Powered By Blogger

Thursday, 15 June 2017

۞✵۞ ◡ ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯ ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷ ۞ A I T K A A F ۞ ✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰ ⚄ PART↬13 ⚄ ◉••◯••◉✧◉••◯••◉ *Mutafarrik* •┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄• ★ Ramzan ke Aakhri 10 din ka aitkaaf sunnate kifaya he, ⇨ agar mohalle ke kuchh log is sunnat ko Ada kare to masjid ka haq Jo ahle mohalla per laaZim he Ada ho jayega, aur agar masjid khali rahi aur koi shakhs bhi aitkaaf me na betha to sab mohalle wale laaiqe itaab honge aur masjid ke aitkaaf se khali rehne ka vabaal poore mohalle per padega, ★ Jis masjid me namaz panj waqta bajama'at hoti ho usme aitkaaf ke liye bethna chahiye aur agar masjid esi ho jisme panj waqta namaz bajama'at na hoti ho, usme panj waqta namaz bajama'at ka intezam karna ahle mohalla per laazim he, ★ Aurat apne ghar me ek jagah namaz ke liye muqarrar karke waha aitkaaf Kare, usko masjid me aitkaaf me bethne ka sawab milega, ★ Aitkaaf me Quran majeed ki tilawat, Darood Sharif, Zikr v Tasbeeh, Dini ilm sikhna aur sikhana, Ambiya Alaihissalam, Sahaba ikram Raziyallahu anhum aur buzurgane deen ke halaat padna, sunna apna mamool rakhe, ★ Be-zaroorat baat karne se ayraaj kare, ★ Aitkaaf me be-zaroorat aitkaaf ki jagah se nikalna jaa'iz nahi, varna aitkaaf baqi nahi rahega, ⇨ Yaad rahe k Aitkaaf ki jagah se muraad poori masjid he, jisme aitkaaf kiya jaye, khas wo jagah muraad nahi Jo masjid me aitkaaf ke liye makhsoos kar li jati he, ★ Peshab -Pakhana aur Gusl ke liye bahar Jana jaa'iz he, isi tarah agar ghar se khana lane wala koi na ho to khana khane ke liye ghar Jana bhi jaa'iz he, ⚀•RєԲ:➻┐ Aapke Masqil aur Unka Hal,3/322 http://hafizasiffarooqi.blogspot.com *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ ۞✵۞

Fikr-E-Aakhirat Group

No comments:

Post a Comment