Powered By Blogger

Saturday, 5 August 2017

💐💐 💐                                *BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM* 《》《》《》《》《》 *《》MASAIL E QURBANI《》*         《》《》《》《》《》                                 *PART-03*             ┅┅━━═۞═━━┅ *⚃➠ Qurbani Kis per Wajib hai* ★ Chandi ke nisaab bhar malik ho Jane per qurbani wajib he, ★ Qurbani sahibe nisaab per har saal wajib he, ★ Zakaat me nisaab per saal guzarna shart he lekin qurbani ke wajib hone ke liye saal guzarna shart nahi, balki koi shakhs qurbani din sahibe nisaab ho gaya to us per qurbani wajib hogi, ★ Bar sare rozgar sahibe nisaab balig ladke, ladkiya sab pee qurbani wajib he chahe abhi unki shadi na hui ho, ★ Ek hi ghar me Baap, Bete, Betiya, Bivi agar sahibe nisaab ho to har ek per alag alag qurbani wajib he, ★Maqrooz ko agar qarz Ada karne ke baad saade Bavan Tola chandi ki maliyat hajaat asliya se za’id mojood ho to qurbani wajib he, ★ Agar Qurbani ke din guzar gaye to, gaflat ya kisi aur uzr se qurbani na kar saka to qurbani ki qeemat fuqra masakeen per sadqa karna wajib he, lekin qurbani ke 3 dino me janwar ki qeemat sadqa kar dene se ye wajib Ada na hoga, ★ Sahibe nisaab per guzishta jitne saalo ki ( jabki wo sahibe nisaab tha aur qurbani nahi ki) qurbani wajib thi aur ada nahi ki to un saalo ka hisab karke ( ek hisse ki qeemat jitni banti he) wo raqam kisi faqeer per sadqa karna wajib he, ★ Gunzaiah ho to apne marhoom buzurgo ki taraf se aur Hujoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ki taraf se zaroor qurbani ki jaye, ⇨ lekin agar sahibe nisaab he to pehle apni taraf se qurbani kare aur doosri qurbani marhoom buzurgo aur Hujoor S A ki taraf se alag kare, ★ Jis per qurbani wajib nahi agar wo bhi qurbani kare to use bhi poora sawab hoga, ⇨ Agar kisi Aadmi ne qurbani ki niyat se baqra liya aur fir qurbani se pehle hi bech diya to astagfar karte hue us raqam ka sadqa karna wajib he, or Agar qurbani us per wajib thi ( Sahibe nisaab tha) to doosra janwar kharid kar qurbani ke dino me qurbani kare, *📘Aapke masail aur unka Hal,,,JILD-4, safa 173* *⚃➠ Qurbani Ka Waqt ◈* ★ Baqra Eid ki 10 vi tareekh se lekar 12 vi tareekh ki shaam ( Suraj guroob hone se pehle) tak qurbani ka waqt he, in Dino me jab chahe qurbani kar sakte hai, lekin pehla din afzal he, fir doosra, ⇨ in 3 Dino ke doraan raat ke waqt qurbani karna bhi jaiz to he lekin behtar nahi, ★ Shehar( city) me Namaze eid se pehle qurbani karna durust nahi, agar kisi ne Eid se pehle janwar zibah kar liya to ye gosht ka janwar hua, qurbani ka nahi, ⇨ Albatta dehaat (small village)me Jaha Eid ki namaz nahi hoti Eid ke din subeh sadiq tuloo’a ho jane ke baad qurbani karna durust he, ★ Agar shehri Aadmi khud to shehar me mojood he, magar qurbani ka janwar dehaat me bhej de aur waha subeh sadiq ke baad qurbani ho jaye to durust he, ★ Agar in 3 Dino ke andar musafir apne watan pahunch gaya ya usne kahi aqamat ki niyat kar li aur wo sahibe nisaab he to uske zimme qurbani wajib hogi, ★ Jis shakhs ke zimme qurbani wajib he uske liye in Dino me qurbani ka janwar zibah karna hi lazim he, agar itni raqam sadqa kheraat kar de to qurbani Ada nahi hogi aur ye shakhs gunahgar hoga, ★ Jis shakhs per qurbani wajib thi aur in 3 Dino me qurbani nahi ki to uske baad qurbani karna durust nahi, ese shakhs ko tauba astagfar karte hue qurbani ke janwar ki maliyat sadqa kheraat karna chahiye, *📘Aapke masail aur unka Hal JILD-4, safa 165*   ╟❥ *Next- 04 continue in sha Allah*    •┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•                                        💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕      ︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶ Ĺ         ⌈﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂⌉   *✍🏻 Fikr-E-Aakhirat*    http://hafizasiffarooqi.blogspot.com 👆🏻👆🏻 *Visit for all Msgs*       ⌊﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁⌋ 💐💐💐

Assalamualaikum warahmatullahi wabarakatuh

No comments:

Post a Comment