Powered By Blogger

Saturday, 17 June 2017

۞✵۞ ◡ ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯ ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷ ۞ A I T K A A F ۞ ✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰ ⚄ PART↬14 ⚄ ◉••◯••◉✧◉••◯••◉ *⊙ Waajib ul Gusl ⊙* ★ Agar kisi Moatkif per Gusl waajib ho jaye to gusl karne ki zarurat ke liye Moatkif ko bahar nikalna jaa’iz he, ★ Moatkif ko Din ya Raat me ahatlam ho jane per Aitkaaf per koi asar nahi padta, ★ Agar Masjid me Gusalkhana mojood ho to usi me gusl karna chahiye lekin agar gusalkhana na ho ya usme gusl karna mumkin na ho to, maslan Masjid me pani vagera girne ka andesha ho to is soorat me bahar ja sakta he, ★ Sardiyo me ahatlam ho jaye aur garam pani ka intezam masjid me na ho aur thande pani se nuksaan ka andesha ho to Moatkif Tayammum kare, Masjid me rahe aur apne ghar ittela kare taki pani garam ho jaye, *_Aur agar qareeb me kahi garm pani ka hammam ho to waha ja sakta he, ho sake to waha bhi pehle ittela kar de aur foran gusl karke aa jaye, ⚀•RєԲ:➻┐ Aitkaaf Course, 23 •┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄• *⊙ Juma ke Liye Jana ⊙* ★ Behtar ye he k esi Masjid me Aitkaaf kiya jaye jisme Namaze Juma hoti ho, lekin agar kisi Masjid me juma nahi hota to doosri Masjid me Juma ke liye ja sakta he, *_Albatta is garz ke liye ese waqt me nikle jab ye andaza ho k Juma ki jagah pahunch kar 4 raka’at sunnat Ada karne ke foran baad khutba shuru ho jayega, ★ Kisi Masjid me Juma padhne ke liye gaya to Farz padhne ke baad sunnate bhi wahi padh sakta he, lekin uske baad theharna jaa’iz nahi, Taham agar zarurat se zyada thehar gaya to chunki Masjid hi me thehra he isliye Aitkaaf nahi tootega, ★ Juma ki Namaz ke ye ahkaam sirf Mardo ke liye he Aurto’n ke liye nahi, kyuki Aurto’n per Juma waajib nahi lihaza unko Juma ke liye Jane ki na to zarurat he aur na hi unke liye jaa’iz he, ⚀•RєԲ:➻┐ Aitkaaf Course, 24 http://hafizasiffarooqi.blogspot.com *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ ۞✵۞

Fikr-E-Aakhirat group

No comments:

Post a Comment