Wednesday, 9 August 2017
Sunday, 6 August 2017
๐๐ ๐ *BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM* 《》《》《》《》《》 *《》MASAIL E QURBANI《》* 《》《》《》《》《》 *PART-05* ┅┅━━═۞═━━┅ *⚃➠ Qurbani kin Janwaro’n Ki Jaa’iz hai ◈* ★ 1- Bakri, Bakra, Bhed, Dumba, Bhens, Bhensa,Gaay( cow), Ount, Ountni, ki qurbani durust he, inke alawa kisi aur janwar ki qurbani durust nahi, ★ 2- Gaay, Bhens, Ount me agar 7 aadmi shareek hokar qurbani kare to bhi durust he, magar zaroori he k kisi ka hissa 7 ve hisse se kam na ho, aur ye bhi shart he k sabki niyat qurbani ya aqeeqa ki ho, sirf gosht khane ke liye hissa rakhna maqsood na ho, agar ek aadmi ki niyat bhi sahi na hui to kisi ki bhi qurbani sahi na hogi, ★ 3- Kisi ne qurbani ke liye Bada janwar ( gaae, bhens, ount vagerah ) kharida aur kharidte waqt ye niyat thi k doosre logo ko bhi shareek kar lenge, aur baad me doosro ka hissa rakh liya to ye durust he, ⇨ lekin agar Bada janwar kharidte waqt doosre logo ko shareek karne ki niyat nahi thi balki poora janwar apni taraf se qurbani karne ki niyat thi, magar ab doosro ko bhi shareek karna chahta he to ye dekha jayega k us shakhs ke zimme qurbani wajib he ya nahi, agar qurbani wajib he to doosro ko bhi shareek to kar sakta he magar behtar nahi, aur agar uske zimme qurbani wajib nahi thi to doosro ko shareek karna durust nahi, ★ 4- Agar qurbani ka janwar gum ho gaya aur usne doosra janwar kharid liya, fir ittefaq se pehla bhi mil gaya to agar us shakhs ke zimme qurbani wajib thi tab to sirf ek janwar ki qurbani uske zimme hogi, aur agar qurbani wajib nahi thi to dono janwaro’n ki qurbani lazim hogi, ★ 5- Bakra, Bakri, agar ek saal se kam umar ki ho chahe ek hi din ki kami ho to uski qurbani karna durust nahi, ★ 6- Gaay, Bhens poore 2 saal ki ho to qurbani durust hogi, isse kam umar ki ho to durust nahi, ★ 7 – Ount ( camel) poore 5 saal ka ho to qurbani durust he, ★ 8- Bhed ya Dumba agar 6 mahine se zyada ka ho aur itna mota tazah ho k agar poore ek saal wale Bhed, Dumbo’n ke darmiyan chhoda jae to fark maloom na ho to uski qurbani karna durust he, aur agar fark maloom ho to qurbani durust nahi, ★ 9- Jo janwar andha ya kana ho uski ek aankh ki tihai (1/3)roshni ya tihai se zyada jati rahi ho, ya ek kaan tihai ya tihai se zyada kat gaya ho to uski qurbani karna durust nahi, ★ 10- Jo janwar itna langda ho ki sirf 3 paanv ( legs) se chalta ho, Chothai paanv zameen per rakhta hi nahi ya rakhta ho magar usse chal nahi sakta to uski qurbani durust nahi, ⇨ aur agar chalne me chothe paanv ka Sahara to leta he magar langdakar chalta he to uski qurbani durust he, ★ 11- Agar janwar itna dubla ho ki uski haddiyo’n me gosht tak na raha ho to uski qurbani durust nahi, ⇨ agar esa dubla na ho to uski qurbani durust he, lekin janwar jitna mota, farba ho usi qadar qurbani achchhi he, ★ 12- Jis Janwar ke daant ( teeth) bilkul na ho’n ya zyada daant ( teeth) jhad gaye ho’n, uski qurbani durust nahi, ★ 13- Jis Janwar ke pedaishi Kaan na ho’n, uski qurbani karna durust nahi, ⇨agar kaan to ho’n magar chhote ho to uski qurbani durust he, ★ 14- Jis Janwar ke pedaishi tor per seeng na ho uski qurbani durust he, ⇨ aur agar seeng the magar toot gae to agar sirf ouper se khol utra he andar ka gooda baaqi he to qurbani durust he, aur agar jad hi se nikal gae ho’n to uski qurbani karna durust nahi, ★ 15- Khassi janwar ki qurbani ja’iz balki afzal he, ★ 16- Jis Janwar ke kharish ho to agar kharish ka asar sirf jild tak mehdood he to uski qurbani karna durust he aur agar kharish ka asar gosht tak pahunch gaya ho aur janwar uski vajah se lachar aur kamjor ho gaya ho to uski qurbani durust nahi, ★ 17-Agar janwar kharidne ke baad usme koi aib esa paida ho gaya jiski vajaha se uski qurbani durust nahi to agar ye shakhs Saahibe Nisaab he aur qurbani wajib he to uski jagah tandurast janwar kharid kar qurbani kare, aur agar us shakhs ke zimme qurbani wajib nahi to woh usi janwar ki qurbani kare, ★ 18- Janwar pehle to sahi salim tha magar zibaha karte waqt Jo usko litaya to uski vajaha se usme kuchh aib paida ho gaya to uska koi harj nahi, uski qurbani durust he, ★ 19- Gabhan ( Haamla)Janwar ki qurbani jaa’iz he, agar pet ka bachcha zinda nikle to usko bhi zibaha kar liya jaye, Murda nikle to uska khana durust nahi, usko fenk diya jaye, ★ 20- Qurbani ke janwar ke agar zibaha karne se pehle bachcha paida ho gaya ya zibaha karte waqt uske pet se zinda bachcha nikal aaya to usko bhi zibaha kar diya jaye, *๐Aapke masail aur unka Hal,,,JILD-4, safa 169* ╟❥ *Next- 06 continue in sha Allah* •┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄• ๐ *สัฮฑd,าฯสสฯษฏ ฮฑษณd าฯสษฏฮฑสd*๐ ︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶ ฤน ⌈﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂⌉ *✍๐ป Fikr-E-Aakhirat Group* http://hafizasiffarooqi.blogspot.com ๐๐ป๐๐ป *Visit for all Msgs* ⌊﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁⌋ ๐๐๐
Assalamualaikum warahmatullahi wabarakatuh
๐๐ ๐ *BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM* 《》《》《》《》《》 *《》MASAIL E QURBANI《》* 《》《》《》《》《》 *PART-04* ┅┅━━═۞═━━┅ *⚃➠ Kisi doosre ki taraf se Niyat karna ◈* ★Qurbani me niyabat ja’iz he yani jis shakhs ke zimme qurbani wajib he agar uski ijazat se ya hukm se doosre shakhs ne uski taraf se qurbani kar di to ja’iz he, lekin agar kisi shakhs ke hukm ke bager uski taraf se qurbani ki to qurbani nahi hogi, isi tarah agar kisi shakhs ko uske hukm ke bager shareek kiya (hisse me)gaya to kisi ki bhi qurbani ja’iz nahi hogi, ★Aadmi ki zimme apni aulad ki taraf se qurbani karna zaroori nahi, agar aulad balig he aur maaldar ho to khud kare, ★ isi tarah Mard ke zimme Bivi ki taraf se qurbani karna lazim nahi,Agar bivi sahibe nisaab ho to uske liye alag qurbani ka intzam kiya jae, ★ Jis shakhs ko Allah ne tofeeq di ho woh apni wajib qurbani ke alawah apne marhoom Walden aur digar buzurgo ki taraf se bhi qurbani kare, iska bada azro sawab he,lekin pehle apni wajib qurbani ki jaye, ★ Hujoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ke bhi hum per bade ahsanaat aur huqooq hai, Allah ta’ala ne gunjaish di ho to Aap S A ki taraf se bhi qurbani ki jae, magar apni Wajib qurbani pehle lazim he, usko chhodna ja’iz nahi, ★ Qurbani ka janwar zibah karte waqt zaban se niyat ke alfaz padna zaroori nahi, balki dil me niyay karna kafi he, aur Jo Duae hadees Paak me manqool he agar kisi ko yaad ho to unka padna mustahab he, *๐Aapke masail aur unka Hal,,,JILD-4, safa 166* ╟❥ *Next- 05 continue in sha Allah* •┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄• ๐ *สัฮฑd,าฯสสฯษฏ ฮฑษณd าฯสษฏฮฑสd*๐ ︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶ ฤน ⌈﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂⌉ *✍๐ป Fikr-E-Aakhirat* http://hafizasiffarooqi.blogspot.com ๐๐ป๐๐ป *Visit for all Msgs* ⌊﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁⌋ ๐๐๐
Assalamualaikum Warahmatullahi wabarakatuh
Saturday, 5 August 2017
๐๐ ๐ *BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM* 《》《》《》《》《》 *《》MASAIL E QURBANI《》* 《》《》《》《》《》 *PART-03* ┅┅━━═۞═━━┅ *⚃➠ Qurbani Kis per Wajib hai* ★ Chandi ke nisaab bhar malik ho Jane per qurbani wajib he, ★ Qurbani sahibe nisaab per har saal wajib he, ★ Zakaat me nisaab per saal guzarna shart he lekin qurbani ke wajib hone ke liye saal guzarna shart nahi, balki koi shakhs qurbani din sahibe nisaab ho gaya to us per qurbani wajib hogi, ★ Bar sare rozgar sahibe nisaab balig ladke, ladkiya sab pee qurbani wajib he chahe abhi unki shadi na hui ho, ★ Ek hi ghar me Baap, Bete, Betiya, Bivi agar sahibe nisaab ho to har ek per alag alag qurbani wajib he, ★Maqrooz ko agar qarz Ada karne ke baad saade Bavan Tola chandi ki maliyat hajaat asliya se za’id mojood ho to qurbani wajib he, ★ Agar Qurbani ke din guzar gaye to, gaflat ya kisi aur uzr se qurbani na kar saka to qurbani ki qeemat fuqra masakeen per sadqa karna wajib he, lekin qurbani ke 3 dino me janwar ki qeemat sadqa kar dene se ye wajib Ada na hoga, ★ Sahibe nisaab per guzishta jitne saalo ki ( jabki wo sahibe nisaab tha aur qurbani nahi ki) qurbani wajib thi aur ada nahi ki to un saalo ka hisab karke ( ek hisse ki qeemat jitni banti he) wo raqam kisi faqeer per sadqa karna wajib he, ★ Gunzaiah ho to apne marhoom buzurgo ki taraf se aur Hujoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ki taraf se zaroor qurbani ki jaye, ⇨ lekin agar sahibe nisaab he to pehle apni taraf se qurbani kare aur doosri qurbani marhoom buzurgo aur Hujoor S A ki taraf se alag kare, ★ Jis per qurbani wajib nahi agar wo bhi qurbani kare to use bhi poora sawab hoga, ⇨ Agar kisi Aadmi ne qurbani ki niyat se baqra liya aur fir qurbani se pehle hi bech diya to astagfar karte hue us raqam ka sadqa karna wajib he, or Agar qurbani us per wajib thi ( Sahibe nisaab tha) to doosra janwar kharid kar qurbani ke dino me qurbani kare, *๐Aapke masail aur unka Hal,,,JILD-4, safa 173* *⚃➠ Qurbani Ka Waqt ◈* ★ Baqra Eid ki 10 vi tareekh se lekar 12 vi tareekh ki shaam ( Suraj guroob hone se pehle) tak qurbani ka waqt he, in Dino me jab chahe qurbani kar sakte hai, lekin pehla din afzal he, fir doosra, ⇨ in 3 Dino ke doraan raat ke waqt qurbani karna bhi jaiz to he lekin behtar nahi, ★ Shehar( city) me Namaze eid se pehle qurbani karna durust nahi, agar kisi ne Eid se pehle janwar zibah kar liya to ye gosht ka janwar hua, qurbani ka nahi, ⇨ Albatta dehaat (small village)me Jaha Eid ki namaz nahi hoti Eid ke din subeh sadiq tuloo’a ho jane ke baad qurbani karna durust he, ★ Agar shehri Aadmi khud to shehar me mojood he, magar qurbani ka janwar dehaat me bhej de aur waha subeh sadiq ke baad qurbani ho jaye to durust he, ★ Agar in 3 Dino ke andar musafir apne watan pahunch gaya ya usne kahi aqamat ki niyat kar li aur wo sahibe nisaab he to uske zimme qurbani wajib hogi, ★ Jis shakhs ke zimme qurbani wajib he uske liye in Dino me qurbani ka janwar zibah karna hi lazim he, agar itni raqam sadqa kheraat kar de to qurbani Ada nahi hogi aur ye shakhs gunahgar hoga, ★ Jis shakhs per qurbani wajib thi aur in 3 Dino me qurbani nahi ki to uske baad qurbani karna durust nahi, ese shakhs ko tauba astagfar karte hue qurbani ke janwar ki maliyat sadqa kheraat karna chahiye, *๐Aapke masail aur unka Hal JILD-4, safa 165* ╟❥ *Next- 04 continue in sha Allah* •┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄• ๐ *สัฮฑd,าฯสสฯษฏ ฮฑษณd าฯสษฏฮฑสd*๐ ︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶ ฤน ⌈﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂⌉ *✍๐ป Fikr-E-Aakhirat* http://hafizasiffarooqi.blogspot.com ๐๐ป๐๐ป *Visit for all Msgs* ⌊﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁⌋ ๐๐๐
Assalamualaikum warahmatullahi wabarakatuh
Friday, 4 August 2017
๐๐ ๐ *BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM* 《》《》《》《》《》 *《》MASAIL E QURBANI《》* 《》《》《》《》《》 *PART-02* ┅┅━━═۞═━━┅ *⚃➠ Qurbani Kis per Wajib He aur Kis per nahi ◈* *◈ Chand soorato me qurbani karna wajib he, aur Chand me nahi ◈* ★ 1- Kisi shakhs ne qurbani ki mannat maani ho to us per qurbani karna wajib he, ★ 2- Kisi shakhs ne marne se pehle qurbani ki vasiyat ki ho aur itna maal chhoda ho k uske tihai maal se uski taraf se qurbani ki ja sake to uski taraf se qurbani karna wajib he, ★ 3- Jis shakhs per sadqa Fitr wajib he us per qurbani ke Dino me qurbani karna bhi wajib he, ⇨ Jis shakhs ke paas rihaishi makaan, khane pine ka samaan, istemal ke kapdo aur rozmarah ki istemal ki doosri cheezo ke alawa Saade Bavan Tola chandi ki maliyat ka naqad rupya, maal tijarat ya digar samaan ho us per qurbani karna wajib he, ⇨ Maslan ek shakhs ke paas do makaan he, ek makaan uski rihaish ka aur doosra khali he to us per qurbani wajib he, jabki usi khali makaan ki qeemat Saade Bavan Tola chandi ki maliyat ke barabar ho, ⇨ ya maslan ek makaan me wo khud rehta ho aur doosra makaan kiraya per uthaya ho to us per bhi qurbani wajib he, albatta agar uska zaria ma’ash yahi makaan ka kiraya he to ye bhi zaruriyat zindgi me shumar hoga aur us per qurbani karna wajib nahi, ⇨ Ya Maslan kisi ke paas do Gaadiya hai, ek aam istemal ki he aur doosri za’id ( extra)he to us per bhi qurbani wajib he, ⇨ Ya maslan kisi ke paas do plot he ek makaan banane ke liye he aur doosra za’id ( extra) he, to agar uske doosre plot ki qeemat Saade Bavan Tola chandi ki maliyat ke barabar ho to us per qurbani wajib he, ★ Aurat ka mehar mu’ajjal agar itni maliyat ka ho to us per bhi qurbani wajib he, ya sirf walden ki taraf se diya gaya zever aur istemal se za’id ( extra) kapde nisaab ki maliyat ko pahunchte ho to us per bhi qurbani wajib he, ★ Ek shakhs mulazim he, uski mahana ( monthly) Tankhwah ( salary) se uske ahlo ayaal ki guzar basar ho sakti he us per qurbani wajib nahi, jabki uske paas koi aur maliyat na ho, ★ Ek shakhs ke paas Pedawar ki zameen he, jiski pedawar se uski guzar basar hoti he, wo Zameen uski zarooriyat me samjhi jayegi, ★ EK shakhs ke paas hal jotne ke liye bell ( ox) aur doodhari Gaay ( cow), Bhais( Buffalo) ke alawa aur maveshi itne hai k unki maliyat nisaab ko pahunch jaye to us per qurbani karna wajib he, ★ 4- Ek shakhs Sahibe nisaab nahi, na qurbani us per wajib he lekin usne shoq se qurbani ka janwar kharid liya to qurbani wajib he, ★ 5- Musafir per qurbani wajib nahi, ⇨ Sahi qaul ke mutabik bachche aur Majnoon per qurbani wajib nahi, chahe wo maaldar ho , *๐Aapke masail aur unka Hal,,,JILD-4, safa 165* ╟❥ *Next- 03 continue in sha Allah* •┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄• ๐ *สัฮฑd,าฯสสฯษฏ ฮฑษณd าฯสษฏฮฑสd*๐ ︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶ ฤน ⌈﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂⌉ *✍๐ป Fikr-E-Aakhirat* http://hafizasiffarooqi.blogspot.com ๐๐ป๐๐ป *Visit for all Msgs* ⌊﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁⌋ ๐๐๐
Assalamualaikum warahmatullahi wabarkatuh
Thursday, 3 August 2017
๐๐ ๐ *BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM* 《》《》《》《》《》 *《》MASAIL E QURBANI《》* 《》《》《》《》《》 *PART-01* ┅┅━━═۞═━━┅ *⚃➠ Fazail e Qurbani ◈* ★ Hazrat Zaid bin Arkam Raziyallahu Anhu farmate hai k Huzoor Sallallahu Alaihivasallam se Sahaba ikram R A ne daryaft kiya ,” Ye Qurbani kya he?” Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya, ” Qurbani tumhare baap ( Hazrat Ibrahim Alaihissalam) ki sunnat he, ” Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ne puchha, ” hamare liye is me kya sawab he?” Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya, ” Ek Baal ke badle ek neki he, ” Oon ke mutallik farmaya, ” iske ek Baal ke badle bhi ek neki he,”. *® Mishkat Sharif, 129* ★ Hazrat ibne Abbas R A farmate hai,” Qurbani se jyada koi doosra amal nahi he, illa ye k Rishtedari ka paas kiya jaye,”. *® Tabrani •* ★ Qurbani ke Dino me qurbani karna bahut bada Amal he, Hadees Sharif me he k, ” Qurbani ke Dino me qurbani se jyada koi cheez Allah ta’ala ko mehboob nahi, or qurbani karte waqt khoon ka Jo qatra zameen per girta he, wo girne se pehle Allah ta’ala ke yaha maqbool ho jata he,” *®Mishkaat, 123* *๐Aapke Masail aur unka Hal,,JILD-4, Safa no 163* ╟❥ *Next- 02 continue in sha Allah* •┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄• ๐ *สัฮฑd,าฯสสฯษฏ ฮฑษณd าฯสษฏฮฑสd*๐ ︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶ ฤน ⌈﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂⌉ *✍๐ป Fikr-E-Aakhirat* http://hafizasiffarooqi.blogspot.com ๐๐ป๐๐ป *Visit for all Msgs* ⌊﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁⌋ ๐๐๐
Assalamualaikum Warahmatullahi wabarakatuh
Subscribe to:
Posts (Atom)