Fikr-E-Aakhirat Group
Thursday, 1 June 2017
🌼🍀🌼 ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁ вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ✰━═━═━═━═━═━═━═━✰ 💎 Zakaat Ke Masail 💎 ☆ Part- 10☆ ✰━═━═━═━═━═━═━═━✰ ✺ Zakaat kis per Farz he -2✺ ◆◇◆◇◆ ⇨Zakaat in cheezo per Farz he, ★1- Sona Jabke Saade Saat Tola ( yani 87.479 gram), ya isse zyada ho, ★2- Chandi Jabke Saade Bavan Tola ( yani 612.35 gram ) ya isse zyada ho, ★ 3- Rupya- Paisa, aur Maale- Tijarat Jabke iski maaliyat Saade Bavan Tola chandi (612.35 gram) ke barabar ho, → Agar kisi ke paas thoda sa Sona he, kuchh Chandi he, Kuchh Naqad Rupya he , ya kuchh maale Tijarat he aur inki majmooi ( in sabki qeemat jodne ke baad ) maaliyat Saade Bavan Tola chandi (612.35 gram) ke barabar he to is per bhi zakaat Farz he, → isi tarah agar kuchh Sona he, kuchh Chandi he, ya kuchh Sona he, kuchh Naqad Rupya he, ya kuchh Chandi he, kuchh maale Tijarat he, tab bhi inko milakar dekha jayega k Saade Bavan Tola chandi ki maaliyat banti he ya nahi, agar banti he to zakaat wajib hogi varna nahi, ✔ Khulasa ye he Sona, Chandi, Naqdi, Maale Tijarat me se koi si bhi do ( Ya do se zyada ) Cheezo ki maaliyat jab Chandi ke nisaab ( 612.35 gram) ke barabar ho to us per zakaat Farz hogi, ★ 4- in ( Jo mazkoor hui ) cheezo ke alawa charne wale maveshiyo (animals) per bhi zakaat Farz he, isme Bhed, Bakri, Gaay, Bhens, Ount ke alag alag nisaab hai'n , → Jo log maveshi rakhte hai'n ahle ilm motbar ulema Hazraat se daryaft kar le, ( isme tafseel zyada he isliye isko nahi likha ) ★ 5- Ushri Zameen ki paydawar per bhi Zakaat Farz he, jisko Ushr kaha jata he, ( Tafseel aage zikr ki ja' egi in sha Allah) ↳ Next -11 in sha Allah ta'ala, ↳® Aapke Masail aur unka Hal, 3/ 345 *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* 📲 *91-7026599320* https://hafizasiffarooqi.blogspot.com ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ 🌼🍀🌼
Labels:
Zakaat
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment