Assalamualaikum warahmatullahi wabarkatuh
Friday, 4 August 2017
💐💐 💐 *BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM* 《》《》《》《》《》 *《》MASAIL E QURBANI《》* 《》《》《》《》《》 *PART-02* ┅┅━━═۞═━━┅ *⚃➠ Qurbani Kis per Wajib He aur Kis per nahi ◈* *◈ Chand soorato me qurbani karna wajib he, aur Chand me nahi ◈* ★ 1- Kisi shakhs ne qurbani ki mannat maani ho to us per qurbani karna wajib he, ★ 2- Kisi shakhs ne marne se pehle qurbani ki vasiyat ki ho aur itna maal chhoda ho k uske tihai maal se uski taraf se qurbani ki ja sake to uski taraf se qurbani karna wajib he, ★ 3- Jis shakhs per sadqa Fitr wajib he us per qurbani ke Dino me qurbani karna bhi wajib he, ⇨ Jis shakhs ke paas rihaishi makaan, khane pine ka samaan, istemal ke kapdo aur rozmarah ki istemal ki doosri cheezo ke alawa Saade Bavan Tola chandi ki maliyat ka naqad rupya, maal tijarat ya digar samaan ho us per qurbani karna wajib he, ⇨ Maslan ek shakhs ke paas do makaan he, ek makaan uski rihaish ka aur doosra khali he to us per qurbani wajib he, jabki usi khali makaan ki qeemat Saade Bavan Tola chandi ki maliyat ke barabar ho, ⇨ ya maslan ek makaan me wo khud rehta ho aur doosra makaan kiraya per uthaya ho to us per bhi qurbani wajib he, albatta agar uska zaria ma’ash yahi makaan ka kiraya he to ye bhi zaruriyat zindgi me shumar hoga aur us per qurbani karna wajib nahi, ⇨ Ya Maslan kisi ke paas do Gaadiya hai, ek aam istemal ki he aur doosri za’id ( extra)he to us per bhi qurbani wajib he, ⇨ Ya maslan kisi ke paas do plot he ek makaan banane ke liye he aur doosra za’id ( extra) he, to agar uske doosre plot ki qeemat Saade Bavan Tola chandi ki maliyat ke barabar ho to us per qurbani wajib he, ★ Aurat ka mehar mu’ajjal agar itni maliyat ka ho to us per bhi qurbani wajib he, ya sirf walden ki taraf se diya gaya zever aur istemal se za’id ( extra) kapde nisaab ki maliyat ko pahunchte ho to us per bhi qurbani wajib he, ★ Ek shakhs mulazim he, uski mahana ( monthly) Tankhwah ( salary) se uske ahlo ayaal ki guzar basar ho sakti he us per qurbani wajib nahi, jabki uske paas koi aur maliyat na ho, ★ Ek shakhs ke paas Pedawar ki zameen he, jiski pedawar se uski guzar basar hoti he, wo Zameen uski zarooriyat me samjhi jayegi, ★ EK shakhs ke paas hal jotne ke liye bell ( ox) aur doodhari Gaay ( cow), Bhais( Buffalo) ke alawa aur maveshi itne hai k unki maliyat nisaab ko pahunch jaye to us per qurbani karna wajib he, ★ 4- Ek shakhs Sahibe nisaab nahi, na qurbani us per wajib he lekin usne shoq se qurbani ka janwar kharid liya to qurbani wajib he, ★ 5- Musafir per qurbani wajib nahi, ⇨ Sahi qaul ke mutabik bachche aur Majnoon per qurbani wajib nahi, chahe wo maaldar ho , *📘Aapke masail aur unka Hal,,,JILD-4, safa 165* ╟❥ *Next- 03 continue in sha Allah* •┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄• 💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕 ︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶ Ĺ ⌈﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂⌉ *✍🏻 Fikr-E-Aakhirat* http://hafizasiffarooqi.blogspot.com 👆🏻👆🏻 *Visit for all Msgs* ⌊﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁⌋ 💐💐💐
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment