Powered By Blogger

Monday, 19 June 2017

۞✵۞ ◡ ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯ ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷ ۞ A I T K A A F ۞ ✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰ ⚄ PART↬15 ⚄ ◉••◯••◉✧◉••◯••◉ *⊙ Mutafarrik Masail ⊙* ★ jis masjid me moatkif he agar waha juma ki namaz nahi hoti ho to namaze juma ke liye ja’ama masjid me Jana bhi durust he, magar ese waqt me jaye k waha jaakar Tahaytul masjid aur sunnat pad sake, aur namaze juma se farig hokar foran apni masjid me wapas aa jaye, ★ Agar bhoole se bhi apni masjid se nikal gaya to bhi aitkaaf toot gaya, ★ Aitkaaf me be-zaroorat duniyavi kaamo me mashgool hona makroohe tehrimi he, maslan be-zaroorat kharid farokht karna, ( Agar gareeb aadmi he k ghar me khane ko kuchh nahi to aitkaaf me bhi khareed farokht kar sakta he), magar samaan masjid me lana jaa’iz nahi, ★ Haalate Aitkaaf me bilkul chup bethna durust nahi,, Haa agar zikr, tilawat vagera karte karte thak jaye to araam ki niyat se chup bethna sahi he, ★ Ramdhan Mubarak ke 10 din aitkaaf karne ke liye zaroori he k 20 vi tareekh ko suraj guroob hone se pehle masjid me aitkaaf ki niyat se dakhil ho jaye kyuki 20 vi tareekh ka suraj guroob hote hi Aakhri ashra shuru ho jata he, ⇨ agar suraj guroob hone ke baad chand lamhe bhi aitkaaf ki niyat ke bager guzar gaye to aitkaaf masnoon na hoga, ★ Aitkaaf ke liye Roza shart he, khuda na khasta agar roza Toot jaye to Aitkaaf masnoon bhi jata raha, ★ Moatakif ko kisi ki bimaar pursi ki niyat se masjid se nikalna durust nahi, ⇨haa! Agar apni tibbi Zaroorat ( bimaari) ke liye bahar gaya to chalte chalte mijaaz pursi bhi karli to durust he, ★ Ramzan ke Aakhri ashre ka Aitkaaf to masnoon he , wese mustahab ye he k jab bhi Aadmi masjid me jaye to Aitkaaf ki niyat kar le, chahe kitni hi der ke liye jaye, ★ Aitkaaf ki niyat dil me kar lena kaafi he, agar zaban se bhi keh le to behtar he, ★ Moatakif poori masjid me jaha chahe waha so ya beth sakta he, ★ Aitkaaf me chadar lagana zaroori nahi, ★ Bila uzr Aitkaaf todne wala azeem doalat se mehroom raha, ★ Har Din ka Aitkaaf ek mustakil ibaadat he, isliye jis din ka Aitkaaf toota he sirf usi ek din ki qaza laazim he, bahut se akaabir ne ise akhtyar kiya he, ⚀•RєԲ:➻┐ Aapke Masqil aur Unka Hal,3/323 •┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄• *⊙ Nifli Aitikaaf ⊙* ★ Nifli Aitkaaf ke liye khaas muddat aur khaas zamane ka hona zaruri nahi aur na hi Roza rakhna zaruri he, ⇨ Masail: – ★ 1- Nifli Aitkaaf har Masjid me hota he chahe us Masjid me Namaze Bajama’at ka ahatmam ho ya nahi, ★ 2- Aitkaaf ki niyat se Masjid me dakhil hua ya Namaz padhne ke liye ya kisi zarurat ke liye, aur niyat kar li to in sab soorto me Aitkaaf ka sawab hoga, ★ 3- Nifli Aitkaaf us waqt tak baqi rehta he jab tak Aadmi Masjid me rahe, bahar nikalne se Aitkaaf khatm ho jata he tootta nahi, ★ 4- Nifli Aitkaaf me baar baar uthkar chale Jana aur fir aana sab jaa’iz he, ⚀•RєԲ:➻┐ Aitkaaf Course, 24 *▩Alhamdulillah Mukammal Hue▩* http://hafizasiffarooqi.blogspot.com *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ ۞✵۞

Fikr-E-Aakhkirat Group

No comments:

Post a Comment