ka Vabaal -2 ✺ ◆◇◆◇◆ ★ Hazrat ibne Masu'od Raziyallahu Anhu Huzoore Akram Sallallahu Alaihivasallam ka irshad naqal karte hai'n k " Jo shakhs apne maal ki zakaat Ada nahi karta Qayamat ke din uska maal ganje saanp ki shakal me uski gardan me daal diya ja'ega, → fir Aap Sallallahu Alaihivasallam ne is majmoon ki aayat hume padhkar sunayi, ٌ ⇨ Aayat ka tarjuma ye he -- " aur hargiz khayal na kare ese log Jo esi cheez me bukhl karte hai'n Jo Allah ta'ala ne unko apne fazal se di he k ye baat kuchh unke liye achchhi hogi balki ye baat unki bahut buri he, woh log qayamat ke roz tauk pehna diye ja'enge uska jisme in hone bukhl kiya tha," ↳®Ravah Al- Tirmizi, ★ Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha se rivayat he k mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se suna he k Aap Sallallahu Alaihivasallam farmate the k, " Zakaat ka maal jab doosre maal se makhloot ( mix ) ho to zarur usko tabaah kar dega, " ↳® Musnad Shafai, ↳ Next -9 in sha Allah ta'ala, ↳® Aapke Masail aur unka Hal, 3/343 *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* 📲 *91-7026599320* http://Hafizasiffarooqi.blogspot.com ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ 🌼🍀🌼
🌼🍀🌼 ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁ вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ✰━═━═━═━═━═━═━═━✰ 💎 Zakaat Ke Masail 💎 ☆ Part- 7☆ ✰━═━═━═━═━═━═━═━✰ ✺ Zakaat Ada na Karne Ka Vabaal -1✺ ◆◇◆◇◆ ★ Allah Ta'ala ka irshad he, َ " Jo log Sona chandi jama karke rakhte hai'n aur unko Allah ki raah me kharch nahi karte, → so Aap unko ek badi dardnaak saza ki khabar suna dijiye k us roz waqe hogi k unko dozakh ki aag me avval tapaya jayega → fir inse un logo ki peshaniyo aur unki karwato aur unki pushto ko daag diya jayega, →ye woh hai jisko tumne apne vaaste jama karke rakha tha, → so ab apne jama karne ka maza chakho, " ↳® Surah At-Tauba, 34-35 ↳ Next - 8,in sha Allah ta'ala, ↳® Aapke Masail aur Unka Hal , 3/342 *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* 📲 *91-7026599320* https://Hafizasiffarooqi.blogspot.com ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ 🌼🍀🌼
Fikr-E-Aakhirat Group
🌸🍀🌸 ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁ βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ MUNKIRAAT E RAMZAN ✧ *:・゚✦✦*:・゚✧ PART— 08 ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ ▦══─────────────══▦ ☞- Ujrat per Taraveeh Padhana ---pichhle Part se aage Baqi hissa, ✾ Bahut se log huffaz ki Mali pareshani ka zikr karte he'n k khatm per uski madad ho jati he, To sawal ye he k wo pehle se gareeb tha ya taraveeh me Quran khatm karte hi gareeb ho gaya,? ⇒ Agar pehle hi se pareshan tha to uski madad pehle kyu nahi ki gayi, Gareeb ki madad karna mana nahi he, mana to ye he k usko Quran ki ujrat khilayi jaye, ✾ Baaz log ye bahana dhoondte he'n k agar ujrat na di gayi to masajid me khatme Quran ka rivaaj khatm ho jayega, halanki Qurane kareem esa sharai waajib ya laazim nahi he k uske liye ek na-ja'iz maamle ka irtkaab kiya jaye, ⇒ Fir ye daava bhi galat he k isse khatme Quran ka silsila band ho jayega, isliye k ummat me Alhamdulillah ese huffaz ki kami nahi he Jo khud apne Quran ki hifazat ke liye masajid talaash karne ke fikr mand na rehte ho, ●◆ Agar dene dilane ka rivaaj khatm ho jaye to khud ba khud huffaz ke dil se tama'a aur laalach ka khatma ho jayega, ⇨ isliye Shami me naqal kiya gaya he k ujrat per tilawat ke zariye iysaale sawab karane per ujrat lene wala aur dene wale dono gunahgar he, ®( Shami Zakariya, 9/77) ⇨Kyuki dene wale ke iraade se hi lene wale ko hosla milta he, agar is maamle me dene wale shariyat per amal karte hue dene se mana kar de to lene walo ko mutaalba karne ka hosla ho hi nahi sakta, ●◆ To be continued,, ↳ Next -09 , in sha Allah ta'ala, ↳® Allah se Sharm kijiye, 143 *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* 📲 *91-7026599320* https://Hafizasiffarooqi.blogspot.com ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ 🌸🍀🌸
Fikr-E-Aakhirat Group
Tuesday, 30 May 2017
🌸🍀🌸 ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁ βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ MUNKIRAAT E RAMZAN ✧ *:・゚✦✦*:・゚✧ PART— 07 ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ ▦══─────────────══▦ ☞- Aam tor per Kuchh buraiya'n aaj ke daur me Ramzan ke mubarak maah me ba-kasrat musalmano se saadir hoti he,: ---- ✾ 12- Ujrat per Taraveeh vagerah, ⇒ Allah ta'ala se sharm o haya ka taqaza ye bhi he k Aadmi kisi bhi deeni ibaadat ko duniya ke haasil karne ke liye maqsood na banaye, aur mamooli duniyavi nafa ke lalach me akhirat ka nafa qurban na kare, ✾ Aajkal Ramzanul Mubarak me Taraveeh sunane ke badle badi aamdani ka ruhjaan bhi badta chala ja raha he, isliye bade bade shehro me achchhi achchhi jagah talaash ki jati he, ⇒ Qurane kareem esi cheez nahi he k use chand kodiyo ke badle farokht kar diya jaye, Mahaz Quran ki tilawat per ujrat muqarrar karna Qurane kareem ki khuli hui toheen aur na-qadri he, Aur is silsile me Jo farzi tavilaat aur heele apnaye jate he'n wo bhi naqabile tavajjoh he, isliye k hakimul ummat Hazrat Thanvi Rh ne likha he k dayanaat me heelo ka akhtyar karna waqai hillat ke liye mufeed nahi he, ( imdadul fatawa, 1/485) ●◆ To be continued,,,,,, ↳ Next -08 , in sha Allah ta'ala, ↳® Allah se Sharm kijiye, 143 *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* 📲 *91-7026599320* http://Hafizasiffarooqi.blogspot.com ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ 🌸🍀🌸
Fikr-E-Aakhirat Group
🌼🍀🌼 ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁ вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ✰━═━═━═━═━═━═━═━✰ 💎 Zakaat Ke Masail 💎 ☆ Part- 6☆ ✰━═━═━═━═━═━═━═━✰ ✺ Zakaat Ada Karne Ki Fazilat -2✺ ✯——————————— ◆◇◆◇◆ ★ Hazrat Abu Hurayra Raziyallahu Anhu farmate. hai'n k Hujzoore Akram Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k , "Jo shakhs ek khajoor ke Dane ke barabar paak kamai se sadqa kare aur Allah ta'ala sirf paak hi ko qubool farmate hai'n , To Allah ta'ala usko apne dast me lekar qubool farmate hai'n , fir uske Maalik ke liye uski parvarish farmate hai'n ,. jis tarah k tumme se ek shakhs apni ghodi ke bachche ki parvarish karta he, yaha tak k woh (ek khajoor ke Dane ka sadqa qayamat ke din ) pahaad ke barabar ho jayega, " ↳® Sahih Bukhari, Muslim ↳ Next -7, in sha Allah ta'ala, ↳® Aapke Masail aur Unka Hal, 3/341 *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* 📲 *91-7026599320* http://Hafizasiffarooqi.blogspot.com ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ 🌼🍀🌼
Fikr-E-Aakhirat Group
🌼🍀🌼 ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁ вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ✰━═━═━═━═━═━═━═━✰ 💎 Zakaat Ke Masail 💎 ☆ Part- 5☆ ✰━═━═━═━═━═━═━═━✰ ✺ Zakaat Ada Karne Ki Fazilat -1✺ ◆◇◆◇◆ ★" Jo log Allah ki raah me apne maalo ko kharch karte hai, unke kharch kiye hue maalo ki haalat esi he jese ek daane ki haalat , jisse ( farz karo) saat baale (aur) har baal ke andar 100 Dane ho'n aur ye afzuni khuda ta'aala jisko chahta he ataa farmata he, Aur Allah ta'ala badi wus'at wale hai'n ,. jaanne wale hai'n, → Jo log apna maal Allah ki raah me kharch karte hai fir kharch karne ke baad na to (us per ) ahsaan jatate hai'n aur na ( bartav ) se usko azaar pahunchate hai'n , in. logo ko in ( ke amaal ) ka sawab milega, unke parvardigar ke paas aur na un per koi khatra hoga aur na ye magmoom honge, " ↳® Surah Al-Baqrah, 261-262 ↳ Next -6, in sha Allah ta'ala, ↳® Aapke Masail aur unka Hal, 3/341 *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* 📲 *91-7026599320* http://Hafizasiffarooqi.blogspot.com ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ 🌼🍀🌼
Fikr-E-Aakhirat Group
🌸🍀🌸 ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁ βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ MUNKIRAAT E RAMZAN ✧ *:・゚✦✦*:・゚✧ PART— 06 ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ ▦══─────────────══▦ ☞- Aam tor per Kuchh buraiya'n aaj ke daur me Ramzan ke mubarak maah me ba-kasrat musalmano se saadir hoti he,: ---- ✾ 10- Khatme Taraveeh ke Din Masajido me decorations, ⇒ Khatme Taraveeh ke din masjido me decoration, Sajawat me fizool kharchi aur digar gair zaruri intezamaat me waqt ki barbadi ke saath saath muntazeem ki taraveeh tak tark ho jati he aur ibaadat ki taraf se aamtar tavajjah hatkar israaf me lag jati he, Isliye is fizool ligting, Decorations, Sajawat vagera se bachna bhi behad zaruri he, ✾ 11- Takseem e Mithai aur Hadiya, ⇒ Khatme Taraveeh ke din takseeme Mithai aur Huffaaz kiraam ko Hadiya dene ke liye Jo aam chande ki soorat akhtyar ki jati he'n inme bahut saari kharabiya'n he, ●◆ Kitne hi log Jabran naami ke khof se dete he'n, kitne hi log jinke paas maali intezam nahi hota lekin apni izzat rakhne ki khatir unhe apni aukaat se badkar hissa Lena padta he, ↳ Next -07 , in sha Allah ta'ala, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 28 *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* 📲 *91-7026599320* http://Hafizasiffarooqi.blogspot.com ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ 🌸🍀🌸
Fikr-E-Aakhirat Group
Monday, 29 May 2017
🌸🍀🌸 ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁ βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ MUNKIRAAT E RAMZAN ✧ *:・゚✦✦*:・゚✧ PART— 05 ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ ▦══─────────────══▦ ☞- Aam tor per Kuchh buraiya'n aaj ke daur me Ramzan ke mubarak maah me ba-kasrat musalmano se saadir hoti he,: ---- ✾ 9 - Dawat e Aftaar ka Rivaaj, ⇒ Dawate aftaar ab ye ibaadat ki shakl chhodkar rivaaj aur fashion ki shakl akhtyar kiye ja raha he, ✾ Dawat e Aftaar bahut achchha kaam he lekin iske saath kuchh kharji kharabiya'n esi shamil ho gayi he'n k Riyakaari, Dikhawapan,fizool kharchi ki Vajah se ye ibaadat dawate rehmani se mehroomi ka sabab saabit ho rahi he, Aftaar ibaadat Aftaar Parti hoti ja rahi he, ⇒ Jama'at chhot rahi he, kam se kam masjid ki jama'at to aftaar ki nazar ho hi jati he, ●◆ Aftaar ke waqt Duao'n ka ahatmam nahi hota, Gairo ki shirkat hone lagi, Bepardgi, Besharmi aur digar kharabiyo ki vajah se Allah maaf kare baaz Dawate to shirkat ke laayaq bhi nahi hoti he'n, ↳ Next -06 , in sha Allah ta'ala, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 28 *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* 📲 *91-7026599320* http://Hafizasiffarooqi.blogspot.com ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ 🌸🍀🌸
Fikr-E-Aakhirat Group
🌼🍀🌼 ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁ вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ✰━═━═━═━═━═━═━═━✰ 💎 Zakaat Ke Masail 💎 ☆ Part- 4☆ ✰━═━═━═━═━═━═━═━✰ ✺ Zakaat Ke Pehlu-3 ✺ ✯———————————— ◆◇◆◇◆ ★ Zakaat ka ma'ani paaki he, Jis tarah meyla kapda dhone se paak ho jata he, Meyla jism nahane se paak saaf ho jata he, Isi tarah zakaat nikaalne se wo maal paak saaf ho jata he aur khud zakaat dene wale ko bhi paaki haasil hoti he, Uske andar se maal ki hirs, muhabbat, Bukhl vagera andruni bimariyo'n ka ilaaj hota he, ★ خُذْ مِنْ أَمْوَالِهِمْ صَدَقَةً تُطَهِّرُهُمْ وَتُزَكِّيهِم بِهَا.ٌ " Ey Nabi ! Aap musalmano ke amwaal me se Sadqa ( zakaat ) vasool kijiye jisse unke quloob ki tatheer aur unke nafso'n ka tazkiya ho, " M↳® Surah AT- Taubah, 103 ↳ Next -5, in sha Allah ta'ala, ↳®Fiqhul ibadaat, 270 *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* 📲 *91-7026599320* http://Hafizasiffarooqi.blogspot.com ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ 🌼🍀🌼
Fikr-E-Aakhirat Group
🌼🍀🌼 ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁ вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ✰━═━═━═━═━═━═━═━✰ 💎 Zakaat Ke Masail 💎 ☆ Part- 3☆ ✰━═━═━═━═━═━═━═━✰ ✺ Zakaat Ke Pehlu-1 v 2 ✺ ✯———————————— ◆◇◆◇◆ ★ Neki aur Fawa'id ke lihaaz se zakaat me 3 pehlu he'n :- ● 1- Apna kamaya hua maal Allah ta'ala ke hukm ke mutabik Allah ta'ala ke Bando'n per kharch karta he to goya Allah ta'ala ke huzoor maali Nazrana pesh karke apni Aazizi v inksaari ka izhaar karta he k " ye maal dar haqeeqat aapka atiya tha Jo mene aapko Razi karne ke liye kharch kiya, " ● 2- Zakaat ke zariye gareeb v mohtaaj Bando'n ki khidmat v i'aanat hoti he, is tarah unki khoob Duae'n hasil hoti he, ↳ Next - 4,in sha Allah ta'ala, ↳®Fiqhul ibadaat, 270 *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* 📲 *91-7026599320* http://Hafizasiffarooqi.blogspot.com ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ 🌼🍀🌼
Fikr-E-Aakhirat Group
🌼🍀🌼 ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁ вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ✰━═━═━═━═━═━═━═━✰ 💎 Zakaat Ke Masail 💎 ☆ Part- 2☆ ✰━═━═━═━═━═━═━═━✰ ✺ Zakaat ka Hukm ✺ ✯———————————— ◆◇◆◇◆ ★ Toheed v Risalat aur Namaz ke baad islaam ka Teesra sabse bada Rukn zakaat he, ★ Quran kareem me 70 se zyada maqamaat me Aqamate -Salaat aur Adae- Zakaat ka hukm saath saath kiya gaya he, Jisse maloom hota he k Deen me in dono Ka maqaam qareeb qareeb he aur zakaat ki farziyat ka munkir Deene islam se kharij he ★ Namaz ki tarah zakaat ka hukm bhi agli Shariyat me mojood tha, ⇨ Hazrat Ismaiyl Alaihissalam ke bare me he :- وَكَانَ يَأْمُرُ أَهْلَهُ بِالصَّلَاةِ وَالزَّكَاةِ " Woh apne ghar walo ko Namaz aur zakaat ka hukm dete he'n, " M↳® Surah Mariyam, 55 ↳ Next -3, in sha Allah ta'ala, ↳®Fiqhul ibadaat, 270 *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* 📲 *91-7026599320* http://Hafizasiffarooqi.blogspot.com ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ 🌼🍀🌼
Fikr-E-Aakhirat Group
🌼🍀🌼 ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁ вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ✰━═━═━═━═━═━═━═━✰ 💎 Zakaat Ke Masail 💎 ☆ Part- 1☆ ✰━═━═━═━═━═━═━═━✰ ✺ Zakaat Ke Ma'ani ✺ ◆◇◆◇◆ ★ Zakaat ke ma'ani ( meaning ) Pakizgi, Badotri aur Barkat ke he, ★ Allah ta'ala ka irshad he, :- خُذْ مِنْ أَمْوَالِهِمْ صَدَقَةً تُطَهِّرُهُمْ وَتُزَكِّيهِم بِهَا وَصَلِّ عَلَيْهِمْ ⇨ Tarjuma: - " Unke maal se zakaat lo taki unko paak kare'n aur Barkat kare'n uski vajah se aur Dua de'n unko, ↳® Surah At- Taubah, 103 ★ Shara'i istlah me Maal ke us khaas hisse ko zakaat kehte he'n jisko Allah ta'ala ke hukm ke mutabik faqeero'n, mohtajo'n vagera ko dekar unko maalik bana diya jaye, ↳ Next -2 in sha Allah ta'ala, ↳® Zakaat Ke Masail, (Hazrat Mufti Nazeeb Qasmi.), 1 *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* 📲 *91-7026599320* http://Hafizasiffarooqi.blogspot.com ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ 🌼🍀🌼
Fikr-E-Aakhirat Group
Sunday, 28 May 2017
Assalalamualaikum 🌸🍀🌸 ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁ βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ MUNKIRAAT E RAMZAN ✧ *:・゚✦✦*:・゚✧ PART— 04 ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ ▦══─────────────══▦ ☞- Aam tor per Kuchh buraiya'n aaj ke daur me Ramzan ke mubarak maah me ba-kasrat musalmano se saadir hoti he,: ---- ✾ 7- Kamsin Bachcho se Roza rakhwana, ⇒ Baaz log kamsin Bachcho se Roza rakhwate he'n, Photo khichwate he'n aur akhbaraat me chhapwate he'n, inme do badi khatabiya he'n, 1- Tasveer ( Photo) khichwana, 2- Bachcho ke zahan me nav umr ( Bachpan ) se hi riyakaari, dikhawa ke beej bo dena, Ibaadat me ikhlaas zaruri he, isliye is galat Rasmiyat se parhez kiya jaye, ✾ 8- Aurto'n ka Taraveeh na padhna, ⇒ Bahut si Aurte'n taraveeh ki Namaz nahi padhti he'n aur isko sirf Mardo ka kaam samajhti he'n, ●◆ Halanki Namaze Taraveeh Baalig Mard, Aurat sabke liye Sunnate Mokada he, ↳ Next -05 , in sha Allah ta'ala, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 28 ..... *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* 📲 *91-7026599320* http://Hafizasiffarooqi.blogspot.com ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ 🌸🍀🌸
Fikr-E-Aakhirat Group
Assalamualaikum 🌸🍀🌸 ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁ βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ MUNKIRAAT E RAMZAN ✧ *:・゚✦✦*:・゚✧ PART— 03 ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ ▦══─────────────══▦ ☞- Aam tor per Kuchh buraiya'n aaj ke daur me Ramzan ke mubarak maah me ba-kasrat musalmano se saadir hoti he,: ---- ✾ 5- Fizuliyaat aur T V, ⇒ Fizuliyaat ( Mosiqi ki cheeze ) aur T V se bilkul bachna chahiye, balki T V ko ghar se bahar kar dena chahiye kyuki T V Deen ke liye TB he, ✾ 6- Taraveeh se Ji churana, ⇒ Taraveeh se Ji churana ya is tarah padhna k jab imaam ruku me jaye tab shamil hona, Tab tak bethe rehana ya baate karte rehna Jo kai gunaho ka sabab he, ●◆ Masjid me baat karne ka gunah, logo ko takleef pahunchane ka gunah, logo ki Namaz se khushu v khuzu ke chale Jane ka sabab banne ka gunah aur Ramzan jese afzal maah ki be-hurmati ka gunah, ●◆ Lihaza nafs se majahida karke mukammal taraveeh Ada kare, ↳ Next -04 , in sha Allah ta'ala, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 29 *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* http://Hafizasiffarooqi.blogspot.com 📲 *91-7026599320* ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ 🌸🍀🌸
Fikr-E-Aakhirat Group
Assalamualaikum ♚♔♚ ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁ βίşмίĻĻάħίħʀʀάħмάήίʀʀάħέέм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ MUNKIRAAT E RAMZAN ✧ *:・゚✦✦*:・゚✧ PART— 02 ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ ▦══─────────────══▦ ☞- Aam tor per Kuchh buraiya'n aaj ke daur me Ramzan ke mubarak maah me ba-kasrat musalmano se saadir hoti he,: ---- ✾ 3- Raat me jaagna, Khel kood me Waqt barbaad karna, ⇒ Aksar nojawan raat me mehfile bithate he'n, Cricket, Volibaal, Caramboard vagera khelna ya Raat der tak tafreeh karna, Hotlo, Choraho per bethna, ● ye sab umoor khilafe shara he'n, inse bilkul ahatyaat zaruri he, ✾ 4- Logo ke saamne apne Roze me shiddate bhook ya pyaas ka mujahra karna, ⇒ Baaz log apne Roze me shiddate bhook ya pyaas ka mujahra karte he'n aur kehte he'n k bhook lagi he, Pyaas lagi he vagera, ● Ye bhi galat he, Ramzab Sabr ka mahina he, lihaza sabr karna chahiye, ↳ Next -03 , in sha Allah ta'ala, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 28 *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* 📲 *91-7026599320* http://Hafizasiffarooqi.blogspot.com ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ ♕♛♕
Fikr-E-Aakhirat Group
Assalamualaikum ♚♔♚ ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁ βίşмίĻĻάħίħʀʀάħмάήίʀʀάħέέм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ MUNKIRAAT E RAMZAN ✧ *:・゚✦✦*:・゚✧ PART— 01 ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ ▦══─────────────══▦ ☞- Aam tor per Kuchh buraiya'n aaj ke daur me Ramzan ke mubarak maah me ba-kasrat musalmano se saadir hoti he,: ---- ✾ 1- Kasrat se Sona, ⇒ Ramzan me itna sote he'n k saal bhar itna nahi sote, Ye gaflat ki alaamat he, esa nahi hona chahiye, ✾ 2- Kasrat se Khana, ⇒ Sahar aur Aftaar me hamesha aitdaal se kaam Lena chahiye, Jab Aadmi zyada khata he to shahwaniyat ubharti he aur fir gunaho me mubtila hota he, ●◆ Lihaza Roze ke maqsad ko samajhte hue khane me qadre ahatyaat karna chahiye, ●◆ Kyuki Roze ka maqsad nafs ko kamzor karke gunaho se bachana he, ↳ Next -02 , in sha Allah ta'ala, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 27 *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* 📲 *91-7026599320* http://Hafizasiffarooqi.blogspot.com ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ ♕♛♕
Fikr-E-Aakhirat Group
Tuesday, 23 May 2017
Assalamualaikum 📖📖📖 ✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм✦ *❀ R A M Z A A N ❀* ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ *✿●•· PART-21 ·•●✿* *✿●•· RAMZAN KI AAKHRI RAAT* ★ Ramdhan me Tauba astagfaar kasrat se kare khaas tor per" Lailatul Jayza " yani akhri RamZan ki raat, ⇨ Eid ki tayyariyo aur fizool kaamo ke bajaye ibaadat me guzaro, iski badi fazilate warid hui hai, ★Eid ul fitar ki shab me ibaadat karna mustahab he, Jesa k Hadees paak me guzra he k Huzoore Akram Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya, " Ramdhan ke mutallaik meri ummat ko khaas tor per 5 cheeze di gayi hai, Jo pehli ummato ko nahi mili - jinme ek ye he k Ramzan ki Akhri raat me Rozadaro ki magfirat kar di jati he, Sahaba ikram Raziyallahu Anhum ne arz kiya, " kya ye Shabe Magfirat Shabe Qadar hi to nahi,?" Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya, " nahi! balki dastoor ye he k mazdoor ka kaam khatm hote hi uski mazdoori de di jati he," *®Musnad Ahmad, Bayhqi* *⚀•RєԲ:➻┐* *Tohfa e Ramzan Mubarak, 65l* *╟❥ ALHAMDULILLAH MUKAMMAL* ~~~~~~~~▣▣▣~~~~~~~~ *Plz forward to all Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* http://Hafizasiffarooqi.blogspot.com 📖📖📖
Fikr-E-Aakhirat Group
Monday, 22 May 2017
Assalamualaikum 📖📖📖 ✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм✦ *❀ R A M Z A A N ❀* ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ *✿●•· PART-20 ·•●✿* *✿●•· A F T A A R I* ★ Aaftab ke guroob ho Jane ka yaqeen ho Jane ke baad aftaari me der karna makrooh he, ⇨ Haa'n jab Abr ( baadal ) vagera ki Vajah se shubha ho jaye to 2-4 minutes intezar kar lena behtar he, ★ Aur Naqsha me diye gaye waqt se 3 minutes ki ahatyaat baharhal karna chahiye, ★ Aftaari ke liye kya cheez behtar he??? ⇨ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya, k "Jab tumme se kisi ka Roza ho to wo Khajoor se aftaar kare, " *®Ravah Ahmad, Abu Daoud, Tirmizi,* ★ Agar Khajoor na paye to fir paani hi se aftaar kare, isliye k Allah ta'ala ne paani ko tahoor banaya he, *⚀•RєԲ:➻┐* *Fiqhul Ibadaat, 334* *✿●•·SHAB-A-QADR* ★ Chunki is ummat ki umre banisbat pehli ummato ke chhoti he, isliye Allah ta'ala ne apne fazal o karam se ek Raat muqarrar farmadi he jisme ibaadat karne ka sawab ek hazaar ( 1000 ) mahine ki ibaadat se bhi zyada he, ★ Lekin is Raat ko poshida rakha taki log iski talaash me koshish kare aur sawab be hisaab paye, ★ Ramzan ke Aakhri ashre ki taaq raato me Shabe qadr hone ka zyada ahatmal he, ⇨ Yani 21, 23, 25, 27, 29 vi shab me,,, 27 aur 29 vi shab ka Shabe qadr hona sabse zyada muhatmil he, ★ Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Ramzan ke Aakhri Ashre me ibaadat vagera me mujahida karte the aur wo mashaqqat uthate the Jo doosre Dino me nahi karte the, *Sahih Muslim,* ★in Raato me bahut mehnat, tavajjoh aur ikhlaas se ibaadat, tauba v astagfaar aur Duao'n me mashgool rehna chahiye, ⇨ Agar tamaam Raat jaagne ki taaqat na ho to jis qadar ho sake jaagne aur nifl Namazo, Tilawat Quran ya Zikr v Tasbeeh me mashgool rahe aur kuchh na ho sake to ishaa aur Fajar ki Namaz jama'at se Ada karne ka ahatmam kare, ★ Hadees Shareef me aaya he k ishaa aur Fajar ki Namaz ko jama'at se padhna Raat bhar jaagne ke hukm me he, ⇨ In Raato ko sirf Jalso aur Taqreero me sarf karke so Jana badi mehroomi he, Taqreere har Raat ho sakti he lekin ibaadat ka ye waqt fir haath nahi aayega, *⚀•RєԲ:➻┐* *Fiqhul Ibadaat, 342* *╟❥ next 21©ontinue in sha Allah* ~~~~~~~~▣▣▣~~~~~~~~ *Plz forward to all Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* http://Hafizasiffarooqi.blogspot.com 📖📖📖
Fikr-E-Aakhirat Group
Assalamualaikum 📖📖📖 ✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм✦ *❀ R A M Z A A N ❀* ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ *✿●•· PART-19 ·•●✿* *✿●•·Kaffare Ki Miqdaar* ★ Ramzanul Mubarak ka Roza todna ka kaffara ye he k lagataar 2 mahine ke Roze rakhe, ⇨ Thode thode karke Roze rakhna kaafi nahi, Agar kisi vajah se Kaffara ke Rozo ke darmiyan ek do Roze nahi rakhe to ab fir se 2 mahine ke Roze rakhe, ⇨ Albatta Jo Roze haiz ki Vajah se rah gaye unke rah Jane ki Vajah se Kaffare ke tasalsul me koi fark nahi padta, Lekin paak hone ke baad foran Roze ( baqi ) shuru kar de aur 60 Roze pure kare, ★ Agar kisi me kaffare ke Rozo ki taaqat nahi ho to 60 miskeeno ko Subeh shaam bhar pet khana khila de, Albatta khayal rahe k un khane walo me bilkul chhote bachche na ho *® Ba- Hawala---- Durre Mukhtar, 2/119* *⚀•RєԲ:➻┐* *Fiqhul Ibadaat,332* *✿●•·Roze Ka Fidya* ★ Jisko itna Budapa ho gaya ho k Roze rakhne ki taaqat nahi rahi ya itni Bimaari he k ab achchha hone ki ummeed bhi nahi rahi na hi Roza rakhne ki taaqat he to Roze na rakhe aur har Roze ke badle ek miskeen ko sadqa e fitr ke barabar galla de de ya Subeh shaam pet bhar khana khila de, Shara'a me isko Fidya kehte he'n, ★ Aur galle ke badle me is qadar galle ki qeemat de de tab bhi durust he, ★ Fidya Ramzan se pehle Dena jaa'iz nahi, Ramzan ke Rozo ke Fidye ki raqam Ramzan aane se pehle advance me Dena sahi nahi albatta Ramzan shuru hone ke baad pure Ramzan ke Rozo ka fidya bhi de Sakte he'n, *⚀•RєԲ:➻┐* *Fiqhul Ibadaat,33* *╟❥ next 20©ontinue in sha Allah* ~~~~~~~~▣▣▣~~~~~~~~ *Plz forward to all Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* http://Hafizasiffarooqi.blogslot.com 📖📖📖
Fikr-E-Aakhirat Group
Sunday, 21 May 2017
Assalamualaikum 📖📖📖 ✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм✦ *❀ R A M Z A A N ❀* ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ *✿●•· PART-18 ·•●✿* *✿●•· Roze Ki Qaza* ★ Kisi uzr se Roza qaza ho gaya to jab uzr khatm ho jaye to jald Ada karna chahiye, Zindgi aur taaqat ka bharosa nahi, ★ Qaza Rozo me akhtyar he k lagataar rakhe ya naaga karke rakhe, ★ Musafir safar se lotne ke baad ya mareez tandurast hone ke baad itna waqt na paye jisse qaza shuda Roze Ada kare to Qaza uske zimme laazim nahi, ⇨ Safar se lotne ya Bimaari se tandurast ho Jane ke baad jitne din mile un Dino ki qaza laazim he, ★ Baqi Bimaar ko Sahat ke baad itna waqt mila jisse wo Roze qaza Ada kar sakta tha ya Musafir ko safar se waapsi ke baad itna waqt mila jisse wo qaza shuda Roze Ada kar sakta tha lekin Ada nahi kiya aur Bimari bad Jane ki Vajah se ab zindgi ki ummeed nahi rahi to un Dino ke Rozo ki Vasiyat waajib he, *®Ba- Hawala--- Durre Mukhtar, 2/127* *⚀•RєԲ:➻┐* *Fiqhul ibadaat, 330* *✿●•· Ayyame Haiz ki Qaza* ★ Ma'aza Adviya bayan farmati he'n k Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha se daryaft kiya k Ye kya baat he k ayyame Haiz me Jo Roze qaza hote he'n unki qaza ki jati he aur Jo Namaze qaza hoti he'n unki qaza nahi padhi jati? Ummul momineen Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha ne farmaya k, Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke zamane me jab hum isme ( haiz me ) mubtila hote the to humko un Dino me qaza shuda Roze rakhne ka Hukm diya jata tha aur qaza namaz padhne ka Hukm nahi diya jata, *® Sahih Muslim,* *⚀•RєԲ:➻┐* *Fiqhul ibadaat, 331* *✿●•· Kaffara Laazim Hone ki Soorte'n* ★ 1- Wo shakhs jis per Roza farz hone ki tamaam sharayat payi jati ho, Ramzan ke us Roze jiski niyat subeh sadiq se pehle kar chuka ho, Jaan bujhkar moonh ke zariye pet me koi esi cheez pahunchayi Jo insaan ki davaa ya Giza me istemal hoti hoti ho yani uske istemal se kisi qism ka jismani nafa ya lazzat maqsood ho, ★ 2- Ya koi shakhs Jima'a kare ya karaye ( Jima'a me Aala Tanasul ka dakhil ho Jana kaafi he, Mani ka kharij hona shart nahi ) ⇨ in soorto me qaza aur Kaffara dono waajib honge, magar shart ye he k Jima'a esi Aurat se kiya jaye Jo Jima'a ke qabil ho, ★ Kaffara ka laazim hona Ramzanul Mubarak ke Roze todne ke saath khaas he, Gair Ramzan ke Rozo me sirf qaza laazim he Kaffara nahi, *® Ba-Hawala ---Durre Mukhtar, 2/409* *⚀•RєԲ:➻┐* *Fiqhul ibadaat, 331* *╟❥ next 19©ontinue in sha Allah* ~~~~~~~~▣▣▣~~~~~~~~ *Plz forward to all Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* http://Hafizasiffarooqi.blogspot.com 📖📖📖
Fikr-E-Aakhirat Group
Assalamualaikum 📖📖📖 ✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм✦ *❀ R A M Z A A N ❀* ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ *✿●•· PART-17 ·•●✿* *✿●•· Mutafarrik 3* Kisi ne kankri ya lohe ka tukda ya koi esi cheez kha li jisko log nahi khaya karte aur na hi koi usko bator dava ke khata he, to uska roza jata raha lekin us per kaffara wajib nahi, ⇨Aur esi cheez khayi ya pi li jisko log khate peete ho ya koi esi cheez he k yu to nahi khate lekin bator dava ke zarurat ke waqt khate hai to bhi Roza jata raha aur Qaza or kaffara do no laazim he, ★ Aurat ko Haiz aa gaya ho to usko roza Tod dene se kaffara lazim nahi, ⇨ Roza Todne se kaffara jab hi laaZim he jabki Ramzan sharif me roza Tod dale aur Ramzan sharif ke siva aur kisi roza ke todne se kaffara wajib nahi hota chahe jis tarah tode, agarche roza Ramzan ki qaza hi kyu na ho, ★ Kisi ne roza me naas liya, kaan me tail dala ya julaab me amal liya aur peene ki dava nahi pi tab bhi Roza jata raha lekin sirf Qaza wajib he kaffara nahi, ⇨ Agar kaan me paani dala to roza nahi gaya, ★ Aurto ka roza ki haalat me peshab ki jagah per dava rakhna ya tail vagera koi cheez daalna durust nahi, agar kisi ne dava rakh li to roza jata raha, qaza wajib he kaffara lazim nahi, ★ Apne moonh se chabakar chhote bachche ko koi cheez khilana makrooh he, albatta agar iski zarurat aur majboori v nachari ho to makrooh nahi, ★ Koyla chabakar daant manjna, manjan karna ya toothpaste se karna makrooh he aur agar is me se kuchh halaq me utar jaye to roza jata raha, ★ Miswaak se daant saaf karna durust he, chahe sukhi miswaak ho ya taazi usi waqt ki todi hui,, agar neem ki miswaak he aur uska kadapan moonh me maloom hota he tab bhi makrooh nahi, ⇨ RamZan ke mahine me agar kisi ka roza Toot gaya to roza Toot Jane ke baad bhi din me kuchh khana peena durust nahi, saara din rozadaro ki tarah rehna wajib he, *⚀•RєԲ:➻┐* *Bahishti Zever,* ⇨ Roza rakhkar gunah karne se behtar kya ye na hoga k Roza rakha hi na jaye?? ★ Ye baat hikmate sharai ke khilaf he, shariyat Roza rakhne walo se ye mutalba karti he k wo apne roze ki hifazat kare, aur jab Allah ki raza ke liye khana peena chhod diya he to wo lazzate gunaho se bhi door rahe, aur apne roze ke sawab ko jaaya na kare, magar shariyat ne ye nahi kaha k Jo log gunaho ke murtkab hote hai wo roza hi na rakhe, ★ HuZoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne rozedar ko parhez ki bahut hi takeed farmayi he, ek hadees paak me he,k " bahut se raat me qàyaam karne wale ese hai jinko raat jaagne ke Siva kuchh nahi milta , aur bahut se Rozadar ese hai jinko bhookh pyaas ke Siva kuchh nahi milta, " ★ Ek aur hadees paak me he k, " Jo shakhs jhoot bole aur galat kaam karne se baaz nahi aata, Allah ta'ala ko uska khana peena chhudane ki koi zarurat nahi, " *⚀•RєԲ:➻┐* *Aapke Masqil aur Unka Hal,3/333* *╟❥ next 18©ontinue in sha Allah* ~~~~~~~~▣▣▣~~~~~~~~ *Plz forward to all Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* http://Hafizasiffarooqi.blogspot.com 📖📖📖
Fikr-E-Aakhirat Group
Assalamualaikum 📖📖📖 ✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм✦ *❀ R A M Z A A N ❀* ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ *✿●•· PART-16 ·•●✿* *✿●•· Mutafarrik 2* ★ Roze ki haalat me thook nigalne se Roza nahi jata, lekin thook ko jamaa karke nigalna makrooh he, ★ injection se Roza nahi toot ta,sirf taaqat ka injection lagana makrooh he, Glucose ke injection ka bhi yahi hukm he, ★ Zabaan se kisi cheez ko zayka chakh kar thook diya to roza nahi toota, magar bina sakht zarurat esa karna makrooh he, ★ Moonh se nikla hua khoon agar thook ke saath nigal gaya to roza Toot gaya, lekin khoon ki miqdaar thook se kam ho aur halaq me khoon ka zaayka mehsoos na ho to roza nahi toota, ★Naak or kaan me dava daalne se Roza Toot jata he lekin Aankh me dava daalne se Roza nahi toot ta, ★ Glucose chadane se Roza nahi toot ta basharte k Glucose kisi uzr ki vajah se lagaya jaye, bina uzr Glucose chadana roza ki halat me makrooh he, ★ Khoon dene se Roza nahi toot ta, ★ Roze ki haalat me Toothpaste ka istemal makrooh he, halaki halaq me na jaye to roza nahi toot ta, ★ Roze ki haalat me vaju karte waqt kulli kar ke paani gira dena kaafi he, baar baar thookna fizool harkat he, isi tarah naak ki naram haddi tak paani pahunchane se paani dimaag tak nahi pahunchta is silsile me vaham karna bhi fizool he, ★Zehrile Cheez ke das lene se Roza na to toot ta he aur na hi makrooh hota he, ★ Mirgi ke dore se, behosh ho Jane se Roza nahi toot ta . *⚀•RєԲ:➻┐* *Aapke Masail aur unka Hal, 3/285*. ★ Raat ko nahane ki zarurat ho gayi magar gusl nahi kiya, din ko nahaye to bhi Roza ho gaya, agar din bhar nahi nahaye tab bhi Roza nahi jata, albatta iska( napaaki ka) gunah alag hoga, ★Naak ko itna jor se sudak gaya k halaq me chali gayi, isi tarah moonh ki raal sudak kar nigal Jane se Roza nahi toot ta, ★ Moonh me paan dabakar so gaye aur subeh ho Jane per aankh khuli to roza nahi hua, qaza kare kaffara laazim nahi, ★ kulli karte waqt halaq me paani chala gaya aur roza yaad tha, to roza jata raha, qaza wajib he, kaffara laazim nahi, ★ Agar aap hi aap kai ( ulti) ho gayi to roza nahi gaya chahe thodi ho ya zyada, albatta agar apne akhtyar se kai ki aur moonh bhar ke kai hui to roza jata raha aur moonh bhar kar nahi hui to roza nahi gaya, ★Thodi si kai aayi or aate hi aap hi halaq me lot gayi tab bhi Roza nahi toot ta, albatta agar jaan boojhkar lota le to roza Toot jata, *⚀•RєԲ:➻┐* *Bahishti Zever,* *╟❥ next 17©ontinue in sha Allah* ~~~~~~~~▣▣▣~~~~~~~~ *Plz forward to all Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* http://Hafizasiffarooqi.blogspot.com 📖📖📖
Fikr-E-Aakhirat Group
Assalamualaikum 📖📖📖 ✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм✦ *❀ R A M Z A A N ❀* ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ *✿●•· PART-15 ·•●✿* *✿●•· Mutafarrik 1* ★Agar Bhool kar kha liya, ya Kai ho gayi aur ye samajh liya k mera roza Toot gaya aur Kha pee le, to roza Toot gaya aur Qaza wajib he, ⇨ lekin ye masla maloom tha k kai se Roza nahi toot ta, ya bhool se kha pee lene se Roza nahi toot ta, iske bavjood kuchh kha pee le to is soorat me uske Zimme kaffara aur Qaza do no laazim honge, ★ Agar khoon halaq me chala gaya to roza Toot jata he, ★ Roze ki haalat me makhsoos jagah me dawa ( medicine) rakhne se Roza Toot jata he, ★ Roza ki haalat me gargara karna aur naak me jor se paani chadana mamnu'a he, ★ Roza ki haalat me( Bidi ) cigarette ya hukka peene se Roza Toot jata he, ★ Sehri khatam hone se pehle koi cheez moonh me rakh kar so gaya,to roza nahi hua, (Chahe jab jaaga to sehri ka time nikal chuka tha, fir moonh ki cheez nikaal kar fek di aur kulli kar li ho ) ★ Danto me gosht ka resha ya koi cheez reh gayi thi, aur khud ba khud andar chali gayi, to agar chane ke Dane ke barabar ya usse zyada thi to roza jata raha, aur agar chane ke Dane se kam thi to roza nahi toota, ★ agar bahar se koi cheez daalkar nigal li to chahe thodi ho ya zyada usse roza Toot jata he, ★ kisi aurat ko sirf dekhne se inzaal ho jaye ( mani nikal jaye) to roza nahi toot ta, lekin Gale lagane se, Bosa lene se inzaal ho to roza Toot jata he, sirf Qaza wajib hogi, ★ Agar roze ki haalat me agar koi shakhs haath ke zariye se Mani nikaal de to roza Toot jata he, sirf Qaza laazim he, *⚀•RєԲ:➻┐* *Aapke Masqil aur Unka Hal,3/241* ★Agar rozadar bhool kar kuchh kha le ya pee le, ( chahe pet bhar ) tab bhi Roza nahi toot ta, ★Ek shakhs ko kuchh khate peete dekha to agar wo is qadar taaqatwar he k Roza se zyada takleef nahi hoti ho to usko roza yaad dilana wajib he, Aur agar koi na taaqat ( kamzor ) ho k Roza se takleef hoti ho to usko yaad na dilaye, khane peene de, ★Din me roza ki haalat me so gaye aur neend me esa khwab dekha k nahane ki zarurat ho gayi to roza nahi toota, ★Din me surma lagana, khushbu sunghna, Tail lagana durust he, isse roza me koi nuksaan nahi aata chahe jis waqt ho, ★Mard, Aurat ka saath letna, haath lagana, Bosa lena ye sab durust he, lekin agar Jawani ka itna josh ho k in baato se sohbat ka dar ho to esa nahi karna chahiye, Roza ki haalat me makrooh he, ★Halaq ke andar Makkhi chali gayi ya Dhua, Gardo gubar chala gaya to roza nahi gaya, albatta agar qasdan ( jaan boojhkar) esa kiya to roza jata raha, ★Loban vagera ki dhooni sulgayi aur fir apne paas rakh kar sungha kiye to roza jata raha, isi tarah hukka peene se bhi Roza jata raha, albatta kewda, gulab ke fool ki khusbu ka sungna jisme dhua na ho, durust he, ★Daanto me gosht ka resha ya koi aur cheez atki hui thi, usko khilal kar nikaal kar kha liya, lekin moonh se bahar nahi nikali, aap hi halaq me chali gayi to dekho agar chane se kam he to roza nahi toota, aur chane ke barabar ya usse zyada ho to roza jata raha, ⇨ Agar moonh se bahar nikaal liya tha aur uske baad nigal liya to har haal me roza Toot gaya chahe chane ke barabar ho ya kam, zyada ho, ★Agar paan khakar khoob kulli gargara karke moonh saaf kar liya lekin thook ( peek) ki surkhi nahi gayi to usse koi harj nahi roza ho jayega, *⚀•RєԲ:➻┐* *Bahishti Zever,* *╟❥ next 16©ontinue in sha Allah* ~~~~~~~~▣▣▣~~~~~~~~ *Plz forward to all Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* http//Hafizasiffarooqi.blogspot.com 📖📖📖
FIKR-E-AAKHIRAT GROUP
Assalamualaikum 📖📖📖 ✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм✦ *❀ R A M Z A A N ❀* ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ *✿●•· PART-14 ·•●✿* *✿●•· Wo Uzr Jinse Roza na Rakhne ki Ijazat hoti he* ★ 1- Bimari ki Vajah se Roza rakhne ki taaqat na ho ya marj badne ka khatra ho to Roza na rakhna jaa'iz he, Ramzan ke baad Sahat ho Jane per iski qaza kare, ★ 2- Aurat ko hamal ki Vajah se Roze me bachcha ya apni jaan ko nuksaan pahunchne ka andesha ho to Roza na rakhe, baad me qaza kare, ★ 3- Jo Aurat apne ya Gair ke bachche ko doodh pilati ho agar Roze ki Vajah se Bachche ko doodh nahi milta ho aur isse bachche ko takleef pahunchti ho to Roza na rakhe, baad me qaza kare, ★ 4- Sharai musafir ko ijazat he k wo Roza na rakhe lekin agar takleef na ho to afzal yahi he k haalate safar me bhi Roza rakh le, ★ 5- Ba-haalate Roza safar shuru kiya ab uske liye Roza ko pura karna zaruri he, ⇨ Agar musafir haalate safar me tha aur subeh sadiq ke baad kuchh khaya piya nahi aur Roze ki niyat bhi nahi ki, Fir zawal se pehle watan ( home ) pahunch gaya, us per laazim he k wo Roza rakh le, ★ 6- Kisi ko qatl ki dhamki dekar Roza todne per majboor kiya jaye to uske liye Roza todna jaa'iz he, Baad me qaza kar le, *⚀•RєԲ:➻┐* *Fiqhul ibadaat, 328* *✿●•· Roza Rakhne ke Baad Bimaar Ho Gaya* ★ Agar koi shakhs Roza rakhne ke baad is qadar shadeed Bimaar ho jaye k Roza na todne ki soorat me marj ki shiddat ya bad Jane ka khatra ho to Aftaar kar lena jaa'iz he, Baad me qaza waajib he, Kaffara nahi, ★ Agar injection se ilaaj ho sake Dava pilakar Roza todne ki zarurat na ho to Roza todna jaa'iz nahi balki injection hi se ilaaj kare, *⚀•RєԲ:➻┐* *Fatawa Aalamgeer,1/307* *Fiqhul ibadaat, 329* *╟❥ next 15©ontinue in sha Allah* ~~~~~~~~▣▣▣~~~~~~~~ *Plz forward to all Muslim* *Fik-E-Aakhirat Group* http://Hafizasiffarooqi.blogspot.com 📖📖📖
Fikr-E-Aakhirat Group
Assalamualaikum 📖📖📖 ✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм✦ *❀ R A M Z A A N ❀* ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ *✿●•· PART-13 ·•●✿* *✿●•· Wo Cheeze Jinse Roza to Nahi Tootta Magar Makrooh ho Jata he* ★ 1- Bila zarurat kisi cheez ko chabana, Namak vagera chakh kar thook dena, Tooth Pest, Manjan ya Koyla se daant saaf karna, ★ 2- Subeh sadiq se pehle Junbi ho gaya fir din bhar haalate janabat me rehna, ★ 3- Fasad khulwana ( Bleeding ) ya kisi ko khoon apna khoon Dena, ★ 4-Geebat yani kisi ki peeth pichhe burayi karna, ⇨ Geebat har haal me haraam he, Roze me iska gunaah aur bad jata he, ★ 5- Ladna jhagadna, Gaali galoch karna, *⚀•RєԲ:➻┐* *Fiqhul ibadaat, 327* *✿●•· Wo Cheeze Jinse Roza nahi Tootta aur Na hi Makrooh hota He* ★ 1- Miswaak karna, ★ 2- Sar ya Munchho per Tel lagana, ★ 3- injection ya teeka lagana ya lagwana, ★ 4- Aankh me Dava daalna ya Surma lagana, ★ 5- Khushbu lagana, ★ 6- Garmi aur Pyas ki Vajah se Gusl karna, ★ 7- Bhool kar Khaa pi lena, ★ 8- Halaq me bila akhtyar Dhunwa ya makkhi vagera ka chala Jana, ★ 9- Khud ba Khud Kai aa Jana, ★ 10 - Sote hue ahatlaam ho Jana, ★ 11- Daanto me khoon aaye magar halaq me nahi jaye, isse Roze me koi khalal nahi aata, ★ 12- Agar Jababat ki haalat me bager gusl kiye Roza ki niyat kar li to Roze me khalal nahi aata, *⚀•RєԲ:➻┐* *Fiqhul ibadaat, 327* *╟❥ next 14©ontinue in sha Allah* ~~~~~~~~▣▣▣~~~~~~~~ *Plz forward to all Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* http://Hafizasiffarooqi.blogspot.com 📖📖📖
Fikr-E-Aakhirat Group
Assalamualaikum 📖📖📖 ✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм✦ *❀ R A M Z A A N ❀* ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ *✿●•· PART-12 ·•●✿* *✿●•· AHAM - BAAT* ★ Ramzan Sharif ke roze har Aaqil Balig musalman per Farz he aur bager kisi shara'i uzr ke roza na rakhna Haraam he, ★ Agar na-balig ladka, ladki roza rakhne ki taaqat rakhte ho to Maa-Baap per Zaroori he k unko bhi Roza rakhwaye, ★ Jo bimaar roza rakhne ki taaqat rakhta ho aur roza rakhne se uski bimaari badne ka andesha na ho us per bhi Roza rakhna laazim he, ⇨ Baaz log bager uzr ke roza nahi rakhte aur bimaari ya safar ki vajah se Roza chhod dete hai aur baad me qaza bhi nahi rakhte, khastor per Aurto'n ke Jo roze ayyam ( Mahwari ) ki vajah se rah jate hai, unki qaza rakhne me susti ki jati he, ye bahut bada gunaah he, ★ Kaam ki vajah se,imtehan ki vajah se Roza chhod dene ki ijazat nahi, ★ Kisi doosre se apna roza rakhwana jaa'iz nahi, ⇨ Jis tarah khana khane se doosre ka pet nahi bharta, isi tarah ek shakhsh ke namaz padane aur roza rakhne se doosre ke zimme ka Farz Ada nahi hota, *⚀•RєԲ:➻* *Aapke Masqil aur Unka Hal,3/273* *✿●•· Wo Cheeze Jinse Roza Faasid Ho gaya* ★ 1- Kaan aur Naak me is tarah Dava daalna k halaq tak pahunch jaye, ★ 2-Qasdan ( Jaan bujhkar) moonh bharkar Kai karna ya moonh bharkar aane ke baad kuchh hissa qasdan lota Lena, ★ 3-Kulli karte hue halaq me paani ka chala Jana, ( us waqt Roza bhi yaad ho ) ★ 4- Aurat ko chhoone vagera se inzaal ho Jana, ★ 5- Lobaan ya Oad ka dhunwa qasdan naak ya halaq me pahunchana, Bidi, hukka pina isi hukm me he, ★ 6-Bhoolkar kha pi liya aur khayal kiya k isse Roza toot gaya hoga, fir qasdan kha liya, ★ 7- Raat samajhkar subeh sadiq ke baad Sahri kha Lena, ★ 8- Din Baqi tha magar galti se ye samjha k Aaftaab guroob ho gaya he, Aftaar kar liya, ★ 9- Koi esi cheez nigal Jana Jo Aadtan khayi nahi jati, Jese lakdi, loha, kachcha gehu ka daana vagera, *⚀•RєԲ:➻┐* *Fiqhul ibadaat, 326* *╟❥ next 13©ontinue in sha Allah* ~~~~~~~~▣▣▣~~~~~~~~ *Plz forward to all Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* http://Hafizasiffarooqi.blospot.com 📖📖📖
Fikr-E-Aakhirat Group
Assalamualaikum 📖📖📖 ✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм✦ *❀ R A M Z A A N ❀* ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ *✿●•· PART-11 ·•●✿* *✿●•· SEHRI. AUR. AFTAAR* ★ Sehri khana Mustahab he aur Baa'ise barkat he, agar na khayi tab bhi Roza ho jayega, ★ Sehri me der, magar ye zaroori he k subeh saadiq se pehle khaya jaye , Aur aftaar me jaldi karna chahiye magar ye zaroori he k din guroob ho Jane ka yaqeen ho jaye tab hi roza khole, ★ Azaan amuman Subeh saadiq ke baad hi hoti he, agar Azaan ke waqt tak khaya piya to roza nahi hoga, ⇨Roza kholte waqt niyat shart nahi, Aftaar ke waqt dua mustahab he, bager dua ke roza khol liya to bhi roza sahi he, ★ Aftaar ke waqt Duae'n Qubool hoti he, isliye dua ka zaroor ahatmam karna chahiye, ★ Roza rakhne aur kholne me usool ye he k usi jagah ka etbaar hoga jaha Aadmi us waqt mojood he, ⇨ Maslan ek shakhsh India se Sehri karke( roza rakh kar) Saudi Arab gaya to ab Saudi Arab ke guroob ke etbaar se aftaar karna hoga, ★ Airoplane me safar karte waqt jis jagah ki bulandi per plane ud raha he chahe wo 10 hazaar fit ki bulandi per ho aur us bulandi se guroob Aftaab dikh raha ho to roza Aftaar kar lena chahiye, *⚀•RєԲ:➻┐* *Aapke Masail aur unka Hal, 3/266* *✿●•· Kin Vujuhaat se Roza Tod dena Jaa'iz he,* ★ Agar Rozedar achanak bimaar ho jaye aur Andesha ho k agar Roza na toda to jaan ka khatra he, ya bimaari bad Jane ka khatra he to esi halat me roza Tod dena jaa'iz he, ★ Haamla Aurat ki jaan ko ya bachche ki jaan ko khatra lahak ho jaye to roza Tod dena jaa'iz he, ⇨ Sharai uzr ki vajah se tode gaye roze ka kaffara laazim nahi magar Qaza laazim he, ⇨ Agar bimari ki vajah se chhote Dino me bhi Qaza karne ki taaqat nahi ho to iske siva koi chara nahi k in rozo ka Fidya Ada kare, Ek din ke roze ka fidya Sadqa e Fitr ke barabar he, *⚀•RєԲ:➻┐* *Aapke Masqil aur Unka Hal,3/271* *╟❥ next 12©ontinue in sha Allah* ~~~~~~~~▣▣▣~~~~~~~~ *Plz forward to all Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* http://hafizasiffarooqi.blogspot.com 📖📖📖
Fikr-E-Aakhirat Group
Assalamualaikum 📖📖📖 ✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм✦ *❀ R A M Z A A N ❀* ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ *✿●•· PART-10 ·•●✿* *✿●•· RAMZAN ME 4 CHEEZO KI PABANDI* ★ Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya, " Mahe Ramzan me 4 cheezo par khoob amal kiya karo, Q ki 2 chizo se Allah ta'ala raazi honge, aur baqiya 2 cheezo se tum be-niyaaz nahi ho sakte ho, yani us ko karna hi chaahiye, Rab ko raazi karne vali 2 cheezo yah he'n . ⇨1.Laailaaha illallah padhte rahna, ⇨2.istegfaar karte rahna. Aur dusri 2 cheezi jin se tum be niyaaz nahi ho sakte yah he, ⇨3.Jannat ka sawal karna. ⇨4.Jahannam se panah maangna. *↳®Sahi ibne khujema :1780, An salman farsi rd.* *✿●•· ROZE KI NIYAT* ✾ Behtar ye he ke Ramdhan Mubarak ke Roze ki niyat Subeh Sadiq se pehle kar li jaye, ✾ Agar subeh Sadikq se pehle Roza rakhne ka iraada nahi tha, subeh Sadiq ke baad iraada hua k Roza rakh hi lena chahiye to agar subeh Sadiq ke baad kuchh khaya piya nahi to niyat sadiq ke baad karna sahi he, ✾ Agar kuchh khaya piya nahi ho to Dopahar se ek ghanta pehle tak ramzan sharif ke roze ki niyat kar sakte hai, ✾ Ramzan sharif ke roze me bas itni niyat kar lena kaafi he k aaj mera roza he, ya raat ko niyat karna k subeh roza rakhna he, ✾ Roze ke liye sehri khana ba-barkat he k isse din bhar quwwat rehti he, magar ye roza ke sahi hone ke liye shart nahi, Agar kisi ko sehri khane ka moqa nahi mila aur Sehri khaye bina roza rakh liya to bhi sahi he, ✾ Ramzan ka roza rakh kar tod diya to Qaza aur Kaffara dono laazim honge, *⚀•RєԲ:➻┐* *Aapke Masail aur Unka Hal, 3/262* *╟❥ next 11©ontinue in sha Allah* ~~~~~~~~▣▣▣~~~~~~~~ *Plz forward to all Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* http://Hafizasiffarooqi.blogspot.com 📖📖📖
Fikr-E-Aakhirat Group
Assalamualaikum 📖📖📖 ✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм✦ *❀ R A M Z A A N ❀* ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ *✿●•· PART-09 ·•●✿* *✿●•· Hadees-e-paak ka Mafhoom* ★JO RAMZAN KA ROZA QASDAN CHHODE FIR CHAHE TAMAM UMAR ROZA RAKHE WOH USKE BARABAR NAHI HO SAKTA. *®TIRMIZI.* ★RAMZAN KI HAR RAAT-O-DIN ME SE MUSALMAN KI EK DUA ZAROOR QUBUL HOTI HAI. *®TARGEEB.* ★Meri UMMAT Zaleel O Ruswa Na Hogi, JabTak Woh Mahe Ramazan Ka Haq Ada Karti Rahegi. *®Jamia Sageer* ★HUZUR ALAIHISSALAM NE FARMAYA MAHE RAMZAN SABR KA MAHINA HE AUR SABR KA SAWAB JANNAT HE. *®FAZILAT-E-NAMAZ.* ★Jo ROZADAR Ko Paani Pilaaiga ALLAH TA'ALA Use Mere HOUZ Se Pilaaiga Ki JANNAT Me Dakhil Hone Tak Piyasa Na Hoga. *®Ibn-e-Khuzaima 3:192:1887.* ★HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM NE 3 TARAH KE LOGO KO BAD DUA DI JIS PAR HAZRAT JIBRAIL NE AAMIN KAHA USME SE EK RAMZAN KA ROZA NA RAKHNEWALA HAI. *®Kanzul UMMAL.* ★Is Mahine Ka Pehla Ashrah RAHMAT Doosra MAGFIRAT aur Teesra Ashrah JAHANNAM Se Aazadi Ka Hai. *®Sahi Ibn-e-Khuzaima J:3 S:191 H:1887.* ★AAQA Sallallahu Alaiyhi WaSallam Ne Farmaya: Jab Ramzan Aata Hai To Jannat Ke Tamaam Darwaaze Khol Diye Jate Hai. *®Bukhari:1898.* ★Ye Mahina (RAMZAN) Sabr Aur Bhalai Ka He Aur Sabr Ka Sawab Jannat He Aur Is Me Momin Ka Rizq Badhaya Jata Hai. *®SAHI IBN-E-KHUZAIMA 3/1887* ★JisKa Roza Ki Halat Me Inteqal Hogaya Allah usko Qayamat Tak Ke Rozon ka Sawab Ata Farmayega. *®Al Firdaus J:3 S:4.* ★Kya Aap Jante He? Ramzan Ul Mubarak me Musalmano Ki Qabro Par Azaab-e-Qabra Nahi Hota. *®Miartul Manazih 3.* ★Huzoor Sallallahu Alahi Wasallam ka farman hai: Hamare aur ahle'kitab ke rozo ke darmiyan ka farq sehari ka khana hai. *®Muslim.* ★Ramzan Me Zikre-ILAHI Karnewala Baqsh Dia Jata He Aur Is Mahine Me ALLAH Se Maangne Wala Mehrum Nahi Rahta. *®Shoaibul Imaan, H.No:3627.* ★Jab RAMZAN Aata Hai Tab Asman ke Darwaze khol diye Jate hai Aur dozakh Ke Darwaze Band Kar diye jate hai. *®SAHIH BUKHARI kitabus-Som 1/626 Hadis no189* *╟❥ next 10©ontinue in sha Allah* ~~~~~~~~▣▣▣~~~~~~~~ *Plz forward to all Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* http://Hafizasiffarooqi.blogspot.com 📖📖📖
Fikr-E-Aakhirat Group
Assalamualaikum 📖📖📖 ✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм✦ *❀ R A M Z A A N ❀* ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ *✿●•· PART-08 ·•●✿* *✿●•· Hadees-e-paak ka Mafhoom* ★JANNAT HAR DIN ROZADAARO KE LIYE SAJAAYI JAATI HAI. *↳®TARGEEB.* ★BESHAQ JANNAT IBTEDAYI SAAL SE AAINDA SAAL TAK RAMZANUL MUBARAK KE LIYE SAJAYI JAATI HAI. *↳®MISHKAT*. ★Jisne Allah Ki Raah Me 1 Roza Rakha to Allah iske Chehre ko Jahannam se 70sal ki Musafat Dur Kardega. *↳®Bukhari v2 Page: 265* ★RAMZAN KE ISTAQBAAL KE LIYE SARA SAAL JANNAT SAJAAI JAATI HAI. *↳®SHAUBUL IMAAN,JILD.3,SAFA.312.* ★ROZADAAR KA SONA (SLEEP) IBAADAT HAI USKI KHAMOSHI TASBIH HAI AUR USKA AMAL MAQBOOL HAI. *↳®TIRMIZI.* ★SEHRI BARKAT KI CHEEZ HE ALLAH NE ISSE TUMKO NAWAZA HE ISLIYE TUM ISKO KABI NA CHORNA. *↳®NASAI:2164.* ★KHAZOOR Khaane Se Koolanj (Badi Antadi Ka Dard APPENDIX) Nahin Hota. *↳®Kanzul Ummaal J:10 S:12 H:24191* ★"JO MUSALMAN JUM'A KI RAAT YA DIN ME YA RAMZAN KE PURE MAHINE ME (DIN YA RAAT)ME MARE USSE KABR ME SAWAL NAHI HOGA." *↳®Musand-E-Imaam AHMAD H:8080* ★RAMZAN Ke Roze aur Har Mahine Mein 3 Din Ke ROZE Seene Ki Kharaabi Ko Door Karte Hai. *↳®Musand-e-Imaam Ahmed Jild:9 Safa:36 Hadees:23132* ★Beshak! Allah Azzawajal Aur Uske Farishte Sehri Khanewalo Par Rahmat Nazil Farmate He. *↳®Sahi Ibne Hibban* ★RAMZAN Ke Roze aur Har Mahine Mein 3 Din Ke ROZE Seene Ki Kharaabi Ko Door Karte Hai. *↳®Musand-E-Imaam Ahmed Jild:9 Safa:36 Hadees:23132* ★Jo Buri Baat Kehna aur Us Par Amal Karna Na Chhode To Us Ke BHOOKA-PYASA Rahne Ki ALLAH Ko Kuch Haajat Nahi. *↳®Bukhari J:1 S:628 H:1903* ★Bahot Se Rozedar Aise He Ki Un Ko Unke Roze Se Bhookh Bur Piyas Ke Siwa Kuchh Hasil Nahi Hota. *↳®Sunan Ibn-e-Majah Jild:2 Safa:320* ★ Beshak Rozadar Ke Liye Iftaar Ke Waqt 1 Aisi Dua Hoti He Jo Rad Nahi Ki Jaati. *↳®Attargib Wattarhib J:2 S:53 H:29* ★Hamare Aur Ahlekitab (Isaaiyo Aur Yahudiyo) Ke Rozo Ke Beech Farq Sehri Khana Hai Yani (wo Log Sehri Nahi Khate). *↳®MUSLIM Page:552.* ★Jo Banda ALLAH Ta'ala Ki Raah Me 1 Din Ka Roza Rakhega To Dozakh us Bandese 100 Baras Ki Raah Par Hogi. *↳®Tibrani* *╟❥ next 09©ontinue in sha Allah* ~~~~~~~~▣▣▣~~~~~~~~ *Plz forward to all Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* http//Hafizasiffarooqi.blogspot.com 📖📖📖
Fikr-E-Aakhirat Group
Assalamualaikum 📖📖📖 ✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм✦ *❀ R A M Z A A N ❀* ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ *✿●•· PART-07 ·•●✿* *✿●•· Hadees-e-paak ka Mafhoom* ★Huzoor Sallallahu Alahi Wasallam ne Farmaya Agar Bando'n ko Malum hota ke Ramzan kya Cheez hai to Meri Ummat Tamanna karti ke pura Saal Ramzan hi ho *↳®SAHIH IBNE KHUZAIMA, kitabus Siyam, JILD:3 SAFHA:190 HADEES:1886* ★MUJHE APNE BANDO ME SAB SE ZYADA PASAND WOH HAI. JO IFTAAR ME JALDI KARNE WAALA HO. *↳®TIRMIZI SHARIF,Jild:1,Safa:150* ★RAMZAN KE ISTAQBAAL KE LIYE SARA SAAL JANNAT SAJAAI JAATI HAI. *↳®SHAUBUL IMAAN JILD.3 SAFA.312* ★Jis Maal Ki Zakat Na Di jaye Wo Maal Baroze Qayamat Ganje Saanp Ki Surat Me Gale Me Touq Bana kar Daal Diya Jaega. *↳®Sahih Bukhari.* ★MUJHE APNE BANDO ME SAB SE ZYADA PASAND WOH HAI JO IFTAAR ME JALDI KARNE WAALA HO. *↳®TIRMIZI SHARIF Jild:1 Safa:150* ★JISNE APNE MAAL KI ZAKAAT ADA KAR DI TO BESHAQ ALLAH TA'ALA NE USSE TAKLIF KO DOOR FARMA DIYA. *↳®HAAKIM* ★ALLAH TA'ALA RAMZAN KI HAR RAAT ME IFTAR KE WAQT 1 LAKH AISE DOZAKHIYO KO AAZAD FARMATA HAI JIN PAR AZAB WAAJIB HOTA HAI. *↳®TIRMIZI* ★GEEBAT: QUR'AN: JAISE APNE MURDA BHAI KA GOSHT KHANA HADEES: GEEBAT ZINA SE BHI SAKHT TAR HAI GEEBAT KI WAJAH SE ROZE KI NURANIYAT JAATI RAHTI HAI. *↳®DURR-E-MUKHTAR* ★Beshak Momin Achche Akhlaq Ke Sabab Aur Rozedar Raat Ke Qayaam Ke Sabab uncha Darja Pa Leta He. *↳®Abu Dawood* ★ALLAH OR USKE HABEEB Ko PaKr Kabhi Kisi Ne Kuch Nhi Khoya Aur ALLAH OR USKE HABEEB Ko Khokar Kabhi Kisi Ne Kuch Nahi Paya. 2 HAJJ+2 UMRO KA SAWAB: HADIS KHULASA- Jisne Ramzan me (10 Din ka) Etikaf kar liya voh aisa he Jaise 2 hajj aur 2 umre kiye. *↳®SHUABUL IMAN 3* ★ALLAH KE RAASTE ME EK DIN SARHAD KI HIFAAZAT ME GUZARNA DUNYA & US KI SAARI CHEEZO SE BEHTAR HAI. *↳®BUKHARI HADEES: 2892* *╟❥ next 08©ontinue in sha Allah* ~~~~~~~~▣▣▣~~~~~~~~ *Plz forward to all Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* http://Hafizasiffarooqi.blogspot.com 📖📖📖
Fikr-E-Aakhirat
Saturday, 20 May 2017
Assalamualaikum 📖📖📖 ✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм✦ *❀ R A M Z A A N ❀* ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ *✿●•· PART-06 ·•●✿* *✿●•· Hadees-e-paak ka Mafhoom ★ JO SHAKHS KISI ROZADAR KO IFTAR KARAYE TO YE GUNAH KI MAAFI AUR DOZAKH SE NAJAAT KA ZARIYA HAI. *↳®BAIHAQI.* ★ Allah farmata hai:↴ Insaan Ka Har Ek Nek Amal Khud Usi Ke Liye hai Magar Roza Wah Khas Mere Liye hai Aur Mai hi Is Ka Badla Dunga. *↳®Bukhari.* ★ Jo ROZADAR Ko Paani Pilaaiga ALLAH Use Mere HOUZ Se Pilaaiga Ki JANNAT Me Dakhil Hone Tak Piyasa Na Hoga. *↳®Ibn-e-Khuzaima 3:192:1887* ★ Huzoor Sallallahu Alaiyhi WaSallam Ne Farmaya: "Ramzan Me Umra Karna Hajj Ke Barabar Bal Ke Mere Saath Hajj Karne Ke Barabar Hai." *↳®Sahih Muslim: 3098.* ★ ROZA AUR QUR'AN BANDE KI SHAFA'AT KARENGE AUR DONO KI SHAFA'AT QABOOL HOGI. *↳®TIBRANI,BAIHAQI.* ★ RAMZAN ME ROZEDAAR KE LIYE SUBHA SE SHAM TAK 70,000 FARISHTE DUA-E-MAGFIRAT KARTE REHTE HAI. *↳®SHAUBUL IMAAN JILD.3.* Ramzan Me Gharwalo Ke Kharch Me Kushadgi Karo Kyun ki Is Mahine Me Kharch Karna Allah Ki Rah Me Kharch Karna Hai *↳ ®Jamia Sageer.* ★ Jo Ramazan me iman aur sawaab ke sath(namaz me)qayam kare uske agle pichhle tamaam gunah mita diye jayenge. *↳®Bukhari.* ★ Huzoor Sallallahu Alahi Wasallam Farmate Hai: "ROZA aur QUR'AN Bande Ke Liye QIYAMAT Ke Din Shafa'at Karenge." *↳®Musnad-E-Imaam Ahmad Jild:2 Safa:586 Hadees:6637* ⇨ AYE LOGO ! TUMHARE PAAS AZMATWALA AUR BARKATWALA MAHINA (RAMZAN) AAYA WO MAHINA JISME EK RAAT 1000 MAHINO SE BEHTAR HAI. *↳®BAIHAQI.* ★ Jis Rozadar Ne Bhool Se Khaya Piya Wo Apna Roza Pura Kare (Uska Roza Nahi TooTa) kyun ki Use Allah Ne Khilaya Pilaya. *↳®MUSLIM Hadis:1155.* *╟❥ next 07©ontinue in sha Allah* ~~~~~~~~▣▣▣~~~~~~~~ *Plz forward to all Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* http://Hafizasiffarooqi.blogspot.com 📖📖📖
Assalamualaikum 📖📖📖 ✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм✦ *❀ R A M Z A A N ❀* ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ *✿●•· PART-05 ·•●✿* *✿●•· ROZE KA AJAR WA SAWAB BE HISAB HAI* Hazrat Abu Hurairah RaziAllahu Tala Anhu kahete hai ke Huzoor Sallallahu Alaihi Vasallam ne Farmaya , "Allah azzawajal Farmate hai ke ibne Adam ka har amal uske liye hai siwae Roze ke. Roza mere liye hai aur mai hee iski jaza dunga Roza (Aag se) dhal hai lihaza jis roz Tumme se kisi ka Roza ho us roz wo Fahesh goe na kare aur behuda kalaami na kare aur agar koi dusra isse gali galoch kare ya ladaai kare to Rozedar ko (sirf itna kahena chahiye) mai Rozedar hu us zaat ki qasam jiske hath me Huzoor Sallallahu Alaihi vasallam ki jaan hai Rozedar ke muh ki kushbu Qayamat ke din Allah Tala ko Mushk ki kushbu se bhi zyada pasandida hogi Rozedar ke liye 2 khushiya hai jinse wo farhat hasil karega. 1.Jab wo Roza iftar karta to khush hota hai. 2.Jab wo apne Rabb se milega aur Roze ke badle me apne Rabb se inaam paega to khush hoga. *⚀•RєԲ:➻* *muktasar Sahih Muslim: 571* *RAMAZAN K ROZE FARZ HAI QURAAN* ★ " Aye Imaan Walo! Tum Par Roze Farz kiye Gaye jis tarah Tum se Phale Logo Par Farz kiye gae the, taake tum MUTTAQI ban jao. *®Surah→Al-Baqarah,Ayat-183* ⇨Is Ayat―e―kareema se pata chala ke Roze ka Maqsad ye hai k hum me Taqwe ki Sifat paida ho, HUM Allah se Darne wale bane. To Rozo ko ahatmam ke sath rakhen. Zyada se zyada waqt Quran paak ki Tilawat me sarf karen, Chalte phirte ALLAH KA ZIKR Dil me or zaban par ho Nigaho ki hifazat karen Zaban ki hifazat karen Taraweeh pura Ramazan padhe Jhoot Gheebat se bachen *●Hadees-e-paak ka Mafhoom●* ★ Huzoor Sallallahu Alaihi Vasallam ne Farmaya " Roza Gunaho se Bachne ke liye Dhal Hai Rozedar Fahesh →yani be fizul← Bato aur koi Behuda kaam na kare agar koi Shaks Gali Galoch aur Ladae Jhagde par utar aye to sirf itna kahede k mai roze se hu. *⚀•RєԲ:➻* *Sahih Bukhari,* *╟❥ next 06©ontinue in sha Allah* ~~~~~~~~▣▣▣~~~~~~~~ *Plz forward to all Muslim* *Ahle deoband Group* http//Hafizasiffarooqi.blogspot.com 📖📖📖
Assalamualaikum 📖📖📖 ✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм✦ *❀ R A M Z A A N ❀* ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ *✿●•· PART-04 ·•●✿* ✿ Hazrat Abdullah Bin Umar RaziAllahu Anhu Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ka qaol naql karte hain ke " ramzan ke liye jannat ko shuru saal se sajaya jaata hai phir jab ramzan ka pahla din hota hai to ek makhsoos hawa arsh-e-khudawandi ke neeche se jannat ke patton se guzarti hui khubsoorat hooron tak pahunchti hai to woh arz karti hain aye parwardigaar !!!! hamare liye apne bandon me se aise bande muntakhib farma jin se aankhon ko thandak naseeb ho aur unko hamare zariye se aankon ka chayen naseeb ho. *⚀•RєԲ:➻* *Baihaqi,Mishkat.* ✿ Huzoor Sallallahu Alahi Wasallam ne farmaya " jis shakhs ne khud Ramzanul Mubarak me roza rakha, kuch khaya piya nahi, aur kisi momin par buhtaan bhi nahi lagaya aur is roze ki haalat me koi gunah bhi nahi kiya.. Allah Ta'ala ( Roze ki ) har raat me us ke liye 100 hooron se us ki shaadi karen ge.aur us k liye Jannat me lu'lu , yaqoot , aur Zabar Jad ka mahel banayen ge.. Agar tamam duniya ko us mahel me muntaqil kar diya jaye to yeh duniya me bakriyon ki jagah jitna nazar ayega. ⚀•RєԲ:➻┐ *musnad Abu Ya'la* ✿ Hazrat Abu Hurairah RaziAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya " jis ne roze ko farz samajh kar sawab ki ummeed ke saath rakha ,woh bakhsha gaya.. *⚀•RєԲ:➻┐* *muttafaq alaih.* *╟❥ next 05©ontinue in sha Allah* ~~~~~~~~▣▣▣~~~~~~~~ *Plz forward to all Muslim* *Ahle deoband Group* http://Hafizasiffarooqi.blogspot.com 📖📖📖
📖📖📖 ✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм✦ *❀ R A M Z A A N ❀* ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ *✿●•· PART-03 ·•●✿* ✿ Hazrat Abu Hurairah RaziAllahu Anhu se marwi hai ke Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshaad farmaya : " jab ramazan ka maheena dakhil hota hai to aasmaan ke darwaze (ek aur riwayat me jannat k darwaze , aur ek riwayat me rahmat ke darwaze) khol diye jaate hain aur jahannam ke darwaze band kar diye jaate hain aur shaitano ko zanjeeren pahna diye jate hain. *Bukhari,Muslim, Mishkat.* Hazrat Hasan Basri rahmatullahi alaihi se riwayat hai ke Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshaad farmaya ke, ⇒ Allah Ta'ala Ramzan-ul-Mubarak ki har raat me 6 lakh logon ko jahannam se aazaad karte hain aur jab aakhri raat hoti hai to guzishta azaad shuda logon ke baqadr ( ek hi raat me ) azaad kiye jate hain. ✿ Mazeed Fazail Hazrat sahal bin sa'ad RaziAllahu Anhu farmate hain ke Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam farmaya, " roza daar jannat me ek makhsoos darwaze se dakhil honge us darwaze ka naam RAYYAN hai jab roze dar dakhil ho chuken ge to yeh darwazah band kar diya jaye ga phir koi shakhs is darwaze se dakhil na ho sake ga. *⚀•RєԲ:➻* *Bukhari,Muslim.* ✿ Hazrat Abu Hurairah RaziAllahu Anhu ne farmaya ke Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ka irshaad hai ke "Jab Ramzan hoti hai to shaitaan aur sarkash jinnat qaid kar diye jaate hain aur Jahannam ke sab darwaaze band kar diye jaate hain, un me se koi bhi darwaza nahi khola jaata, aur jannat ke saare darwaze khol diye jaate hain, un me se koi bhi darwaza band nahi kiya jaata, aur ek aawaaz lagane wala aawaaz deta hai ke aye khair ke talabgaar !! aage badh aur aye burayi ka iraada karne wale peechhe hatt aur Allah ke liye, (ramzan )me bahut se log jahannam se aazaad hote hain aur ye mamlaa har raat hota hai. *⚀•RєԲ:➻┐* *Tirmizi ,Ibn-e-Maaja,* *Mishkaat.* *╟❥ next 04©ontinue in sha Allah* ~~~~~~~~▣▣▣~~~~~~~~ *Plz forward to all Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* http://Hafizasiffarooqi.blogspot.com 📖📖📖
Assalamualaikum
📖📖📖 ✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм✦ *❀ R A M Z A A N ❀* ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ *✿●•· PART-02 ·•●✿* ✿ Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu bayan karte hain ke Huzoor Sallallahu Alahi Wasallam ne farmaya, " ramazan Ki pahli tareekh ko jannat ke darwaze khol diye jaate hain aur Dozakh ke darwaze band kar diye jate hain aur Shayateen ko moqayyad kar diya jaata hai " *↳®Bukhari, Muslim* ✿ Hazrat Imam Hasan RaziAllahu Anhu se manqool hai ke Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya, " ramzan ki har raat me 6 lakh aadmi dozakh se aazaad kiye jaate hain aur ramzan ki aakhri shab me tamam guzishta ta'addad ke misal dozakh se aazad kiye jaate hain. *⚀•RєԲ:➻* *Baihaqi* Hazrat abu hurairah RaziAllahu Anhu se rewayat hai Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:, " meri ummat ko ramzan ke baare me 5 cheezen makhsoos taur par di gai hain,jo pahli ummaton ko nahin mili hain.. ↴↴↴ ◐○◑┄─┅══❶ un ke munh ki badboo Allah ke nazdeek mushk se zada pasandeedah hai. ◐○◑┄─┅══❷ un k liye darya ki machhliyan tak dua karti hain aur aftaar tak karti rahti hain. ◐○◑┄─┅══❸ jannat har roz un ke liye aaraasta ki jaati hai phr Haq Ta'ala farmaate hain Qareeb hai mere nek bande duniya ki mushaqqaten apne upar se phenk kar teri taraf aayenge. ◐○◑┄─┅══❹ is maah me sarkash shayateen qaid kar diye jaate hain. ◐○◑┄─┅══❺ ramzan ki aakhri raat me roza daaron ke liye maghfirat ki jaati hai. * ⚀•RєԲ:➻* *Ahmad Baihaqi.* *╟❥ next 03©ontinue in sha Allah* ~~~~~~~~▣▣▣~~~~~~~~ *Plz forward to all Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* http://Hafizasiffarooqi.blogspot.com 📖📖📖
Assalamualaikum📖📖📖 ✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм✦ *❀ R A M Z A A N ❀* ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ *✿●•· PART-01 ·•●✿* ✿ Maah e Ramzan ke is qadar fazail hain aur itne khair o barakat hain ke Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne is maah k liye 2 maheene pe hle se duaayen ki hain chunanche hadees me hai ke jab rajjab ka chand nazar aata ,Huzoor Sallallahu Alahi Wasallam yeh dua padhte ”Allahumma Barik lana fi Rajab o Sha'ban wa ballighna Ramzan”. ✿ Maahe ramzan maghfirat aur aag se khalasi aur jannat ke husool ka behtareen mauqa hai aur maah e ramzan itna ba barkat neez itni sawab ki cheez hai ke Huzoor Sallallahu Alahi Wasallam ne mahe ramazan tak pahunchne ki dua farmayi, ✿ Hazart ibadah RaziAllahu Anhu farmate hain ek martaba Huzoor Sallallahu Alahi Wasallam ne ramazan ke qareeb irshaad farmaya ke, ⇒Ramzan ka maheena aagaya hai jo badi barkat wala hai ,Haq ta'ala Shaanhu us me tumhari taraf mutawajjah hote hain aur apni rahmat-e-Khassa nazil farmate hain, khataaon ko ma'af karte hain ,dua ko qubool karte hain tumhare tanafis ko dekhte hain aur malaika se fakhr karte hain. pas Allah ko apni neki dikhlao Badnaseeb hai woh shakhs jo is maheene me bhi Allah ki rahmat se mahroom rah jaye. *↳® Tabrani* *╟❥ next 02©ontinue in sha Allah* ~~~~~~~~▣▣▣~~~~~~~~ *Plz forward to all Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* http://Hafizasiffarooqi.blogspot.com 📖📖📖
Subscribe to:
Posts (Atom)