Powered By Blogger

Sunday, 6 August 2017

💐💐 💐                                *BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM* 《》《》《》《》《》 *《》MASAIL E QURBANI《》*         《》《》《》《》《》                                 *PART-05*             ┅┅━━═۞═━━┅ *⚃➠ Qurbani kin Janwaro’n Ki Jaa’iz hai ◈* ★ 1- Bakri, Bakra, Bhed, Dumba, Bhens, Bhensa,Gaay( cow), Ount, Ountni, ki qurbani durust he, inke alawa kisi aur janwar ki qurbani durust nahi, ★ 2- Gaay, Bhens, Ount me agar 7 aadmi shareek hokar qurbani kare to bhi durust he, magar zaroori he k kisi ka hissa 7 ve hisse se kam na ho, aur ye bhi shart he k sabki niyat qurbani ya aqeeqa ki ho, sirf gosht khane ke liye hissa rakhna maqsood na ho, agar ek aadmi ki niyat bhi sahi na hui to kisi ki bhi qurbani sahi na hogi, ★ 3- Kisi ne qurbani ke liye Bada janwar ( gaae, bhens, ount vagerah ) kharida aur kharidte waqt ye niyat thi k doosre logo ko bhi shareek kar lenge, aur baad me doosro ka hissa rakh liya to ye durust he, ⇨ lekin agar Bada janwar kharidte waqt doosre logo ko shareek karne ki niyat nahi thi balki poora janwar apni taraf se qurbani karne ki niyat thi, magar ab doosro ko bhi shareek karna chahta he to ye dekha jayega k us shakhs ke zimme qurbani wajib he ya nahi, agar qurbani wajib he to doosro ko bhi shareek to kar sakta he magar behtar nahi, aur agar uske zimme qurbani wajib nahi thi to doosro ko shareek karna durust nahi, ★ 4- Agar qurbani ka janwar gum ho gaya aur usne doosra janwar kharid liya, fir ittefaq se pehla bhi mil gaya to agar us shakhs ke zimme qurbani wajib thi tab to sirf ek janwar ki qurbani uske zimme hogi, aur agar qurbani wajib nahi thi to dono janwaro’n ki qurbani lazim hogi, ★ 5- Bakra, Bakri, agar ek saal se kam umar ki ho chahe ek hi din ki kami ho to uski qurbani karna durust nahi, ★ 6- Gaay, Bhens poore 2 saal ki ho to qurbani durust hogi, isse kam umar ki ho to durust nahi, ★ 7 – Ount ( camel) poore 5 saal ka ho to qurbani durust he, ★ 8- Bhed ya Dumba agar 6 mahine se zyada ka ho aur itna mota tazah ho k agar poore ek saal wale Bhed, Dumbo’n ke darmiyan chhoda jae to fark maloom na ho to uski qurbani karna durust he, aur agar fark maloom ho to qurbani durust nahi, ★ 9- Jo janwar andha ya kana ho uski ek aankh ki tihai (1/3)roshni ya tihai se zyada jati rahi ho, ya ek kaan tihai ya tihai se zyada kat gaya ho to uski qurbani karna durust nahi, ★ 10- Jo janwar itna langda ho ki sirf 3 paanv ( legs) se chalta ho, Chothai paanv zameen per rakhta hi nahi ya rakhta ho magar usse chal nahi sakta to uski qurbani durust nahi, ⇨ aur agar chalne me chothe paanv ka Sahara to leta he magar langdakar chalta he to uski qurbani durust he, ★ 11- Agar janwar itna dubla ho ki uski haddiyo’n me gosht tak na raha ho to uski qurbani durust nahi, ⇨ agar esa dubla na ho to uski qurbani durust he, lekin janwar jitna mota, farba ho usi qadar qurbani achchhi he, ★ 12- Jis Janwar ke daant ( teeth) bilkul na ho’n ya zyada daant ( teeth) jhad gaye ho’n, uski qurbani durust nahi, ★ 13- Jis Janwar ke pedaishi Kaan na ho’n, uski qurbani karna durust nahi, ⇨agar kaan to ho’n magar chhote ho to uski qurbani durust he, ★ 14- Jis Janwar ke pedaishi tor per seeng na ho uski qurbani durust he, ⇨ aur agar seeng the magar toot gae to agar sirf ouper se khol utra he andar ka gooda baaqi he to qurbani durust he, aur agar jad hi se nikal gae ho’n to uski qurbani karna durust nahi, ★ 15- Khassi janwar ki qurbani ja’iz balki afzal he, ★ 16- Jis Janwar ke kharish ho to agar kharish ka asar sirf jild tak mehdood he to uski qurbani karna durust he aur agar kharish ka asar gosht tak pahunch gaya ho aur janwar uski vajah se lachar aur kamjor ho gaya ho to uski qurbani durust nahi, ★ 17-Agar janwar kharidne ke baad usme koi aib esa paida ho gaya jiski vajaha se uski qurbani durust nahi to agar ye shakhs Saahibe Nisaab he aur qurbani wajib he to uski jagah tandurast janwar kharid kar qurbani kare, aur agar us shakhs ke zimme qurbani wajib nahi to woh usi janwar ki qurbani kare, ★ 18- Janwar pehle to sahi salim tha magar zibaha karte waqt Jo usko litaya to uski vajaha se usme kuchh aib paida ho gaya to uska koi harj nahi, uski qurbani durust he, ★ 19- Gabhan ( Haamla)Janwar ki qurbani jaa’iz he, agar pet ka bachcha zinda nikle to usko bhi zibaha kar liya jaye, Murda nikle to uska khana durust nahi, usko fenk diya jaye, ★ 20- Qurbani ke janwar ke agar zibaha karne se pehle bachcha paida ho gaya ya zibaha karte waqt uske pet se zinda bachcha nikal aaya to usko bhi zibaha kar diya jaye, *📘Aapke masail aur unka Hal,,,JILD-4, safa 169*   ╟❥ *Next- 06 continue in sha Allah*    •┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•                                        💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕      ︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶ Ĺ         ⌈﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂⌉   *✍🏻 Fikr-E-Aakhirat Group*    http://hafizasiffarooqi.blogspot.com 👆🏻👆🏻 *Visit for all Msgs*       ⌊﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁⌋ 💐💐💐

Assalamualaikum warahmatullahi wabarakatuh

No comments:

Post a Comment