Powered By Blogger

Friday, 30 June 2017

🍁🍁🍁 .                                                      ❈ *बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम* ❈ ╭•∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽•╮       *MUJHE ACCHA LAGTA HAI* *JIS KHATOON NE BHI YE* *TEHREER LIKHI HAI KAMAAL* *LIKHI HAI*          ╰•∽––∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽•╮                                 *PART-01*             ┅┅━━═۞═━━┅ *⚃➠ (01) mujhe Accha Lagta hai mard se muqaabLah na karna or usse ek darjah kamzor Rehna mujhe accha Lagta hai jab kahin bahir jaate hue wo mujhse kehta hai Ruku me tumhe Le jata hun Ya me bhi tumhare Saath chaLta hun*   ╟❥ *Next- 02 continue in sha Allah*    •┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•                                        💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕      ︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶ Ĺ         ⌈﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂⌉        ▏✍🏻  *Fikr-E-Aakhirat Group*     ▏.   http:// hafizasiffarooqi.blogspot.com   * 👆🏻👆🏻 *Visit for all Msgs*       ⌊﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁⌋ 🍁🍁🍁

Asif farooqi

Monday, 19 June 2017

🌸🌼🌸 ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁ βίşмίĻĻάħίħʀʀάħмάήίʀʀάħέέм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁ Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat ✧ *:・゚✦✦*:・゚✧ ( Subeh se Shaam Tak Ke Amaal ) PART— 25 ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ ▦══─────────────══▦ ☞- Isha aur Raat ke Mamulaat, ✾ 1- Isha ki Namaz mukammal jama'at ke saath Ada kare, Safe avval ki koshish kare, ✾ 2- Isha ke baad Dua aur azkaar ka ahatmam kare, ✾ 3- Do raka'at sunnat Mokada aur 2 raka'at gair mokada Ada kare, ✾ 4- Taraveeh mukammal 20 raka'at takbeer Avla ke saath salaam tak Ada kare, ✾ 5- Vitr bhi jama'at ke saath Ada kare, ✾ 6- Taraveeh ke baad baqiya isha ki 2 sunan gair mokada Ada kare, ✾ 7- Masjid se sidhe ghar jaye, Khana vagera khaakar jald se jald so jaiye, ✾ 8- Sone se pehle Sone se pehle ke azkaar aur Duae'n na bhoole, ✾ 9- Vaju karke soiye, ✾ 10- Subeh jald uthne ka ahatmam karke soiye, ↳ Next -26 , in sha Allah ta'ala, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 25 ------------ →ρLѕ ƒoʀwαʀd to others ━═─────────────────═━ ☆ 🌸🌼🌸 🌸🌼🌸 ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁ βίşмίĻĻάħίħʀʀάħмάήίʀʀάħέέм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁ Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat ✧ *:・゚✦✦*:・゚✧ ( Subeh se Shaam Tak Ke Amaal ) PART— 26 ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ ▦══─────────────══▦ ☞- Sone se Pehle Nafs ka Muhasba kijiye, ⇨⇨Apne Nafs se Puchhiye: --- ✾ 1- Ay nafs ! Kya tune aaj mahaz Allah ke liye sadqa khairat kiya, ✾ 2- Ay nafs ! Kya tune aaj kisi insaan ko nafa pahunchaya, ✾ 3- Ay nafs ! Kya tune aaj Silah Rahmi ki, ✾ 4- Ay nafs ! Kya tune aaj koi Deen ki baat sikhi, ✾ 5-Ay nafs ! Kya tune aaj Amr bil ma'aroof nahi Anil munkar ( Bhalai ka hukm aur Buarai se rokna ) kiya, ✾ 6- Ay nafs ! Kya tune apne aapko geebat, jhoot, aur digar gunaho se bachaya, ✾ 7- Ay nafs ! Kya tu badnazri se bacha raha, ✾ 8- Ay nafs ! Kya tune tamaam Namaze aur Mamulaat pure kar liye, ⇒ Jab nafs kahe Haa'n to " Alhamdulillah, " padhte hue so jaiye, Aur agar nafs inkaar kare to " Astagfaar " karte hue Aainda karne ki niyat karke so jaiye, ⊙ KHULASA ⊙ ●◆● Khulasa ye he k Ramzan ki koi ghadi besood na guzarne de aur baar baar Allah ki ibaadat aur makhlooq ki khidmat me apne aapko lagaye rakhe, ●◆● Agar hum is tarah Ramzan guzarenge to fir dekhiye k kya inqlaab barpa hota he, ↳ Next -27, in sha Allah ta'ala, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 26 ------------ →ρLѕ ƒoʀwαʀd to others ━═─────────────────═━ ☆ 🌸🌼🌸 🌸🌼🌸 ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁ βίşмίĻĻάħίħʀʀάħмάήίʀʀάħέέм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁ Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat ✧ *:・゚✦✦*:・゚✧ Ramzan ke Baad Zindgi Kese Guzare, PART— 27 ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ ▦══─────────────══▩  Jab Ramzan Nizamul Avqaat ki nekiyo ki pabandi ke saath guzrega to in sha Allah ta'ala poora saal Allah ki madad, nusrat aur tofeeq ke saath guzrega,  Ramdhan me Aap har aitbar se Taqwa akhtyar karo yani har burai se chahe jahiri ho ya baatini, bach jao, Allah poore saal taqwa se guzarne ki tofeeq dega,  Tauba Astagfaar kasrat se karo, Israaaf se bacho, aam tor per dekha jata he k Ramzan me israafe ta'aam aur ifraate naum me log zyada mubtila hote hai, yani zyada khana aur zyada sona,, →ab jahiri baat he jab zyada khakar aur sokar Ramzan guzrega to poora saal be-barkati wala hi hoga, ⇨ Ramdhan ke baad Pabandi kare:- ★ Farz Namazo ki pabandi ba-jama'at kare,, ★ namaze vitr ki pabandi kare,, ★ Sunnan Mokada ka ahatmam kare,, ★ Qurane paak ki tilawat ki pabandi kare,, ★ Halaal rizq per guzara kare,, ★ Deen khud bhi seekhe apne maathato ko, bachcho ko bhi Deeni taleem aur tarbiyat dene ka ahatmam kare, ★ Allah ke Deen ki mehnat kare, apne jaan, maal or waqt ki tarteeb banaye, ●◆Alhamdulillah Mukammal Hue◆● ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 18 *Plz Forward to All Muslim* ━═─────────────────═━ ☆ 🌸🌼🌸

Alhamdulillah Mukammal Huwe

۞✵۞ ◡ ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯ ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷ ۞ A I T K A A F ۞ ✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰ ⚄ PART↬15 ⚄ ◉••◯••◉✧◉••◯••◉ *⊙ Mutafarrik Masail ⊙* ★ jis masjid me moatkif he agar waha juma ki namaz nahi hoti ho to namaze juma ke liye ja’ama masjid me Jana bhi durust he, magar ese waqt me jaye k waha jaakar Tahaytul masjid aur sunnat pad sake, aur namaze juma se farig hokar foran apni masjid me wapas aa jaye, ★ Agar bhoole se bhi apni masjid se nikal gaya to bhi aitkaaf toot gaya, ★ Aitkaaf me be-zaroorat duniyavi kaamo me mashgool hona makroohe tehrimi he, maslan be-zaroorat kharid farokht karna, ( Agar gareeb aadmi he k ghar me khane ko kuchh nahi to aitkaaf me bhi khareed farokht kar sakta he), magar samaan masjid me lana jaa’iz nahi, ★ Haalate Aitkaaf me bilkul chup bethna durust nahi,, Haa agar zikr, tilawat vagera karte karte thak jaye to araam ki niyat se chup bethna sahi he, ★ Ramdhan Mubarak ke 10 din aitkaaf karne ke liye zaroori he k 20 vi tareekh ko suraj guroob hone se pehle masjid me aitkaaf ki niyat se dakhil ho jaye kyuki 20 vi tareekh ka suraj guroob hote hi Aakhri ashra shuru ho jata he, ⇨ agar suraj guroob hone ke baad chand lamhe bhi aitkaaf ki niyat ke bager guzar gaye to aitkaaf masnoon na hoga, ★ Aitkaaf ke liye Roza shart he, khuda na khasta agar roza Toot jaye to Aitkaaf masnoon bhi jata raha, ★ Moatakif ko kisi ki bimaar pursi ki niyat se masjid se nikalna durust nahi, ⇨haa! Agar apni tibbi Zaroorat ( bimaari) ke liye bahar gaya to chalte chalte mijaaz pursi bhi karli to durust he, ★ Ramzan ke Aakhri ashre ka Aitkaaf to masnoon he , wese mustahab ye he k jab bhi Aadmi masjid me jaye to Aitkaaf ki niyat kar le, chahe kitni hi der ke liye jaye, ★ Aitkaaf ki niyat dil me kar lena kaafi he, agar zaban se bhi keh le to behtar he, ★ Moatakif poori masjid me jaha chahe waha so ya beth sakta he, ★ Aitkaaf me chadar lagana zaroori nahi, ★ Bila uzr Aitkaaf todne wala azeem doalat se mehroom raha, ★ Har Din ka Aitkaaf ek mustakil ibaadat he, isliye jis din ka Aitkaaf toota he sirf usi ek din ki qaza laazim he, bahut se akaabir ne ise akhtyar kiya he, ⚀•RєԲ:➻┐ Aapke Masqil aur Unka Hal,3/323 •┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄• *⊙ Nifli Aitikaaf ⊙* ★ Nifli Aitkaaf ke liye khaas muddat aur khaas zamane ka hona zaruri nahi aur na hi Roza rakhna zaruri he, ⇨ Masail: – ★ 1- Nifli Aitkaaf har Masjid me hota he chahe us Masjid me Namaze Bajama’at ka ahatmam ho ya nahi, ★ 2- Aitkaaf ki niyat se Masjid me dakhil hua ya Namaz padhne ke liye ya kisi zarurat ke liye, aur niyat kar li to in sab soorto me Aitkaaf ka sawab hoga, ★ 3- Nifli Aitkaaf us waqt tak baqi rehta he jab tak Aadmi Masjid me rahe, bahar nikalne se Aitkaaf khatm ho jata he tootta nahi, ★ 4- Nifli Aitkaaf me baar baar uthkar chale Jana aur fir aana sab jaa’iz he, ⚀•RєԲ:➻┐ Aitkaaf Course, 24 *▩Alhamdulillah Mukammal Hue▩* http://hafizasiffarooqi.blogspot.com *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ ۞✵۞

Fikr-E-Aakhkirat Group

Saturday, 17 June 2017

۞✵۞ ◡ ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯ ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷ ۞ A I T K A A F ۞ ✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰ ⚄ PART↬14 ⚄ ◉••◯••◉✧◉••◯••◉ *⊙ Waajib ul Gusl ⊙* ★ Agar kisi Moatkif per Gusl waajib ho jaye to gusl karne ki zarurat ke liye Moatkif ko bahar nikalna jaa’iz he, ★ Moatkif ko Din ya Raat me ahatlam ho jane per Aitkaaf per koi asar nahi padta, ★ Agar Masjid me Gusalkhana mojood ho to usi me gusl karna chahiye lekin agar gusalkhana na ho ya usme gusl karna mumkin na ho to, maslan Masjid me pani vagera girne ka andesha ho to is soorat me bahar ja sakta he, ★ Sardiyo me ahatlam ho jaye aur garam pani ka intezam masjid me na ho aur thande pani se nuksaan ka andesha ho to Moatkif Tayammum kare, Masjid me rahe aur apne ghar ittela kare taki pani garam ho jaye, *_Aur agar qareeb me kahi garm pani ka hammam ho to waha ja sakta he, ho sake to waha bhi pehle ittela kar de aur foran gusl karke aa jaye, ⚀•RєԲ:➻┐ Aitkaaf Course, 23 •┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄• *⊙ Juma ke Liye Jana ⊙* ★ Behtar ye he k esi Masjid me Aitkaaf kiya jaye jisme Namaze Juma hoti ho, lekin agar kisi Masjid me juma nahi hota to doosri Masjid me Juma ke liye ja sakta he, *_Albatta is garz ke liye ese waqt me nikle jab ye andaza ho k Juma ki jagah pahunch kar 4 raka’at sunnat Ada karne ke foran baad khutba shuru ho jayega, ★ Kisi Masjid me Juma padhne ke liye gaya to Farz padhne ke baad sunnate bhi wahi padh sakta he, lekin uske baad theharna jaa’iz nahi, Taham agar zarurat se zyada thehar gaya to chunki Masjid hi me thehra he isliye Aitkaaf nahi tootega, ★ Juma ki Namaz ke ye ahkaam sirf Mardo ke liye he Aurto’n ke liye nahi, kyuki Aurto’n per Juma waajib nahi lihaza unko Juma ke liye Jane ki na to zarurat he aur na hi unke liye jaa’iz he, ⚀•RєԲ:➻┐ Aitkaaf Course, 24 http://hafizasiffarooqi.blogspot.com *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ ۞✵۞

Fikr-E-Aakhirat group

Friday, 16 June 2017

🌸🌼🌸 ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁ βίşмίĻĻάħίħʀʀάħмάήίʀʀάħέέм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁ Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat ✧ *:・゚✦✦*:・゚✧ ( Subeh se Shaam Tak Ke Amaal ) PART— 22 ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ ▦══─────────────══▦ ☞- Zuhar Se Asr Tak Ke Amaal, ✾ 1- Masjid me jaldi aakar Tahayatul Masjid v Vaju ki 2 raka'at, Fir Qurane paak ki Tilawat aur Pehli Saf ka ahatmam, ✾ 2- Zuhar se pehle ki 4 raka'at Sunnat Mokada ka ahatmam, ✾ 3- Khushu Khuzu ke saath Namaze Zuhar ki 4 raka'at Farz Ada kare, ⇒ Mobile ghar chhod kar aaiye, ✾ 4- Namaz ke baad Dua aur Tasbihaat aur Namaz ke baad ke azkaar ka ahatmam, ✾ 5- Namaz ke baad 2 raka'at sunnat Mokada aur 2 raka'at Sunnat gair Mokada Ada kare, ✾ 6- Fir Koi kaam ho to kuchh der usse faarig hokar Quran Paak ki Tilawat kare, ↳ Next -23, in sha Allah ta'ala, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 23 ------------ →ρLѕ ƒoʀwαʀd to others ━═─────────────────═━ ☆ 🌼🍀🌼 🌸🌼🌸 ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁ βίşмίĻĻάħίħʀʀάħмάήίʀʀάħέέм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁ Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat ✧ *:・゚✦✦*:・゚✧ ( Subeh se Shaam Tak Ke Amaal ) PART— 23 ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ ▦══─────────────══▦ ☞- Asr se Magrib tak ke Amaal, ✾ 1- Azaan se pehle ya kam se kam Azaan hote hi Masjid ki taraf chal de, ✾ 2- Asr se pehle ki 4 raka'at Sunnat gair mokada Ada kare, ✾ 3- Agar sunnato ki adaaygi ke baad waqt ho to Tilawate Quran me masroof ho jaiye, ✾ 4- Safe avval me Namaz padhne ka ahatmam, ✾ 5- Namaz ke baad AZkaar aur Tasbihaat ka ahatmam, ✾ 6- Tafseer, Taleem vagera ho rahi ho to usme zarur bethe, ✾ 7- Aftaar se 15-20 minutes pehle Dua me poore itminan ke saath lag jaiye, aur khoob ro ro kar apne liye aur poori ummat ke liye Duae'n kare, ✾ 8- Khajoor se aftaar kare, ho sake to Masjid me aftaar kare, ✾ 9- Aftaari khane me itni der na lagaye k raka'at ya Namaze Magrib hi chhoot jaye, ↳ Next -24, in sha Allah ta'ala, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 24 ------------ →ρLѕ ƒoʀwαʀd to others ━═─────────────────═━ ☆ 🌼🍀🌼 🌸🌼🌸 ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁ βίşмίĻĻάħίħʀʀάħмάήίʀʀάħέέм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁ Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat ✧ *:・゚✦✦*:・゚✧ ( Subeh se Shaam Tak Ke Amaal ) PART— 24 ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ ▦══─────────────══▦ ☞- Magrib se Isha tak ke Amaal, ✾ 1- Magrib ki Namaz ke baad Dua, Tasbihate Fatima aur Namaz ke baad ke azkaar na chhode, ✾ 2- Do raka'at sunnat Mokada aur do raka'at sunnat gair mokada Ada kare, ✾ 3- Namaze Avvabeen jitni ho sake Ada kare, 2-4-6-8-10-12,,,,,,,, ✾ 4- Kuchh waqt apne ghar walo ke saath guzare, ✾ 5- Isha ki Azaan se pehle ya Azaan hote hi masjid me haazir ho jaye, ↳ Next -25, in sha Allah ta'ala, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 25 http://hafizasiffarooqi.blogspot.com *Forword Too All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* ━═─────────────────═━ ☆ 🌼🍀🌼

*Fikr-E-Aakhirat Group*

🌸🌼🌸 ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁ βίşмίĻĻάħίħʀʀάħмάήίʀʀάħέέм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁ Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 19 ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ ▦══─────────────══▦ ☞- Shabe Qadar ki talaash karna, ✾ Khususan Ramzan ke Aakhri ashre ki Taak raato (21,23,25,27,29) me shabe Qadar ki talaash me rahe, Al-hadees  ✾ " Hadees paak me aaya he k shabe Qadar ko Ramzan ke Aakhri ashre ki taak raato me talaash karo, " ↳® Bukhari, Muslim Sharif, ↳ Next -20 in sha Allah ta'ala, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 12 ------------ →ρLѕ ƒoʀwαʀd to others ━═─────────────────═━ ☆ 🌼🍀🌼 🌸🌼🌸 ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁ βίşмίĻĻάħίħʀʀάħмάήίʀʀάħέέм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁ Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 20 ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ ▦══─────────────══▦ ☞- Sadqa e Fitr Ada karna, ✾ Ramzan me hi sadqa e Fitr Ada karne ka ahatmam kare, Al- Hadees ✾" Hadees paak me Hazrat ibne Umar Raziyallahu Anhu rivayat karte hai k Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne sadqa e Fitr ko wajib karaar diya he," ↳® Bukhari, Muslim, ↳ Next -21, in sha Allah ta'ala, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 13 ------------ →ρLѕ ƒoʀwαʀd to others ━═─────────────────═━ ☆ 🌸🌼🌸 🌸🌼🌸 ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁ βίşмίĻĻάħίħʀʀάħмάήίʀʀάħέέм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁ Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat ✧ *:・゚✦✦*:・゚✧ ( Subeh se Shaam Tak Ke Amaal ) PART— 21 ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ ▦══─────────────══▦ ☞- Fajar se Zuhar Tak ke Amaal, ✾ 1- Subeh Tahajjud ka ahatmam karna chahiye chahe 2 raka'ate hi kyu na ho, ✾ 2- Subeh Savere kam se kam ek para Quran Paak ki Tilawat, ✾ 3- Masjid me jaldi jaakar pehli saf me bethne ka ahatmam aur 2 raka'at Sunnat, ✾ 4- Khushu v Khuzu ke saath 2 raka'at Farz ka ahatmam, ✾ 5- Namaz ke baad Tasbihaat fir Dua ka ahatmam, ✾ 6- Namaz ke baad Subeh ke masnoon Azkaar ka ahatmam, ✾ 7- Suraj Tulu hone tak na soiye balki Tulu ke 20 minutes baad Namaze ishraak padhe, Fir chahe thodi der so jaiye, ✾ 8-Zawaal se pehle Namaze Chaasht ka ahatmam, ↳ Next -22 , in sha Allah ta'ala, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 13 http://hafizasiffarooqi.blogspot.com *Forword too All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* ━═─────────────────═━ ☆ 🌸🌼🌸

Fikr-E-Aakhirat Group

🌸🌼🌸 ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁ βίşмίĻĻάħίħʀʀάħмάήίʀʀάħέέм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁ Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 16 ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ ▦══─────────────══▦ ☞- Maahe Ramzan me zakaat Ada karna, ✾ Agar maale nisaab ko pahunche to maal ki zakaat Ada karne ka ahatmam kare, Al-Quran  ✾ " Allah ta'ala ka irshad he k namaz qaayam karo aur zakaat Ada karo aur ruku karne walo ke saath ruku karo yani jamaat ke saath namaz Ada kiya karo," ↳® Surah Al- Baqrah, 43 ↳ Next -17, in sha Allah ta'ala, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 11 ------------ →ρLѕ ƒoʀwαʀd to others ━═─────────────────═━ ☆ 🌸🌼🌸 🌸🌼🌸 ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁ βίşмίĻĻάħίħʀʀάħмάήίʀʀάħέέм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁ Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 17 ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ ▦══─────────────══▦ ☞- Tahajjud ki namaz Ada karna, ✾ Rozana tahajjud ki namaz ka ahatmam karna, Al-Quran  ✾ "Allah ta'aala ka irshad he, unke pehlu bistaro se door rehte hai aur khof aur ummeed ke saath apne rab ko pukarte hai aur Jo humne unko de rakha he usko raahe Khuda me kharch karte hai,". ↳® Al Qur'an ↳ Next -18 in sha Allah ta'ala, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 12 ------------ →ρLѕ ƒoʀwαʀd to others ━═─────────────────═━ ☆ 🌸🌼🌸 🌸🌼🌸 ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁ βίşмίĻĻάħίħʀʀάħмάήίʀʀάħέέм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁ Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 18 ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ ▦══─────────────══▦ ☞- Akhri ashre ka Aitkaaf karna, ✾ Ramzan Mubarak me Aakhri ashre ka Aitkaaf karne ka ahatmam kare, Al-Hadees ✾ " Hadees Sharif me aata he k Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam Ramzan ke akhri ashre ka aitkaaf farmaya karte the," ↳® Bukhari Sharif, ↳ Next -19 in sha Allah ta'ala, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 12 http://hafizasiffarooqi.blogspot.com *Forword Too All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* ━═─────────────────═━ ☆ 🌸🌼🌸

Fikr-E-Aakhirat Group

Thursday, 15 June 2017

🌸🌼🌸 ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁ βίşмίĻĻάħίħʀʀάħмάήίʀʀάħέέм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁ Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART—13 ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ ▦══─────────────══▦ ☞- Chast ki namaz ki pabandi karna, ✾Chast ki namaz ki rozana pabandi kare, Al-hadees ✾" Hadees Sharif me Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai k mujhe mere khaleel Hazrat Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne 3 cheezo ki vasiyat farmayi, 1- Har maah 3 roze rakhne ki, 2- Chast ki namaz padne ki, or 3- Sone se pehle Vitr ki namaz ada karne ki, ↳ Tirmizi sharif ☞- Vitr ki namaz ka ahatmam karna, ✾ Vitr ki namaz ka rozana sone se pehle ahatmaam kare, ↳ Next -14, in sha Allah ta'ala, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 11 ------------ →ρLѕ ƒoʀwαʀd to others ━═─────────────────═━ ☆ 🌼🍀🌼 🌸🌼🌸 ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁ βίşмίĻĻάħίħʀʀάħмάήίʀʀάħέέм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁ Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART—14 ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ ▦══─────────────══▦ ☞- Har namaz ke baad zikr karna, ✾ Rozana har namaz ke baad zikr ki pabandi kare, khaskar Tasbihe Fatima zaroor padiye, ⚡Al-Quran ⚡ ✾ " Allah ta'ala ka irshad he k Allah ta'ala ka kasrat se zikr karne wale mard aur Aurato ke liye magfirat aur ajre azeem ka vaada he," ↳® Al- Quran, ↳ Next -15, in sha Allah ta'ala, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 11 ------------ →ρLѕ ƒoʀwαʀd to others ━═─────────────────═━ ☆ 🌼🍀🌼 🌸🌼🌸 ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁ βίşмίĻĻάħίħʀʀάħмάήίʀʀάħέέм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁ Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART—15 ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ ▦══─────────────══▦ ☞- Duao ka ahatmam karna, ✾ Har roz khaas tor per 30 minutes Dua maangne ka ahatmam kare, Al-Quran ✾ "Allah ta'aala ka irshad he k Jo mujhse dua maangta he, me uski duae qubool karta hu," ↳® Al- Quran, ↳ Next -16, in sha Allah ta'ala, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 11 http://hafizasiffarooqi.blogspot.com *Forword too All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* ------------ →ρLѕ ƒoʀwαʀd to others ━═─────────────────═━ ☆ 🌸🍀🌸

Fikr-E-Aakhirat Group

۞✵۞ ◡ ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯ ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷ ۞ A I T K A A F ۞ ✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰ ⚄ PART↬13 ⚄ ◉••◯••◉✧◉••◯••◉ *Mutafarrik* •┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄• ★ Ramzan ke Aakhri 10 din ka aitkaaf sunnate kifaya he, ⇨ agar mohalle ke kuchh log is sunnat ko Ada kare to masjid ka haq Jo ahle mohalla per laaZim he Ada ho jayega, aur agar masjid khali rahi aur koi shakhs bhi aitkaaf me na betha to sab mohalle wale laaiqe itaab honge aur masjid ke aitkaaf se khali rehne ka vabaal poore mohalle per padega, ★ Jis masjid me namaz panj waqta bajama'at hoti ho usme aitkaaf ke liye bethna chahiye aur agar masjid esi ho jisme panj waqta namaz bajama'at na hoti ho, usme panj waqta namaz bajama'at ka intezam karna ahle mohalla per laazim he, ★ Aurat apne ghar me ek jagah namaz ke liye muqarrar karke waha aitkaaf Kare, usko masjid me aitkaaf me bethne ka sawab milega, ★ Aitkaaf me Quran majeed ki tilawat, Darood Sharif, Zikr v Tasbeeh, Dini ilm sikhna aur sikhana, Ambiya Alaihissalam, Sahaba ikram Raziyallahu anhum aur buzurgane deen ke halaat padna, sunna apna mamool rakhe, ★ Be-zaroorat baat karne se ayraaj kare, ★ Aitkaaf me be-zaroorat aitkaaf ki jagah se nikalna jaa'iz nahi, varna aitkaaf baqi nahi rahega, ⇨ Yaad rahe k Aitkaaf ki jagah se muraad poori masjid he, jisme aitkaaf kiya jaye, khas wo jagah muraad nahi Jo masjid me aitkaaf ke liye makhsoos kar li jati he, ★ Peshab -Pakhana aur Gusl ke liye bahar Jana jaa'iz he, isi tarah agar ghar se khana lane wala koi na ho to khana khane ke liye ghar Jana bhi jaa'iz he, ⚀•RєԲ:➻┐ Aapke Masqil aur Unka Hal,3/322 http://hafizasiffarooqi.blogspot.com *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ ۞✵۞

Fikr-E-Aakhirat Group

Wednesday, 14 June 2017

🌸🌼🌸 ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁ βίşмίĻĻάħίħʀʀάħмάήίʀʀάħέέм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁ Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 11 ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ ▦══─────────────══▦ ☞- Dawate ilallaah dena, ✾ Rozana kam se kam ek Aadmi ko Allah ke deen ki taraf bulaya kare, Al-hadees ✾ " Hadees me aata he, k agar Allah ta'ala Teri vajah se ek Aadmi ko bhi hidayat de de to tere liye surkh ounto se zyada behtar he," ↳® Muslim Sharif, ↳ Next -12 in sha Allah ta'ala, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 10 ------------ →ρLѕ ƒoʀwαʀd to others ━═─────────────────═━ ☆ 🌼🍀🌼 🌸🌼🌸 ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁ βίşмίĻĻάħίħʀʀάħмάήίʀʀάħέέм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁ Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 12 ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ ▦══─────────────══▦ ☞- Har Jumeraat ( Shab guzari ) ya juma ko Aitkaaf karna, ✾ Jumeraat ko apni masjid me shab guzari kare aur ho sake to Kam se kam Fajar ki namaz se lekar ishraak tak rozana aitkaaf kar liya kare, ⚡Al- hadees⚡ ✾" Hadees paak me Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he k, " jis shakhsh ne fajar ki namaz bajama'at padi aur fir zikre ilaahi me mashgool ho gaya, yaha tak k suraj tulu'a ho gaya fir usne 2 raka'at padhi, to usko ek mukammal hajj aur umrah ka sawab milega ," ↳® Tirmizi Sharif ↳ Next -13, in sha Allah ta'ala, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 10 http://hafizasiffarooqi.blogspot.com *_ Please Forword too All Musilm*_ *Fikr-E-Aakhirat Group* ------------ →ρLѕ ƒoʀwαʀd to others ━═─────────────────═━ ☆ 🌼🍀🌼

Fikr-E-Aakhirat group

۞✵۞ ◡ ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯ ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷ ۞ A I T K A A F ۞ ✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰ ⚄ PART↬12 ⚄ ◉••◯••◉✧◉••◯••◉ Aitkaaf Ke Mamnuaat v Makroohaat •┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄• ★ 1- Bila zarurat baate karna, ★ 2- Aitkaaf ki haalat me fahash ya bekaar aur jhoote qisse kahaniya ya islam ke khilaf mazameen per mushtmil literature, Tasveer wale akhbaraat v Rasail ya akhbaar ki jhooti khabre masjid me lana, rakhna, padhna, Sunna, ★ 3- Zarurat se zyada samaan masjid me laakar bikher dena, ★ 4- Masjid me bijli, gais aur paani vagera ka beza istemal karna, ★ 5- Masjid me Cigarette, Bidi v Huqqa peena, ★ 6- Ujrat ke saath hajamat banana aur banwana, ⇨lekin agar kisi ko hajamat ki zarurat he aur bager ujrat ke banane wala mayassar na ho to esi soorat akhtyar ki ja sakti he k Hajamat banane wala masjid se bahar rahe aur Moatkif masjid ke andar, ⚀•RєԲ:➻┐ Aitkaaf Course, 21 *🔜 13 ,NEXT ,in sha Allah,* http://hafizasiffarooqi.blogspot.com *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ ۞✵۞

Fikr-E-Aakhirat Group

۞✵۞ ◡ ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯ ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷ ۞ A I T K A A F ۞ ✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰ ⚄ PART↬11 ⚄ ◉••◯••◉✧◉••◯••◉ Aitkaaf Ki Haalat me Jaa'iz Kaam -1 •┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄• ★ 1- Khana peena ( Basharte k masjid ko ganda na kiya jaye ) ★ 2- Sona, ★ 3- Zarurat ki baat karna, ★ 4- Apna ya doosre ka Nikaah ya koi aur Aqd karna, ★ 5- Kapde badalna, ★6- Khushbu lagana, ★7-Tail lagana, ★8- Kanghi karna (Basharte k masjid ki chatai aur qaaleen vagera kharab na ho ), ★9- Masjid me kisi mareej ka muaena karna, nuskha likhna ya dava dena, lekin ye kaam bager ujrat ke ho to jaa'iz he varna makrooh he, ★ 10- Bartan dhona, ★ 11- Zaruriyaat Zindgi ke liye khareed farokht karna Basharte k sauda masjid me na laya jaye, ★ 12- Aurat ka Aitkaaf ki haalat me bachcho ko doodh pilana, ★ 13- Moatkif ka apni nashishtgah ke ird gird chaadare lagana, ★ 14- Moatkif ka masjid me apni jagah badalna, ★ 15- Baqadre zarurat bistar, saabun, khane peene ke bartan, haath dhone ke bartan aur mutalaa ke liye deeni kitaabe masjid me rakhna, *⚀•RєԲ:➻┐* *Aitkaaf Course, 21* *🔜 12 ,NEXT ,in sha Allah,* http://hafizasiffarooqi.blogspot.com *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ ۞✵۞

Fikr-E-Aakhirat group

Monday, 12 June 2017

۞✵۞ ◡ ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯ ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷ ۞ A I T K A A F ۞ ✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰ ⚄ PART↬09 ⚄ ◉••◯••◉✧◉••◯••◉ Aitkaaf E Sunnat -2 •┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄• ,,,,,, pichhle part se aage Jaari,, ★ 4-Aakhri ashre ke chand din ka Aitkaaf Aitkaafe Nifl he Sunnat nahi, ★5- Aurto'n ko Masjid ki bajaye apne ghar me Aitkaaf karna chahiye, ★ 6- Sunnate Aitkaaf ki dil me itni niyat kaafi he k me Allah ki raza ke liye Ramzan ke aakhri ashre ka masnoon Aitkaaf karta hu'n, ★7- Kisi shakhs ko ujrat dekar Aitkaaf me bithana jaa'iz nahi, ★8- Masjid me ek se zyada log Aitkaaf kare to sabko sawab milta he, ★9- Masnoon Aitkaaf ki niyat 20 tareekh ke gurube aftaab se pehle kar leni chahiye, agar koi shakhs waqt per Masjid me dakhil ho gaya lekin usne Aitkaaf ki niyat nahi ki aur Suraj gurub ho gaya to fir niyat karne se Aitkaaf sunnat nahi hoga, ★10- Agar kisi ne pehle 2 ashro me Roze nahi rakhe ho ya taraveeh na padhi ho to wo bhi Aitkaaf kar sakta he, ★11- Jis shakhs ke badan se badbu aati ho ya esa marz ho jiski vajah se log tang ho to esa shakhs Aitkaaf me na bethe, ⇨Albatta agar badbu thodi ho Jo khushbu vagera se door ho jaye aur logo ko takleef na ho to jaa'iz he, ⚀•RєԲ:➻┐ Aitkaaf Course, 19 🔜 10 ,NEXT ,in sha Allah, http://hafizasiffarooqi.blogspot.com *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* 📲 *91-70265993203* ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ ۞✵۞

*Fikr-E-Aakhirat Group*

Sunday, 11 June 2017

۞✵۞ ◡ ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯ ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷ ۞ A I T K A A F ۞ ✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰ ⚄ PART↬08 ⚄ ◉••◯••◉✧◉••◯••◉ Aitkaaf E Sunnat •┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄• ★ Aitkaafe Sunnat wo he jo sirf Ramzanul Mubarak ke aakhri ashre me kiya jata he, ⇨ Masail e Aitkaafe Sunnat: - ★ 1- Ramzan ke sunnat Aitkaaf ka waqt Beesva Roza poora hone ke din gurube aftaab se shuru hota he aur Eid ka chand nazar aane tak rehta he, Moatkif ko chahiye k wo Beesve din gurube aftaab se pehle Aitkaaf wali jagah pahunch jaye, ★2- Ye Aitkaaf Sunnate Mokada alal kifaya he Yani bade shehro ke mohalle ki kisi ek masjid me aur Gaanv dehaat ki poori basti ki kisi ek masjid me koi ek Aadmi bhi Aitkaaf karega to sunnat sabki taraf se Ada ho jayegi, agar koi bhi Aitkaaf na kare to sab gunahgaar honge, ★ 3- Jis Mohalle ya basti me Aitkaaf kiya gaya he us mohalle aur basti walo ki taraf se sunnat Ada ho jayegi, agarche Aitkaaf karne wala doosre mohalle ka ho, ,,,,,,,,,,,, To be continued,, ⚀•RєԲ:➻┐ Aitkaaf Course, 19 🔜 9 ,NEXT ,in sha Allah, http://hafizasiffarooqi.blogspot.com *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* 📲 *91-70265993203* ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ ۞✵۞

*Fikr-E-Aakhirat Group*

۞✵۞ ◡ ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯ ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷ ۞ A I T K A A F ۞ ✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰ ⚄ PART↬07 ⚄ ◉••◯••◉✧◉••◯••◉ Aitkaaf e Waajib •┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄• ,,,,,,,,,, Pichhle part se aage Jaari,, ★ 5- Agar kisi ne mannat maante waqt ye kaha k me Raat ka Aitkaaf karunga aur Dil me niyat Din ki bhi thi to ye mannat sahi nahi, is per Aitkaaf waajib nahi hoga kyuki Raat me Roza nahi hota, ★6- Agar ek se zyada Dino ke Aitkaaf ki niyat maani ho to itne Din aur Raat dono ka Aitkaaf karna padega, aur agar ek Raat se zyada Raato ki mannat maani tab bhi Din aur Raat do no ka Aitkaaf karna zaruri he, ★ 7- Agar ek se zyada Dino ke Aitkaaf ki mannat maani ho aur niyat ye ki k sirf Dino ka Aitkaaf karunga aur Raat ko masjid se bahar aa jaunga to esi niyat durust he, lihaza esa shakhs subeh sadiq se pehle Masjid se chala jaye aur gurube aftaab ke baad wapas aa jaye, ★ 8- Jab ek se zyada Dino ke Aitkaaf ki mannat maani ho to in Dino pe dar pe rozana Aitkaaf karna waajib he, darmiyan me waqfa nahi kar sakta, ⇨Albatta agar mannat maante waqt zaban se keh de k me itne Dino me mutafarrik tor per Aitkaaf karunga to bhi jaa'iz he, ★ 9- Jin kaamo ke liye sunnate Aitkaaf me nikalna jaa'iz he, waajib Aitkaaf me bhi in kaamo ke liye nikalna jaa'iz he, aur jin kaamo ke liye sunnate Aitkaaf me nikalna jaa'iz nahi to un kaamo ke liye Aitkaafe waajib me bhi nikalna jaa'iz nahi, ⚀•RєԲ:➻┐ Aitkaaf Course, 18 🔜 8, NEXT ,in sha Allah, http://hafizasiffarooqi.blogspot.com *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* 📲 *91-70265993203* ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ ۞✵۞

  *Fikr-E-Aakhirat Group*

۞✵۞ ◡ ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯ ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷ ۞ A I T K A A F ۞ ✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰ ⚄ PART↬06 ⚄ ◉••◯••◉✧◉••◯••◉ Aitkaaf Ki Aqsaam •┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄• ★ Aitkaaf ki 3 qisme he'n, Waajib, Sunnat, Nifl, ⇨ Waajib Aitkaaf: - ★ Waajib Aitkaaf wo he Jo mannat maanne se waajib ho gaya ya kisi masnoon Aitkaaf ke tod dene se uski qaza waajib ho gayi, ⇨ Masail: - ★ 1- Jis Aitkaaf ki zabaan se mannat maan li ho wo mannat ki shart per mokoof ho ya na ho dono soorato me Aitkaaf waajib ho jata he, ★2- Sirf Dil me niyat kar lene se mannat nahi hoti balki zabaan se alfaaz ka Ada karna zaruri he, ★3- Mannat wale Aitkaaf me Roza rakhna zaruri he chahe ye Roza Ramzan ka ho ya iske alawa kisi aur machine ka, Aur Aitkaaf bhi Ramzan me ho ya iske alawa kisi aur mahine me, ★4- Ek din ka Aitkaaf karne ki mannat maani ho to sirf Din ka Aitkaaf waajib hoga, agar 24 ghante ki niyat saath ki ho tab 24 ghante hi ka Aitkaaf waajib hoga, ,,,,,,,,,,,,To be continued, ⚀•RєԲ:➻┐ Aitkaaf Course, 18 🔜 7,NEXT ,in sha Allah, http://hafizasiffarooqi.blogspot.com *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* 📲 *91-70265993203* ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ ۞✵۞

   *Fikr-E-Aakhirat Group*

۞✵۞ ◡ ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯ ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷ ۞ A I T K A A F ۞ ✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰ ⚄ PART↬05 ⚄ ◉••◯••◉✧◉••◯••◉ Aitkaaf Ka Maqsad •┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄• ★ Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha farmati he'n k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Ramzan ke Aakhri ashre me Aitkaaf farmaya karte the aur farmaya karte the k, " Laylatul Qadr ko Ramzan ki aakhri Raato me talaash kiya Karo, " ® Sahih Bukhari, 1/270 ⇨ Faayda: - ★ Aitkaaf se maqsood Laylatul Qadr ko pana he, Jiski fazilat hazaar mahino se zyada he, ⇨ Behtar to yahi he k aakhri ashre ki saari Raato me Bedari ka ahatmam karna chahiye, varna kam se kam Taaq Raato me ko to zarur ibaadat me guzaarna chahiye, ⚀•RєԲ:➻┐ Aitkaaf Course, 17 🔜 6,NEXT ,in sha Allah, http://hafizasiffarooqi.blogspot.com *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* 📲 *91-70265993203* ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ ۞ ۞ ۞

*Fikr-E-Aakhirat Group* 

۞✵۞ ◡ ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯ ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷ ۞20 A I T K A A F ۞ ✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰ ⚄ PART↬04 ⚄ ◉••◯••◉✧◉••◯••◉ Aitkaaf Ki Fazilat-2 •┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄• ★ Hazrat ibne Abbas Raziyallahu anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya, " Aitkaaf karne wala gunaho se mehfooz rehta he aur uski tamaam nekiya'n usi tarah likhi jaati rehti he'n jese wo unko khud kiya karta tha, " ® Sunan ibne maaja, 128 ★is hadees me Aitkaaf ke fawaid me se do bayaan kiye gaye he'n, ⇨1, Moatkif jitne din Aitkaaf karega utne din gunaho se bacha rahega, ⇨2, Jo nekiya'n wo bahar karta tha ( Masjid se bahar ) maslan mareej ki ayadat, Janaze me shirkat, gurba ki imdaad, Ulma ki majalis me haajri vagera Aitkaaf ki haalat me agarche in kaamo ko nahi kar sakta lekin is qism ke Amaal ka sawaab uske naama amaal me likha jata he, ★Ek hadees me he," Jisne Allah ta'ala ki raza ke liye imaan v ikhlaas ke saath Aitkaaf kiya to uske pichhle gunaah maaf ho jayenge, " ® Kanjul Ummal, 8/244 ⚀•RєԲ:➻┐ Aitkaaf Course, 15 🔜 5, NEXT ,in sha Allah, http://hafizasiffarooqi.blogspot.com *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* 📲 *91-70265993* ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ ۞✵۞

*Fikr-E-Aakhirat Group*

۞✵۞ ◡ ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯ ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷ ۞ A I T K A A F ۞ ✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰ ⚄ PART↬03 ⚄ ◉••◯••◉✧◉••◯••◉ Aitkaaf Ke Fazail -1 •┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄• ★ Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu se rivayat he k, Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya, " Jo shakhs Allah ki raza ke liye ek din ka Aitkaaf karta he to Allah ta'ala uske aur Jahannam ke darmiyan teen khandaqo ko aad bana denge, Ek khandaq ki musafat asmaan o zameen ki darmiyani musafat se bhi zyada chodi he, ®Al Muajmul Avsatul Tabrani, 5/279 ⇨ Faayda: - ★ Subhanallah ! Jab ek din ke Aitkaaf ki ye fazilat he to Ramzanul Mubarak ke Aakhri ashre ke Aitkaaf ki kya fazilat hogi? ★ Khush qismat he'n wo log Jo Ramzanul Mubarak ki Mubarak ghadiyo me Aitkaaf karte he'n aur mazkura fazilat ke mustahiq qaraar paate he'n, ⚀•RєԲ:➻┐ Aitkaaf Course, 15 🔜 4,NEXT ,in sha Allah, http://hafizasiffarooqi.blogspot.com *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* 📲 *91-70265993203* ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ ۞✵۞

Fikr-E-Aakhirat Group

🌸🌼🌸 ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁ βίşмίĻĻάħίħʀʀάħмάήίʀʀάħέέм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁ Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 10 ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ ▦══─────────────══▦ ☞-Islamic Kitaabe'n Padhna aur Bayanaat sunna, ✾ Rozana kam se kam 15-20 minutes Islamic Kitaabo ka muta'ala ya 1 ghanta Islamic bayanaat sunne ka ahatmam kare, ☞- Ek mareez ki ayadat karna, ✾ Rozana ya hafte me kam se kam ek mareez ki ayadat ka ahatmam kare, ( agar mareez ho to ), ⚡ Al- Hadees ⚡ ✾" Jo sakhsh Shaam ke waqt kisi mareez ki ayadat kare to uske humraah 70 hazaar farishte chalte he'n, Jo subeh tak uske liye astagfaar karte he'n, Aur Jo sakhsh subeh ke waqt kisi mareez ki ayadat ko jaye to uske humraah 70 hazaar farishte chalte he'n Jo Shaam tak uske liye astagfaar karte he'n, ↳® Abu Daoud, 2/442 ↳ Next -11, in sha Allah ta'ala, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 10 *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* 📲 *91-7026599320* http://hafizasiffarooqi.blogspot.com ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ 🌼🍀🌼

*Fikr-E-Aakhirat Group*

🌸🌼🌸 ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁ βίşмίĻĻάħίħʀʀάħмάήίʀʀάħέέм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁ Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 09 ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ ▦══─────────────══▦ ☞- Ek martaba umrah karna, ✾ Ho sake to poore mahine me ek martaba umrah kare, ⚡Al-hadees⚡ ✾ Hadees me aaya he k, " Ramzanul Mubarak me umrah karna hajj ke barabar he," ↳® Bukhari Sharif, ↳ Next -10,in sha Allah ta'ala, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 9 *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* 📲 *91-7026599320* http://hafizasiffarooqi.blogspot.com ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ 🌼🍀🌼

*Fikr-E-Aakhirat Group*

Saturday, 10 June 2017

🌸🌼🌸 ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁ βίşмίĻĻάħίħʀʀάħмάήίʀʀάħέέм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁ Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 08 ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ ▦══─────────────══▦ ☞- Janaze ki namaz me shirkat,, ✾ Agar kisi ka inteqal ho jaye to janaze ki namaz me shirkat kare ya fir janaze ke saath chale, ⚡Al-hadees⚡ ✾ Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he k, " jisne janaze me janaze ki namaz padhi aur Tadfeen me shareek nahi hua to usko ek kiraat sawab milega Aur Tadfeen me shareek hua, usko 2 kiraat sawab milega, Kiraat ki kam se kam miqdaar uhad pahaad ke barabar he," ↳® Muslim Sharif , ↳ Next -9 in sha Allah ta'ala, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 9 *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* 📲 *91-7026599320* http://hafizasiffarooqi.blogspot.com ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ 🌼🍀🌼

Fikr-E-Aakhirat Group

۞✵۞ ◡ ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯ ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷ ۞ A I T K A A F ۞ ✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰ ⚄ PART↬02 ⚄ ◉••◯••◉✧◉••◯••◉ Aitkaaf Ki Tareef •┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄• ★ Aitkaaf ke lafzi maani " Theharna aur Rukna " he, Aitkaaf karne wala kuchh muddat ke liye ek khaas jagah me yani Masjid me aur Aurat ghar ke khaas hisse me jisko usne muntkhab kiya hota he, Thehra aur Ruka rehta he, isliye ise Aitkaaf kehte he'n, ★ Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha farmati he'n k, Nabi kareem Sallallahu Alaihivasallam Ramzan ke aakhri ashre ka Aitkaaf farmaya karte the, Yaha tak k Allah ta'ala ne aapko wafaat de di, Fir aapke baad aapki Azwaaj Mutahraat Raziyallahu Anhum Aitkaaf farmati rahi, ® Sahih Bukhari, 1/271 ⚀•RєԲ:➻┐ Aitkaaf Course, 15 🔜 3,NEXT ,in sha Allah, *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E- Aakhirat Group* 📲 *91-70265993203* ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ ۞✵۞

Fikr-E-Aakhirat Group

🌸🌼🌸 ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁ βίşмίĻĻάħίħʀʀάħмάήίʀʀάħέέм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁ Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 07 ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ ▦══─────────────══▦ ☞- Rozedaro ko aftaar karana, ✾ Rozedaro ko aftaar karane ka ahatmam kare, roz karaye to bahut achhha he, Al-hadees ✾ Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he k, " jisne rozedaro ko aftaar karaya usko rozedaro ke barabar sawab milega Aur rozedaro ke sawab me kuchh bhi kami nahi kiya jayega," ↳® Tirmizi Sharif, ↳ Next -8, in sha Allah ta'ala, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 9 *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* 📲 *91-7026599320* http://hafizasiffarooqi.blogspot.com ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ 🌼🍀🌼

Fikr-E-Aakhirat Group

🌸🌼🌸 ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁ βίşмίĻĻάħίħʀʀάħмάήίʀʀάħέέм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁ Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 06 ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ ▦══─────────────══▦ ☞- Allah ke Raaste me sadqa dena, ✾ Kam se kam hafte me ek baar Allah ke Raaste me sadqa dene ka ahatmam kare, ⚡Al-Hadees⚡ ✾ " Hadees paak me he k, " Huzoore Akram Sallallahu Alaihivasallam sabse zyada sakhi the, aur Ramzan Mubarak me Aap Sallallahu Alaihivasallam ki sakhawat aur zyada hoti thi, " ↳® Bukhari Sharif ↳ Next -7 in sha Allah ta'ala, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 8 *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* 📲 *91-7026599320* http://hafizasiffarooqi.blogspot.com ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ 🌼🍀🌼

Fikr-E-Aakhirat Group

Thursday, 8 June 2017

🌸🌼🌸 ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁ βίşмίĻĻάħίħʀʀάħмάήίʀʀάħέέм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁ Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 05 ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ ▦══─────────────══▦ ☞- Qareebi Rishtedaro ke saath silah- rehmi karna, ✾ Rozana rishtedaro se mulakaat kare, kam se kam hafte me ek din iske liye khaas kare, ⚡Al-Hadees⚡ ✾ " Hadees paak me aaya he k, " Rishtedari Arshe ilaahi ke saath latak kar kehti he k jisne mujhe joda Allah usko jode aur jisne mujhe kaata Allah usko kaate, " ↳® Muslim Sharif , ↳ Next -6 in sha Allah ta'ala, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 8 *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* 📲 *91-7026599320* https://hafizasiffarooqi.blogspot.com ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ 🌼🍀🌼

  *Fikr-E-Aakhirat Group*

🌸🌼🌸 ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁ βίşмίĻĻάħίħʀʀάħмάήίʀʀάħέέм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁ Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 04 ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ ▦══─────────────══▦ ☞- Namaze Taraveeh ka ahatmam karna, ✾ Namaze Taraveeh ka ahatmam Pure Ramzan kiya jaye, ⚡Al- Hadees⚡ ✾ " Hadees paak me Huzoore Akram Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he k, " jisne ramzan Mubarak me Eymaan ke saath sawab ki niyat se qayaam kiya ( yani taraveeh padhi ) to uske agle pichhle gunaah maaf kar diye jate hai'n ," ↳® Bukhari Sharif ↳ Next -5, in sha Allah ta'ala, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 8 *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* 📲 *91-7026599320* https://hafizasiffarooqi.blogspot.com ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ 🌼🍀🌼

Fikr-E-Aakhirat Group

Wednesday, 7 June 2017

۞✵۞ ◡ ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯ ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷ ۞ A I T K A A F ۞ ✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰ ⚄ PART↬01 ⚄ •┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄• ⊙ Aitkaaf kyu'n ?? ⊙ ★ RamZan ke akhri 10 din me aitkaaf karna bahut badi ibaadat he, ★ Ummul momineen Hazrat Aayesha Siddiqa Raziyallahu Anha farmati he'n k, Huzoor Sallallahu Alaihivasallam har saal Ramzan ke Aakhri ashre me aitkaaf farmaya karte the, ® Bukhari, Muslim ★ isliye Allah ta'ala tofeeq de to har musalman ko is sunnat ki barkato se faayda uthana chahiye, ⇨ Masjide Allah ta'ala ka ghar he'n aur Kareem Aaqa ke darwaze per sawali bankar Beth Jana bahut badi sa'adat he, ⚀•RєԲ:➻┐ Aapke Masail aur Unka Hal,3/320 🔜 NEXT 2 ,in sha Allah, *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* 📲 *91-7026599320* ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ ♕♛♕ http://hafizasiffarooqi.blogspot.com/2017/06/i-t-k-a-f-part01-aitkaaf-kyu-ramzan-ke.html

Fikr-E-Aakhirat Group

🌸🌼🌸 ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁ βίşмίĻĻάħίħʀʀάħмάήίʀʀάħέέм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁ Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 03 ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ ▦══─────────────══▦ ☞- Quran paak ka kam se kam ek paara hifz karna, ✾ Rozana 5 aayaat hifz kare to poore mahine me ek paara hifz ho ja'ega, Al-hadees  ✾" Hadeese paak me aaya he k, " jis dil me Quran paak ka koi hissa mojood na ho wo veerane ghar ki tarah he, " ↳® Bukhari Sharif ↳ Next -4 in sha Allah ta'ala, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 8 *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* 📲 *91-7026599320* https://hafizasiffarooqi.blogspot.com ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ http://hafizasiffarooqi.blogspot.com/2017/06/sll-ramzan-ke-liye-nizamul-avqaat-part_7.html 🌼☘🌼

Fikr-E-Aakhirat Group

Tuesday, 6 June 2017

🌸🌼🌸 ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁ βίşмίĻĻάħίħʀʀάħмάήίʀʀάħέέм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁ Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 02 ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ ▦══─────────────══▦ ☞ Ramzan me Kam se Kam 2 Qurane Paak Khatm Karne Ka Ahatmaam, ✾ kam se kam 2 Quran paak ramzan ul Mubarak me khatam karne ka ahatmam kare, Al-hadees ✾ Hadees paak me he k ➣, Qurane paak ki tilawat kiya karo, kyuki ye ( Quran paak) qayamat ke din apne padne walo ke liye Shafi' bankar aa'ega, " ↳® Muslim Sharif, ↳ Next -3 in sha Allah ta'ala, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 8 *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* 📲 *91-7026599320* http://hafizasiffarooqi.blogspot.com ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ 🌼🍀🌼

Fikr-E-Aakhirat Group

🌸🌼🌸 ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁ βίşмίĻĻάħίħʀʀάħмάήίʀʀάħέέм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁ Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat PART— 01 ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ ▦══─────────────══▦ ☞ Paancho Namazo me Takbire Avla Ka Ahatmaam, ✾ Takbeere aula ka ahatmam kijiye, ➤ yani namazo ko safe avval me takbeere avla ke saath Ada kiya jaye,  Al-Hadees ✾" Hadees paak me he k Jis shakhsh ne 40 din tak takbeere avla ke saath namaz Ada ki to uske liye 2 bara'ate likhi jati he'n, Avval jahannam se khalasi ( Azaadi ) Aur doosri Nifaak se khalasi, " ↳® Tirmizi Sharif, ↳ Next -2 in sha Allah ta'ala, ↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 8 *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* 📲 *91-7026599320* http://hafizasiffarooqi.blogspot.com ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ 🌼🍀🌼

Fikr-E-Aakhirat Group

Thursday, 1 June 2017

Sharma Ko Phansi Do Modi Ji Aur Yogi Ji

Sharma ko Phansi Do

🌼🍀🌼 ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁ вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ✰━═━═━═━═━═━═━═━✰ 💎 Zakaat Ke Masail 💎 ☆ Part- 10☆ ✰━═━═━═━═━═━═━═━✰ ✺ Zakaat kis per Farz he -2✺ ◆◇◆◇◆ ⇨Zakaat in cheezo per Farz he, ★1- Sona Jabke Saade Saat Tola ( yani 87.479 gram), ya isse zyada ho, ★2- Chandi Jabke Saade Bavan Tola ( yani 612.35 gram ) ya isse zyada ho, ★ 3- Rupya- Paisa, aur Maale- Tijarat Jabke iski maaliyat Saade Bavan Tola chandi (612.35 gram) ke barabar ho, → Agar kisi ke paas thoda sa Sona he, kuchh Chandi he, Kuchh Naqad Rupya he , ya kuchh maale Tijarat he aur inki majmooi ( in sabki qeemat jodne ke baad ) maaliyat Saade Bavan Tola chandi (612.35 gram) ke barabar he to is per bhi zakaat Farz he, → isi tarah agar kuchh Sona he, kuchh Chandi he, ya kuchh Sona he, kuchh Naqad Rupya he, ya kuchh Chandi he, kuchh maale Tijarat he, tab bhi inko milakar dekha jayega k Saade Bavan Tola chandi ki maaliyat banti he ya nahi, agar banti he to zakaat wajib hogi varna nahi, ✔ Khulasa ye he Sona, Chandi, Naqdi, Maale Tijarat me se koi si bhi do ( Ya do se zyada ) Cheezo ki maaliyat jab Chandi ke nisaab ( 612.35 gram) ke barabar ho to us per zakaat Farz hogi, ★ 4- in ( Jo mazkoor hui ) cheezo ke alawa charne wale maveshiyo (animals) per bhi zakaat Farz he, isme Bhed, Bakri, Gaay, Bhens, Ount ke alag alag nisaab hai'n , → Jo log maveshi rakhte hai'n ahle ilm motbar ulema Hazraat se daryaft kar le, ( isme tafseel zyada he isliye isko nahi likha ) ★ 5- Ushri Zameen ki paydawar per bhi Zakaat Farz he, jisko Ushr kaha jata he, ( Tafseel aage zikr ki ja' egi in sha Allah) ↳ Next -11 in sha Allah ta'ala, ↳® Aapke Masail aur unka Hal, 3/ 345 *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* 📲 *91-7026599320* https://hafizasiffarooqi.blogspot.com ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ 🌼🍀🌼

Fikr-E-Aakhirat Group

🌼🍀🌼 ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁ вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ✰━═━═━═━═━═━═━═━✰ 💎 Zakaat Ke Masail 💎 ☆ Part- 9☆ ✰━═━═━═━═━═━═━═━✰ ✺ Zakaat Kis Per Farz He ✺ ◆◇◆◇◆ ★ Zakaat Baalig per wajib he,, ⇨ Na-balig Bachcho ke maal per zakaat nahi, Albatta sadqa e fitr Na-balig ki taraf se Ada karna bhi zaruri he, (agar na-balig sahibe maal ho) ★ Majnoon, Pagal ke maal per zakaat nahi, ★ Zever aurat ki milkiyat hote hai'n , aur zakaat Ada karne ki zimmedari bhi Maalik hi per hogi, Shohar agar uske kehne per zakaat Ada kare to Ada ho ja'egi, ★ Shohar aur Bivi ki zakaat ka hisaab alag -alag he, ★ Marhoom Shohar ki zakaat Beva ke zimme Farz nahi, agar vaaris Ada kare to achchhi baat he, ★ Agar Na-Baalig ladki ko zever ki Maalik bana diya to jab tak ladki baalig nahi hogi zakaat Farz nahi he, ⇨ Sirf ye keh dena ya ye niyat kar lena k zever ladki ke Jahez me diya ja'ega, zakaat se mushtasna nahi karaar diya ja sakta, Jab tak k ladki ko zever ka Maalik na bana diya jaye, →Aur ladki ko Maalik bana dene ke baad us zever ko khud istemal karna jaa'iz nahi hoga, ↳ Next - 10,in sha Allah ta'ala, ↳® Aapke Masail aur unka Hal, jild 3/safa 344 *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* 📲 *91-7026599320* https://hafizasiffarooqi.blogspot.com ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ 🌼🍀🌼

Fikr-E-Aakhirat group

🌸🍀🌸 ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁ βίşмίĻĻάħίʀʀάħмάήίʀʀάħέέм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ MUNKIRAAT E RAMZAN ✧ *:・゚✦✦*:・゚✧ PART— 10 ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ ▦══─────────────══▦ ☞- Aam tor per Kuchh buraiya'n aaj ke daur me Ramzan ke mubarak maah me ba-kasrat musalmano se saadir hoti he,: ---- ⇨13 Bachcho ko Pehla Roza Rakhwane me hone wali Rasumaat, ★ Hamari taraf ye rivaaz he k jab bachche ko pehla roza rakhwate he to aftaar ke waqt uske gale me haar daalte hai, khana paka kar dost, ahbaab, rishtedaro ko khilate hai, wo badle me bachhe ko ropya – paisa ( gift) dete hai, Khana masjid me bhi aftaar ke liye bhijwate hai, Kya ese khane ka saboot kisi hadees se sabit he ya nahi?? aur kya ye tareeka jaa'iz he ya nahi??? ⇨is Rasm ka shariyat me koi saboot nahi, isko sawab samajh kar karna deen me apni taraf se zyadti karne ki vajah se Bid’at aur najaa'iz he, →balki sawab na samjhate to bhi iska tark laaZim he kyuki ye esi Rasm ban chuki he k jiski qabaht ahle ilm per jaahir he, ↳ Next -11 , in sha Allah ta'ala, ↳® Ahsanul fatawa , 1/370 *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* 📲 *91-7026599320* http://hafizasiffarooqi.blogspot.com ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ 🌸🍀🌸

Fikr-E-Aakhirat Group

🌸🍀🌸 ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁ βίşмίĻĻάħίʀʀάħмάήίʀʀάħέέм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ MUNKIRAAT E RAMZAN ✧ *:・゚✦✦*:・゚✧ PART— 09 ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ ▦══─────────────══▦ ☞- Agar Mukhlis haafiz na mile, ( Yani bager ujrat taraveeh padhane wala hafiz na mile)??? ✾ Bilfarz agar kisi jagah bila ujrat padhne wala mukhlis haafiz na mile to fatwa ye he k waha ke logo ko kirayedaar haafiz se poora Quran sunne ke bajaye " Alam Tara Kauf ..." se taraveeh padh leni chahiye, ✾ Jaha fuqha ne ek khatm ko sunnat kaha he jisse zaahiran sunnate Mokada muraad he, waha ye bhi likha he k Jaha ke logo per saqeel ho waha Alam Tara kayf vagera se padh de, Pas jab saqeel jama'at ke mahzoor se bachne ke liye is sunnat ke tark ki ijazat de di to ibaadat per ujrat ka mahzoor isse badh kar he, isse bachne ke liye kyu na kaha jayega k " Alam Tara Kayf " se padh le, ®Imdadul fatawa, 1/484 ↳ Next -10 , in sha Allah ta'ala, ↳® Allah se Sharam kijiye, 144 *Plz Forward to All Muslim* *Fikr-E-Aakhirat Group* 📲 *91-7026599320* http://Hafizasiffarooqi.blogspot.com ◐═══◐═══◐═══◐═══◐ 🌸🍀🌸

Fikr-E-Aakhirat Group