Powered By Blogger

Thursday, 3 August 2017

💐💐 💐                                *BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM* 《》《》《》《》《》 *《》MASAIL E QURBANI《》*         《》《》《》《》《》                                 *PART-01*             ┅┅━━═۞═━━┅ *⚃➠ Fazail e Qurbani ◈* ★ Hazrat Zaid bin Arkam Raziyallahu Anhu farmate hai k Huzoor Sallallahu Alaihivasallam se Sahaba ikram R A ne daryaft kiya ,” Ye Qurbani kya he?” Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya, ” Qurbani tumhare baap ( Hazrat Ibrahim Alaihissalam) ki sunnat he, ” Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ne puchha, ” hamare liye is me kya sawab he?” Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya, ” Ek Baal ke badle ek neki he, ” Oon ke mutallik farmaya, ” iske ek Baal ke badle bhi ek neki he,”. *® Mishkat Sharif, 129* ★ Hazrat ibne Abbas R A farmate hai,” Qurbani se jyada koi doosra amal nahi he, illa ye k Rishtedari ka paas kiya jaye,”. *® Tabrani •* ★ Qurbani ke Dino me qurbani karna bahut bada Amal he, Hadees Sharif me he k, ” Qurbani ke Dino me qurbani se jyada koi cheez Allah ta’ala ko mehboob nahi, or qurbani karte waqt khoon ka Jo qatra zameen per girta he, wo girne se pehle Allah ta’ala ke yaha maqbool ho jata he,” *®Mishkaat, 123* *📘Aapke Masail aur unka Hal,,JILD-4, Safa no 163*   ╟❥ *Next- 02 continue in sha Allah*    •┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•                                        💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕      ︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶ Ĺ         ⌈﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂⌉   *✍🏻 Fikr-E-Aakhirat*    http://hafizasiffarooqi.blogspot.com 👆🏻👆🏻 *Visit for all Msgs*       ⌊﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁⌋ 💐💐💐

Assalamualaikum Warahmatullahi wabarakatuh

No comments:

Post a Comment